Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ghazal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ghazal

    Meri Zindagi tou firaaq hai, woh azal se dil main makeen sahi
    Wo nigah’e_shauq se door hain, rag’e_jaan se lakh qareen sahi
    Hamein jaan daini hai aik din, wo kisi tarah wo kahin sahi
    Hamein aap khainchiye daar par, jo nahi koi tu hameen sahi
    Sar_e_toor ho sar_e_hasher ho, hamein intizaar qubool hai
    Wo kabhi milein, wo kahin milein, wo kabhi sahi, wo kahin sahi
    Na ho un pe kuch mera bass nahi, k ye aashqi hai hawas nahi
    Mai unhi ka tha, mai unhi ka hoon, wo mere nahi tu nahi sahi
    Mujhe bhaithne ki jaga milay, meri aarzoo ka bharam rahay
    Teri anjuman mein agar nahi,teri anjuman k qareen sahi
    tera dar tau hum ko na mil saka, teri rahguzar ki zameen sahi
    hamain sajda karne se kaam hai, jo wahan nahin tau yahin sahi
    meri zindagi ka naseeb hai nahin door mujh se qareeb hai
    mujhay uska ghum tau naseeb hai wo agar nahin tau nahin sahih
    jo ho faisala wo sunaaiye usay hashr pe na uthaiye
    jo karain gay app sitam wahan wo abhi sahi wo yehin sahi
    Use dekhne ki jo low lagi tu Naseer dekh hi lain gey hum
    Wo hazaar aankh se door ho, wo hazaar pardah nasheen sahi





    .Umeed E SahaR...

  • #2
    Re: Ghazal

    Meri Zindagi tou firaaq hai, woh azal se dil main makeen sahi
    Wo nigah’e_shauq se door hain, rag’e_jaan se lakh qareen sahi

    Hamein jaan daini hai aik din, wo kisi tarah wo kahin sahi
    Hamein aap khainchiye daar par, jo nahi koi tu hameen sahi

    Sar_e_toor ho sar_e_hasher ho, hamein intizaar qubool hai
    Wo kabhi milein, wo kahin milein, wo kabhi sahi, wo kahin sahi


    Na ho un pe kuch mera bass nahi, k ye aashqi hai hawas nahi
    Mai unhi ka tha, mai unhi ka hoon, wo mere nahi tu nahi sahi


    Mujhe bhaithne ki jaga milay, meri aarzoo ka bharam rahay
    Teri anjuman mein agar nahi,teri anjuman k qareen sahi


    tera dar tau hum ko na mil saka, teri rahguzar ki zameen sahi
    hamain sajda karne se kaam hai, jo wahan nahin tau yahin sahi



    meri zindagi ka naseeb hai nahin door mujh se qareeb hai
    mujhay uska ghum tau naseeb hai wo agar nahin tau nahin sahi


    jo ho faisala wo sunaaiye usay hashr pe na uthaiye
    jo karain gay app sitam wahan wo abhi sahi wo yehin sahi


    Use dekhne ki jo low lagi tu Naseer dekh hi lain gey hum
    Wo hazaar aankh se door ho, wo hazaar pardah nasheen sahi



    ..
    :(

    Comment


    • #3
      Re: Ghazal

      Asslam-o-ALikum ..welcome Here Warda...


      Bohat Khobsorat Intekhab Hai...Is ghaza ma 4/5 Ishar Bohat HI Khoob Hai

      Sar_e_toor ho sar_e_hasher ho, hamein intizaar qubool hai
      Wo kabhi milein, wo kahin milein, wo kabhi sahi, wo kahin sahi
      wahhhhhhhhh Keya Bat Hai

      keya KHobsorat Izhar

      Na ho un pe kuch mera bass nahi, k ye aashqi hai hawas nahi
      Mai unhi ka tha, mai unhi ka hoon, wo mere nahi tu nahi sahi



      aur yeh shair bhi kis qadar ala hai bohat achi terha mary jazbat ki tarjumani karta howa


      Mujhe bhaithne ki jaga milay, meri aarzoo ka bharam rahay
      Teri anjuman mein agar nahi,teri anjuman k qareen sahi


      wallah Bohat khoob Kalam Ha



      Khush rehay



      PBT
      :(

      Comment


      • #4
        Re: Ghazal

        SArahne ka.. BUhat Shukriya!
        .Umeed E SahaR...

        Comment


        • #5
          Re: Ghazal

          واہ واہ کیا بات بات ہے








































































          ایک بھی نہین پڑھی۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔:dance5:۔
          :star1:

          Comment


          • #6
            Re: Ghazal

            bahut umdaa ...
            aala intekhab hai jinab..

            Comment


            • #7
              Re: Ghazal

              Meri daastan-e-hasrat wo suna-suna ke roye
              Mujhe aazmane wale mujhe aazma ke roye

              Teri taj-adayiyo per, teri bewafayiyon per
              Kabhi sar jhuka ke roye, kabhi muh chhupa ke roye

              Jo sunaye anjuman mai shab-e-gham ki aap biti
              Kai ro ke muskuraye, kai muskura ke roye

              Koi aisa ahle-dil ho, jo fasana-e-muhabbat
              Mai use suna ke royun, wo mujhe suna ke roye

              Mai hoon be-watan musafir, mera naam bebasi hai
              Mera kaun hai jahan mai, jo gale laga ke roye
              .Umeed E SahaR...

              Comment


              • #8
                Re: Ghazal

                [DMV][/DMV]Wo jo mehv thay sare aina, pas e aina bhi to dekhte
                Kabi roshni myn wo tergi ko chupa hua b to dekhte,

                Sar e aab jo raha tashna lab, to ye zabt e gham ki hay inteha
                Mere hal pay thay jo nukta cheen, mera hosla bi to dekhte,

                Wo utar gaye thay jo paar khud, mujhay beehch behar main chorr kar
                Tha jo un main itna hosla mujhay doobtha b tu dekthay,

                Jinhayn muj say hy ye gila k myn raha be nayaz e khuloos o rab
                Mere gird rasm o rawaj ka kabi dayera bi to dekhte,

                Wo meri hansi say hayn khush guman, k nishat e zeest hay muda'aa
                Mery ashq e gham ka wo ruka hua kabi qafila bi to dekhtejaun elia,

                Hon saza k baad b nohtaram, tu hain h airaton me ye log kyon
                Zara zehr-e-haq ka meri tarah kabhi zaiqa bh tu dekhtay,

                Wo bhoht he sehal samajh rahay thay meri tishnagi se mout ko
                Mere jism se tooti saans k, wo rabata bhi tu dekhtay.
                .Umeed E SahaR...

                Comment


                • #9
                  Re: Ghazal

                  Sar e aab jo raha tashna lab, to ye zabt e gham ki hay inteha
                  Mere hal pay thay jo nukta cheen, mera hosla bi to dekhte,


                  wah Bohat Khoob warda Acha Intekhab Hai..Khush Rehay

                  PBT
                  :(

                  Comment


                  • #10
                    Re: Ghazal

                    Koi umeed bar nahi aati,
                    Koi surat nazar nahi aati.
                    Mout ka ek din muaeeyn hai,
                    Nind kyu raat bhar nahi aati.
                    Aage aati thi haal-e-dil pe hansi,
                    Ab kisi baat par nahi ati ..
                    Hai kuch aisi hi baat jo chup hoon
                    Warna kiaa baat kar nahi aati
                    Hum waha he jahaan se hum ko
                    Kuchh humari khabar nahi aati.
                    Marte he aarzoo me marne ki,
                    Mout aati he par nahi aati.
                    .Umeed E SahaR...

                    Comment


                    • #11
                      Re: Ghazal

                      Originally posted by Warda Kapoor View Post
                      Koi umeed bar nahi aati,
                      Koi surat nazar nahi aati.
                      Mout ka ek din muaeeyn hai,
                      Nind kyu raat bhar nahi aati.
                      Aage aati thi haal-e-dil pe hansi,
                      Ab kisi baat par nahi ati ..
                      Hai kuch aisi hi baat jo chup hoon
                      Warna kiaa baat kar nahi aati
                      Hum waha he jahaan se hum ko
                      Kuchh humari khabar nahi aati.
                      Marte he aarzoo me marne ki,
                      Mout aati he par nahi aati.
                      hmmm lagta hai ab kuch settings ki samj agyee hai ap ko





                      Comment


                      • #12
                        Re: Ghazal

                        ...........TAAJ MAHAL..........
                        Taaj tere liye ek mazhare ulfat hi sahi
                        tujhko iss waadiye rangein se aqeedat hi sahi

                        maire mahboob kahiN aur mila kar mujhse ...!!

                        bazm e shaahi meiN ghareeboN ka guzar kya maani
                        sabt jis raah pa hoN satwate shahi ke nishaaN
                        uss pa ulfat bhari roohoN ka safar kya maani
                        anginat logoNne duniya meiN mohabbat ki hai
                        kaun kahta hai ke saadiq na thEy jazbe unke
                        lekin unke liye tash'heer ka saamaan nahiN
                        kyuNke woh logg bhi apni hi tarah muflis thEy

                        meri mahboob unheiN bhi tO mohabbat hogi
                        jin ki raanaai ne bakhshi hai isey shakl e jameel
                        unke pyaroN ke maqabir rahe be naam o namood
                        aaj tak unpa jalaai na kisi ne qandeel

                        ye chamanzaar, ye Jamna ka kanara, ye mahal
                        ye munaqqash dar o deewaar, ye mehraab, ye taaq
                        ek shahanshah ne daulat ka sahara leikar
                        humm ghariboN ki mohabbat ka uRhaya hai mazaaq

                        mere mahboob kahiN aur mila kar mujhse ....!!!
                        .Umeed E SahaR...

                        Comment


                        • #13
                          Re: Ghazal

                          Originally posted by Baniaz Khan View Post


                          hmmm lagta hai ab kuch settings ki samj agyee hai ap ko
                          .....thori bht ...khyr ye muqaam dad daine ka tha......"
                          .Umeed E SahaR...

                          Comment


                          • #14
                            Re: Ghazal

                            Originally posted by Warda Kapoor View Post

                            .....thori bht ...khyr ye muqaam dad daine ka tha......"
                            dad bhi mil jaye gi ap khud dekho gy apny kam aur intikhab mae nikhar





                            Comment


                            • #15
                              Re: Ghazal

                              Qurb k na wafa k hotay hain,
                              saray jhagray ana k hotay hain
                              baat niyyat ki sirf hai warna,
                              waqt saray dua k hotay hain
                              bhool jatay hain, mat bura kehna,
                              log putlay khata k hotay hain
                              who bazahir jo kuch nahi lagtay,
                              un sai rishtay bala k hotay hain
                              woh hamara hai is tarah sai Faiz,
                              jaisay banday Khuda k hotay hain ......
                              .Umeed E SahaR...

                              Comment

                              Working...
                              X