Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ghazal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Ghazal

    ....""" YE na THi HuMari QiSmaT .......''''''''
    Ye na thi hamaari qismat ke visaal-e-yaar hota
    agar aur jeete rahte yahi intezaar hota

    Tere vaade par jiye ham to ye jaan jhooth jaana
    ke khushi se mar na jaate agar aitebaar hota

    Koi mere dil se poochhe tere teer-e-niimkash ko
    ye khalish kahan se hoti jo jigar ke paar hota

    Ye kahan ki dosti hai ke bane hain dost naaseh
    koi chaaraasaaz hota, koi gham_guzaar hota

    Rag-e-sang se tapaktaa wo lahoo ki phir na thamta
    jise gham samajh rahe ho ye agar sharaar hota

    Kahoon kis se main ke kya hai, shab-e-gham buri balaa hai
    mujhe kya bura tha marnaa agar ek baar hota

    Hue mar ke ham jo rusvaa, hue kyon na gharq-e-dariya
    na kabhi janaaza uthta, na kahin mazaar hota
    .Umeed E SahaR...

    Comment


    • #17
      Re: Ghazal

      Hue mar ke ham jo rusvaa, hue kyon na gharq-e-dariya
      na kabhi janaaza uthta, na kahin mazaar hot



      bohat khoob

      wesy aj kal marna bhi mushkil hai log qabro sa Murday Nikal ka Kha jaty So hum bhi yehii dua kary ga ka darya ma doob jaay to behtr na janza uthay aur na mazar Banay :P
      :(

      Comment


      • #18
        Re: Ghazal

        Originally posted by Dr Faustus View Post
        Hue mar ke ham jo rusvaa, hue kyon na gharq-e-dariya
        na kabhi janaaza uthta, na kahin mazaar hot



        bohat khoob

        wesy aj kal marna bhi mushkil hai log qabro sa Murday Nikal ka Kha jaty So hum bhi yehii dua kary ga ka darya ma doob jaay to behtr na janza uthay aur na mazar Banay :P
        Ji... MAraa bhi nahi jaa sakta ab sakoon se ....'''mujhe kya bura tha marnaa agar ek baar hota''''
        .Umeed E SahaR...

        Comment


        • #19
          Re: Ghazal

          ......................'''''''''''Ik LAfz MuhabbaT Ka..''''''..........
          Ik lafz-e-mohabbat ka adana sa fasana hai
          simate to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
          hum ishq ke maron ka itna hi fasana hai
          rone ko nahi koi hansane ko zamana hai
          kya husn ne samajha hai kya ishq ne jana hai
          hum khak-nashinon ke thokar mein zamana hai
          wo husn-o-jamal un ka ye ishq-o-shabab apana
          jeene ki tamanna hai marana ka zamana hai..
          hai ishq-e-junun-pesha han ishq-e-junun-pesha
          aj ek sitamagar ko hans hans ke rulana hai
          ye ishq nahi aasan itna to samajh lijye
          ek aag ka dariya hai aur dub ke jana hai
          aansu to bahot se hain aankhon mein ‘Jigar’ lekin..
          bindh jaye so moti hai rah jaye so dana hai.......
          .Umeed E SahaR...

          Comment


          • #20
            Re: Ghazal

            aansu to bahot se hain aankhon mein ‘Jigar’ lekin..
            bindh jaye so moti hai rah jaye so dana hai.......

            waaah!
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #21
              Re: Ghazal

              wah wah bahuttttttttt hi alaa intkhaab
              :rose

              Comment


              • #22
                Re: Ghazal

                Originally posted by Nadia khan View Post
                wah wah bahuttttttttt hi alaa intkhaab
                :rose
                Thanx :)
                .Umeed E SahaR...

                Comment


                • #23
                  Re: Ghazal

                  Originally posted by Masood View Post
                  aansu to bahot se hain aankhon mein ‘Jigar’ lekin..
                  bindh jaye so moti hai rah jaye so dana hai.......

                  waaah!
                  Shukriyaa :)
                  .Umeed E SahaR...

                  Comment


                  • #24
                    Re: Ghazal

                    .... MERE MEBOOB NA MAANG ....

                    Mujh se pehli si muhabbat mere mehboob na maang
                    Maine samjhaa tha ke tu hai to darakhshaan hai hayaat
                    Tera gham hai to gham-e-dehar ka jhagdaa kyaa hai
                    Teri surat se hai aalam mein bahaaron ko sabaat
                    Teri aankhon ke siwaa duniyaa mein rakhkhaa kya hai
                    Tu jo mil jaaye to taqdir nigoon ho jaaye
                    Yoon na thaa maine faqat chaahaa thaa yoon ho jaaye
                    Ja-ba-ja bikte hue koochaa-o-baazaar mein jism
                    haak mein lithade hue, khoon mein nehlaaye hue
                    Laut jaati hai udhar ko bhi nazar, kya kijye?
                    Ab bhi dilkash hai tera husn, magar kya kijye?
                    Aur bhi dukh hai zamaane mein muhabbat ke siwaa
                    Raahatein aur bhi hain visl ki raahat ke siwaa....!!
                    .Umeed E SahaR...

                    Comment


                    • #25
                      Re: Ghazal

                      Bohat Khoob

                      Laut jaati hai udhar ko bhi nazar, kya kijye?


                      Khush rehay
                      :(

                      Comment


                      • #26
                        Re: Ghazal

                        Originally posted by Dr Faustus View Post
                        Bohat Khoob

                        Laut jaati hai udhar ko bhi nazar, kya kijye?


                        Khush rehay
                        ab bhi dil kaash hai teraa husn magr ...kia kijye..!

                        Shukria :)
                        .Umeed E SahaR...

                        Comment


                        • #27
                          Re: Ghazal

                          Originally posted by Umeed E Sahar View Post

                          ab bhi dil kaash hai teraa husn magr ...kia kijye..!

                          Shukria :)
                          MashAllah Mashallah :)
                          :(

                          Comment


                          • #28
                            Re: Ghazal

                            Click image for larger version

Name:	naa tha.jpg
Views:	1
Size:	9.9 KB
ID:	2431110
                            .Umeed E SahaR...

                            Comment


                            • #29
                              Re: Ghazal


                              .. Sabab yaad yaa'''

                              Dil DhaRakne Ka Sabab Yaad Aaya
                              Wo Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya
                              Aaj Mushkil Tha Sambhalna.. Ay Dost
                              TU Musibat Main Ajab Yaad Aaya
                              Din Guzra Tha Bari Mushkil Se
                              Phir Tera Waada-e-Shab Yaad Aaya
                              Tera Bhula Hua Paimaan-e-Wafa
                              Mar Rahenge Gar Ab Yaad Aaya
                              Phir Loog Nazar Se Guzre
                              Phir Koi Sheher-e-Tarab Yaad Aaya
                              Haal-e-Dil Hum Bhi Sunate Laikin
                              Jab Wo Rukhsat Howa Tab Yaad Aaya
                              Baith Kar Saaya-e-Gul Main ‘Nasir’
                              Hum Bohat Roye Wo Jab Yaad Aaya....!!
                              .Umeed E SahaR...

                              Comment


                              • #30
                                Re: Ghazal

                                ... ImtehaaN kyun Ho..!

                                Kisi ko de ke dil koi nawaa-sanj-e-fughaaN kyuN ho?? ??
                                Na ho jab dil hi seenay mein to phir muN main zubaan kyun ho



                                Wafaa kaisi? kahan ka ishq? jab sar phoRna Thehra...!
                                To phir ae sangdil...'' tera hi sang-e-aastaaN kyuN ho?


                                Yehi hai aazmaanaa to satana kis ko kehte haiN?
                                Adu ke ho lye jab tum to mera imtihaaN kyuN ho?



                                Ye keh sakte ho “Hum dil main nahin hain?” par ye batlao!
                                K jab dil mein tum hi tum ho to aankhon se nihaaN kyuN ho?


                                Qafas mein mujh se roodad-e-chaman kehte na dar humdum
                                Giri hai jis pe kal bijli woh mera aashiyaaN kyuN ho?



                                Nikala chahta hai kaam kya taa’noN se tu Ghalib?
                                Tere be-mehar kehne se wo tujh par mehrbaaN kyuN ho?......
                                .Umeed E SahaR...

                                Comment

                                Working...
                                X