Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

"Tey" sey shuru honey waaley ashaar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: "Tey" sey shuru honey waaley ashaar

    Tere baton ma uljhan tery bartao ma khuloos
    kis tarah tere tabait say mila'on khud ko

    Comment


    • #77
      Re: "Tey" sey shuru honey waaley ashaar

      teri har nazar sey munsalik hai rishta-e-hastee
      magar yeh door ki batein koi nadaan kya samjhey
      faiz
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #78
        Re: "Tey" sey shuru honey waaley ashaar

        wow kia khobsurat choises hain aap ke

        Comment


        • #79
          Re: "Tey" sey shuru honey waaley ashaar

          tum ny iss tarhaa chhudaaya hy kuchh apnaa daaman,,
          saari dunia ny mujhy chhod dia ho jaisy

          Comment


          • #80
            Re: "Tey" sey shuru honey waaley ashaar

            tareekiyon mein kis ney diya hai kisi ka saath
            parwaney saath saath hain jab tak chiragh hai
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #81
              Re: "Tey" sey shuru honey waaley ashaar

              teri mehfil sy uthaata ghair mujh ko kia majaal,
              main ny dekhaa thaa keh to ny bhi ishaara kar dia

              Comment


              • #82
                Re: "Tey" sey shuru honey waaley ashaar

                tanha udaas chand ko samjho na bekhaber
                sab kuchh woh sun raha hai magar bolta nahin

                amjad islam amjad
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • #83
                  Re: "Tey" sey shuru honey waaley ashaar

                  tark-e-ulfat bhi mosibat hy ab iss ka kia ilaaj,
                  woh judaa ho kar bhi to dil se judaa hotaa nahi

                  Comment


                  • #84
                    Re: "Tey" sey shuru honey waaley ashaar

                    Thay zindagi ky jitny saharay nahe rahay
                    chahry wohi hain dekhny walay nahe rahy
                    ya ho ga'ay hain hum he zamany sy byniyaz
                    ya phir hamary chahny waly nahe rahy

                    Comment


                    • #85
                      Re: "Tey" sey shuru honey waaley ashaar

                      tarrap utthon bhi to zaalim teri duhai na doon
                      main zakhm zakhm hoon phir ghi tujhey dikhai na doon
                      terey badan mein dharrakney laga hoon dil ki tarha
                      yeh aur baat keh ab bhi tujhey sunai na doon
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • #86
                        Re: "Tey" sey shuru honey waaley ashaar

                        Tujhay kho ker kise sy piyar hona chahye tha
                        humay itna to dunya dar hona chahye tha
                        samajh main nahe aata tere daastan main
                        hamara koun sa kirdaar hona chahye thaa

                        Comment


                        • #87
                          Re: "Tey" sey shuru honey waaley ashaar

                          Thii Jin Keh Dam Sy Anjuman-e-dil Main Rooshnii,
                          Jab Woh Khiaal Tak Main Naa Aaeen To Kia Kareen ?

                          Comment


                          • #88
                            Re: "Tey" sey shuru honey waaley ashaar

                            tumaam shab mujhey taktey rahey dar-o-deewar
                            ik ajnabi ki tarha main khud apney ghar mein tha
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #89
                              Re: "Tey" sey shuru honey waaley ashaar

                              Tujhy bholon koshish ker ky dekho ge
                              wese derya ulta behna mushkil hai

                              Comment


                              • #90
                                Re: "Tey" sey shuru honey waaley ashaar

                                Tum Hi Ik Nahi, Husan Waaly Hain Laakhoon,
                                Kisi Chaand Sy Chaandni Maang Loon Ga

                                Comment

                                Working...
                                X