Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sirf december poetry

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: sirf december poetry

    Aey December! Teri Yukh Bastagi Mein B...

    Talab Uski, Q Munjamid Nhi Hoti...??:-)

    Comment


    • Re: sirf december poetry

      December !
      Ab K Har "DiL" Mein Yehi Elaan Kr Dena...


      Bohat Sardi mein Aaya H0on,
      Mujhe Yaad0n Se Garma Do..

      Comment


      • Re: sirf december poetry

        teri yadoN ki barf-bari ka Mosam,

        sulagta raha dil k aNdar akeley.

        irrada tha je laiN ge tujh se bichar kar,

        guzarta Nahi ik December akeley..!

        Comment


        • Re: sirf december poetry

          Bars Raha Hai Badal Mere Verane Main,,



          Ye Andaz Acha Hai December K Jane Ka..

          Comment


          • Re: sirf december poetry

            kitNi mushkil se kat raha hai yeh dilkash sa maNzar,,,,


            baarish bhi baras rahi or December bhi ja raha hai...!!!

            Comment


            • Re: sirf december poetry

              Woh mujhko sonp gya furqaten "December" me,

              Darkhat-e-jaan pe wohi Sardyun ka Mausam hai. . .

              Comment


              • Re: sirf december poetry

                Akeli shaam Or tanha December,
                Main bad'naam Or tanha December

                Veeran rstay sajaa maikhana,
                Chhalkta Jaam Or tanha December

                Tere Khatt, Or teri Yaadein,
                Tera naam Or tanha December,

                Her lamha fursat tarsti Aankein
                Adhoray Kaam Or tanha December

                Main tum Or muhabbat,
                Ya ilzam Or tanha December

                Doobta suraj wapis loatay Panchi,
                Guzarti shaam Or tanha December

                Chaltay chaltay Q ruk gaye hain
                Mere gaam Or tanha December...

                Comment


                • Re: sirf december poetry

                  ye saal bhi udas raha roth kar gaya,

                  tujh se mile bagher december guzar gaya.

                  jo bat moa'tbar thi,sir se guzar gai,

                  jo harf sarsri tha dil meiN utar gaya..!!

                  Comment


                  • Re: sirf december poetry

                    Waqt guzarta ja raha hai ho sakay tu laot aana,
                    Saal bi guzarta ja raha hai ho sakay to laot aao.

                    Phir se shurru honay wali hain december ki barishain,
                    Mera dil bujhta ja raha hai ho sakay to laot aào.

                    Kaisy kaaton bin teray december ki khamosh Sard raatain,
                    Yahan badan bi toot'ta ja raha hai ho sakay to laot aao.

                    Apnay aanchal ki dhoop do meray paas aa kar mujhay,
                    Yeh saal beeta ja raha hai ho sakay to laot aao.

                    Kahin phir say yeh december akailay na beet jaye,
                    Yeh gham nigalta ja raha hai ho sakay to laot aao...!!

                    Comment


                    • Re: sirf december poetry

                      Hamara saath deny ko

                      Saawan ke bharey baadal
                      Galey mil mil ke royenge

                      Phir itna paani barsega
                      Samander seh na payega

                      Karo na zidd chaley aao

                      Rakha he kia DECEMBER mei!!

                      Dilo'n mei piyaar he to phir

                      Maheeny sarey ache hai

                      Kisi bhi piyary mausam mei
                      Chupkey se chley aao

                      Chlao ab maan bhi jao

                      DECEMBER to DECEMBER he,,

                      DECEMBER ka bharosa kia !!

                      DECEMBER beet jayega. .

                      Comment


                      • Re: sirf december poetry

                        Aik Baar To Milne Chale Aao December jane Wala Hai,

                        Kesa Guzra Hai Ye Saal Batao,
                        December jane Wala Hai,

                        Khush Ho Jao K Milne Ka Saal
                        Aa Raha Hai Phir,

                        Yun Na Aansu Bahao,
                        December jane Wala Hai,

                        Shayad Ab K Baras Bhi Wo Loot Kar Na Aaye,

                        Tanhaiyo Abi Chor K Na Jao, December jane Wala Hai,

                        Ye Kya K Raat Din Uski Yaad Me Dube Rehna,

                        Na Gham Ki Barish Me Nahao,
                        December jane Wala Hai,

                        Ay Mere Dukhon K Saathiyon
                        Khush Ho Jao,

                        Apne Apne Gharon Ko Sajao, December jane Wala Hai,

                        Kya Pata Phir December Aye Na Aye,

                        Meri Maano Ab Tum Loat Aao,
                        December jane wala Hai,

                        "HaN DecembeR janE WalA HaI"

                        Comment


                        • Re: sirf december poetry

                          DECEMBER aa kr..
                          Dareechon mein thehar jaaye..

                          Tu
                          dewaaron pe...

                          Calendar badalnay se..
                          ,
                          Yadein to nhi jati....!

                          Comment


                          • Re: sirf december poetry

                            Abhi Hijar Ka Qayam Hai Or December Aan Puncha Hai,

                            Ye Khabr Shehar Mein Aam Hai December Aan Puncha Hai,

                            Aangan Mein Utar Ayi Hai Manoos Si Khushbo,

                            Yaadon Ka Azdahaam Hai December Aan Puncha Hai,

                            Khamoshyon Ka Hai Raaj Khizaa'n Taak Mein Hai,

                            Udasi Bhi Bohat Aam Hai December Aan Puncha Hai,

                            Tere Aany Ki Umeed Bhi Ho Chuki Madham Madham,

                            Naye Saal Ka Ehtamaam Hai December Aan Puncha Hai,

                            Khunak Rutt Mein Udasi Bhi Chokhat Pe Khari Hai,

                            Judai Ki Udas Sham Hai December Aan Puncha Hai,

                            Tum Aao To Mere Musamo'n Ki Bhi Takmeel Ho Jaye,

                            Nayi Rutt To Sar_e_Baam Hai December Aan Puncha Hai..!!

                            Comment


                            • Re: sirf december poetry

                              December...Aah!

                              December lot aya he...

                              Tmhare lot aney ki

                              Nai umeed jagi he

                              Abhe pichley baras tum ne

                              Mere hathon pe rakh k hath

                              Haya se munh chupaya tha

                              Abhe pichley baras hi to

                              December ke mahiney men

                              Tumhain bahon men thama tha

                              Or april aney tak

                              Tmhari jheel C ankhon men

                              Naya spna sajaya tha

                              Merey chotey se aangan men

                              Tumhain wehshat C hoti thi

                              Mujhey tum ne bataya tha

                              Ksi ki qaid men rehna

                              Mujhey acha nhe lagta

                              Men ik azad panchi hn...

                              Suna he phir se tanha ho

                              September k maheeney se

                              Bohot khamosh rehtey ho

                              K jis ko tum ne chaha tha

                              Wafa k naam se usko

                              Bohot wehshat C hoti thi

                              Comment


                              • Re: sirf december poetry

                                December ke Maheene ka Wo Shayad Aakhri Din Tha

                                Guzashta Saal mein Main ne
                                Mohabbat Lafz Likha Tha

                                Kisi Kaghaz ke Tukrey per
                                Achanak Yaad Aaya he

                                Guzashta saal mujh ko kisi se baat karni thi...

                                use khna tha jaan-e-jaan mujhe tm se mohbbat he

                                mager main keh nahin paya

                                wo kaghaz aaj b lipta para he dhol mein lekin

                                kisi ko de nahin
                                paya
                                december phr se aaya
                                he
                                december phr se jaye
                                ga

                                dobara chaah kar b main mohabbat kar nahin
                                paya...

                                Comment

                                Working...
                                X