Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ghazal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Ghazal

    Originally posted by Umeed E Sahar View Post
    ...'' AaKHRi aLviDA ''...

    Rukhsat Howa Tu Hath Bhi Mila Kar Nahi Gaya,
    Wo kiun gaya ye bhi bata kar nahi gaya.

    Youn lag raha hai jaise abhi Lout aye ga,
    Jalta howa charagh bhi bujha kar nahi gaya.

    Shaid woh mill hi jay magar justaju hai shart.
    Woh apne naqash-e-paa ko mita kar nahi giya.

    Har bar mujh ko chor giya iztaraab main.
    Laotey ga kab..? Kabhi woh bata kar nahi giya.

    Ghar me hai aaj bhi wohi khushbo basi hoi,
    Lagta hai youn k jaise wo aa kar nahi gaya.

    Rehne diya na us ne kisi kaam ka mujhe.
    Aur khaak me bhi mujh ko mila kar nahi gaya.....!!
    wah Bohat Khoob Keya Kehnay


    Rehne diya na us ne kisi kaam ka mujhe.
    Aur khaak me bhi mujh ko mila kar nahi gaya.....!!





    Bohat Khobsorat Ghazal Ha
    :(

    Comment


    • #47
      Re: Ghazal

      ...Main kisi ka husn e khayal hoon....



      Meri Zindegi Pe Na Muskara Mujhe Zindegi Ka Alam Nahin
      Jise Tere Gam Se Ho Waasta Wo Khizaan Bahaar Se Kam Nahin...!!

      Mujhe Raas Aaye Khuda Kare Yahi Ishtibaah Ki Saa'tein
      Unhe Aitabar-E-Wafa To Hai Mujhe Aitbaar-E-Sitam Nahin

      Wahi Kaarwaan Wahi Raaste Wahi Zindegi Wahi Marahale
      Magar Apne-Apne Muqaam Par Kabhi Tum Nahin Kabhi Ham Nahin

      Na Wo Shaan-E-Jabr-E-Shabaab Hai Na Wo Rang-E-Qahar-E-Itaab Hai
      Dil-E-Beqaraar Pe In Dino Hai Sitam Yahi Ki Sitam Nahin

      Na Fanaa Meri Na Baqa Meri Mujhe Ai ‘Shakeel’ Na Dhoondiye
      Main Kisi Ka Husn-E-Khayaal Hoon Mera Kuch Vajuud-O-Adam Nahin
      .Umeed E SahaR...

      Comment


      • #48
        Re: Ghazal

        Wahi Kaarwaan Wahi Raaste Wahi Zindegi Wahi Marahale
        Magar Apne-Apne Muqaam Par Kabhi Tum Nahin Kabhi Ham Nahin

        ala,,,,,,,,,,,,


        Main Kisi Ka Husn-E-Khayaal Hoon Mera Kuch Vajuud-O-Adam Nahin

        Boohat Khobsorat ghzal...
        :(

        Comment


        • #49
          Re: Ghazal

          ''' Nahi NiGaH Main ManziL'''

          Nahin nigaah me manzil toh justjoo hi sahi,
          Nahin wisaal mayassar toh aarzoo hi sahi,

          Na tan mein khoon faraaham, na ashk aankhon mein,
          Namaaz-e-shauq toh waajib hai, be-wuzoo hi sahi,

          Kisi tarah toh jame bazm maikade waalo,
          Nahin jo baada-o-saagar toh haa-o-hoo hi sahi,

          Gar intezaar kathin hai toh jab talak ai dil!
          Kisi ke waada-e-fardaa ki guftgoo hi sahi,

          Dayaar-e-ghair me mehram agar nahin koi,
          To 'Faiz', Zikr-e-watan apne roobaroo hi sahi.........
          .Umeed E SahaR...

          Comment


          • #50
            Re: Ghazal

            Bohat khoob
            :(

            Comment


            • #51
              Re: Ghazal

              ...NAhi HOON mAin'''''


              Dayam para hua tere dar par nahi hun main
              khak aisi zindagi pe k paththar nahi hun main

              kyun gardish-e-mudam se ghabra na jaye dil
              insan hun, pyala-o-sagar nahi hun main

              Ya Rab! zamana mujh ko mita'ta hai kis liye
              lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahi hun main

              had chahiye saza mein uqubat k waste
              akhir gunahgar hun, kafir nahi hun main

              kis waste aziz nahi jante mujhe
              lal-o-zumarud-o-zar-o-gauhar nahi hun main

              rakhte ho tum qadam meri ankhon se kyun daregh
              rutbe mein mahr-o-mah se kamtar nahi hun main

              karte ho mujhko mana-e-qadambos kis liye
              kya asman k bhi barabar nahi hun main

              'ghalib' wazifakhwar ho, do shah ko dua
              wo din gaye ki kahte the "naukar nahi hun main"
              .Umeed E SahaR...

              Comment


              • #52
                Re: Ghazal

                had chahiye saza mein uqubat k waste
                akhir gunahgar hun, kafir nahi hun main

                kis waste aziz nahi jante mujhe
                lal-o-zumarud-o-zar-o-gauhar nahi hun main



                Bohat Ala Bohat Khoob
                :(

                Comment


                • #53
                  Re: Ghazal

                  ''WO SHAKHS''

                  Woh Shaks Ke Jis Se Main Mohabbat Nahi Karta,
                  Hansta Hai Mujhe Dekh Kar, Nafrat Nahi Karta,

                  Pakra He Gaya Hon Tu Mujhe Daar Per Khincho,
                  Saccha Hon Magar Apni Wakalat Nahi Karta,

                  Kiun Bakhsh Dia Mujh Se Gunahgaar Ko Moula,
                  Mansaf Tu Kisi Se Bhi Riayat Nahi Karta,

                  Ghar Walon Ko Ghaflat Pe Sabhi Kous Rahe Hain,
                  Choron Ko Magar Koi Malamat Nahi Karta

                  Kis Qoum Ke Dil Main Nahi Jazbaat-e-Ibrahim,
                  Kis Mulk Pe Numrood Hukumat Nahi Karta,

                  Daitain Hain Ujalay Mere Sajdoon Ki Gawahi,
                  Main Chup Ke Andheron Main Ibadat Nahi Karta,

                  Duniya Main Qateel, Us Sa Munafiq Nahi Koi
                  Jo Zulm Tu Sehta Hai, Bagawat Nahi Karta....
                  .Umeed E SahaR...

                  Comment


                  • #54
                    Re: Ghazal

                    Woh Shaks Ke Jis Se Main Mohabbat Nahi Karta,
                    Hansta Hai Mujhe Dekh Kar, Nafrat Nahi Karta,


                    Ala Intekhab
                    :(

                    Comment


                    • #55
                      Re: Ghazal

                      '''.....Jhooth.....'''


                      Mausam-e-karb-e-intizar bhi jhooot
                      Dill na manay tu vasl-e-yaar bhi jhoot

                      Jhoot hay sab khizaan ka khamyaza
                      Aks-e-rang-e-rukh-e-bahar bhi jhoot

                      Maut, teri talab bhi laghzash-e-lab
                      Zindgy , tera aitibaar bhi jhoooot

                      Wos’at-e-daastaan-e-shauq , ghalat
                      Koshash-e-harf-e-ikhtsar bhi jhoot

                      Khalqat-e-shehr maslihat peshaaa
                      Warna farman-e-shehr-e-yaar bhi jhoot

                      Na rasae ko rastay mushkil !
                      Koor chashmi ko kohsaar bhi jhoot

                      Door say piyar ko sarab, chanab…
                      Ahl-e-sehra ko aabshaar bhi jhoot

                      Dastras ka tlism hay warna
                      Sa’at-e-jabr-o-ikhtiyar bhi jhoot…

                      Perahan khon-e-dill mein tar kar lo
                      Warna daman-e-taar taar bhi jhoot

                      Sirf uss ka safar hay sach MOHSIN
                      Meri raah bhi mera ghubar bhi jhooot
                      .Umeed E SahaR...

                      Comment


                      • #56
                        Re: Ghazal

                        Bohat Khoob Ala...
                        :(

                        Comment


                        • #57
                          Re: Ghazal

                          Originally posted by Umeed E Sahar View Post
                          ........وہ......


                          وہ درد، وہ وفا، وہ محبت تمام شُد​
                          لے! دل میں ترے قرب کی حسرت تمام شُد​

                          یہ بعد میں کُھلے گا کہ کس کس کا خُون ہوا ​
                          ہر اِک بیاں ختم، عدالت تمام شُد​

                          تُو اب تو دشمنی کے بھی قابل نہیں رہا ​
                          اُٹھتی تھی جو کبھی وہ عداوت تمام شُد​

                          اب ربط اک نیا مجھے آوارگی سے ہے​
                          پابندیء خیال کی عادت تمام شُد​

                          جائز تھی یا نہیں، ترے حق میں تھی مگر​
                          کرتا تھا جو کبھی وہ وکالت تمام شُد​

                          وہ روز روز مرنے کا قصہ ہوا تمام​
                          وہ روز دِل کو چِیرتی وحشت تمام شُد​

                          "محسن" میں کُنجِ زیست میں چُپ ہوں پڑا​
                          مجنُوں سی وہ خصلت و حالت تمام شُد​


                          ھم تُم تمام شُد تو محبّت تمام شُد
                          حیرت کدَہِ عشق سے ،حیرت تمام شُد

                          جاتا ھُوں اُس گلی میں مُجھے روک کر دِکھا
                          اے ھجر آج سے تری بیعت ، تمام ُشد

                          ایسا نہ ھو خدا سے جب اپنا حساب لُوں
                          تب یہ پتہ چلے کہ قیامت تمام شُد

                          للکارتا ھُوں چاروں طرف دشمنوں کو مَیں
                          نرغے میں گِھر گیا ھُوں تو دھشت تمام شُد

                          عورت کی ننگی لاش تھی ڈھانپی نہیں گئی
                          عُریاں بدن کو دیکھ کے۔۔۔۔۔۔ غیرت تمام شُد

                          اُس نے کہا کہ جا ! مَیں اُٹھا، اور دِیا بُجھا
                          جو رَہ گئی تھی باقی وُہ عزّت تمام شُد

                          ھکلا رھا تھا دیکھ کے ظلم و ستم کو مَیں
                          چیخا ھُوں اتنے زور سے ، لُکنت تمام شُد

                          بیٹے نے میرے بعد وصیّت مری پڑھی
                          "اک خوابِ لامکاں پہ وراثت تمام شُد"

                          جاتا ھُوں دشمنوں کی طرف ڈھونڈنے اُسے
                          ھے شہرِ دوستاں میں مروّت تمام شُد

                          سر پر خود آ گِرا ھے کرائے کا یہ مکان
                          لگتا ھے اب مکینوں کی غُربت تمام شُد

                          روتی ھزار سال طبیعت مری مگر
                          دو چار آنسووں سے مصیبت تمام شُد

                          صدیاں گُزر گئی ھیں ترے انتظار میں
                          اے مرگِ ناگہاں ! مری طاقت تمام شُد

                          جب مَیں نے ڈھال پھینک دی دستِ یقین سے
                          تُم کہہ رھے ھو دورِ شہادت تمام شُد

                          سائے پہ کیا غرور کرے کوئی دوستو
                          سُورج ھُوا غروب تو قامت تمام شُد
                          :(

                          Comment


                          • #58
                            Re: Ghazal




                            kehan GHayab Hogay Ap
                            :(

                            Comment

                            Working...
                            X