Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sirf december poetry

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #91
    Re: sirf december poetry

    Raat Uss ne Poocha tha
    Tum ko Kaisi Lagti Hai
    Chandni December ki_____!!

    Main ne Kehna Chaha Tha:
    Saal-o-Maah ke Baarey mein
    Guftagu ke Kya Maani ?
    Chahey koi Manzir ho
    Dasht ho , Sumnadar ho
    June ho , December ho
    Dharkanoo'n ka Har Naghma
    Manzaroo'n pe Bhaari hai
    Saath Jab Tumhara Ho
    Dil ko Ik Sahara ho
    Aisa Lagta hai, jaise
    Ik Nasha sa Taari hai

    Lakin Uss ki Qurbat mein
    Kuch Nahi Kaha Main ne
    Takti Reh gayi Mujh ko
    Chandni December ki_____!!

    Comment


    • #92
      Re: sirf december poetry

      December ki sard hawaoo
      Us se milo to kehna
      K aaj bhe
      Us ki yaad
      Kisi k dil main
      Mustaqil
      Khaima zan hay
      Koi aaj bhe usay
      Uthtay,bethtay,sotay ,jagtay,
      Hanstay,rotay
      Yaad karta hay_____!!

      Comment


      • #93
        Re: sirf december poetry

        December ki sard hawaoo
        Us se milo to kehna___!!

        K aaj bhe
        Kisi ki palkain
        Sir e sham he
        Us k intizar main
        Beech jati hain,
        Aaj bhe koi
        Us kay liye
        Udas rehta hay___!!

        December ki sard hawaoon
        Us se milo toa kehna
        K aaj bhe
        Kisi k din rat
        Us kay bin
        Sogawar guzertay hain,
        Aaj bhe
        Kisi ki aankhain
        Us kay liye
        Num rehti hain__!!

        December ki sard hawaoo
        December ki sard hawaoo
        December ki sard hawaoo__!!

        Comment


        • #94
          Re: sirf december poetry

          Kayii Saal Guzrey
          Kayii Saal Beetey
          Shab-o-Roz Ki Gardishon Ka Tasalsul
          Dil-o-Jaan Mein Saanson Ki Partein Ultatey Hue
          Zalzalon Ki Tarah Haanpta Hay!
          Cheekhtey Hue Khuwab
          Aankhon Ki Nazuk Ragein Cheeltey Hain
          Magar Main Har Ik Saal Ki Goud Mein
          Jagti Subah Ko
          Bey Karaan Chahton Se Atti Zindagi Ki Dua Dey Kar
          Ab Tak Vohi Justaju Kar Raha Hoon
          Safar Zindagi Hay
          Safar Aagahi Hay
          Safar Aabla Payii Ki Dastan Hay
          Safar,Umer Bhar Ki Sulagti Hui Khuwahishon Ka Dhuwan Hay
          Kayii Saal Guzrey
          Kayii Saal Beetey
          Musalsal Safar k Kham-o-Paich Mein
          Saans Leti Hui Zindagi Thak Gayii Hay
          k Jazbon Ki Geeli Zameenoo Mein
          Boye Hue Roz-o-Shab Ki Har Ik Fasal Ab Pakk Gayii Hay
          Guzarta Hua Saal b Aakhrii Hichkiyaan Ley Raha Hay
          Mery Paish-o-Pass
          Khauf, Dehshat, Ajal,Barood Ki Mouj
          Aabadian Noch Kar Apney Jabrron Mein Jhakrri Hui Zindagi Ko
          Darindoo Ki Surat
          Nigalney Ki Mashqon Mein Masroof Tar Hain
          Har Ik Rasta, Maut Ki Rahguzar Hay
          Guzarta Hua Saal Jaisy b Guzra
          Magar Saal k Aakhri Din
          Nihayet Kathin Hain
          Har Ik Simt Laashon k Anbaar
          Zakhmi Janazon Ki Lambii Qitarein
          Kahan Tak Koi Dekh Paye?
          Hawaon Mein Barood Ki Baas
          Khud Aman Ki Noha Khuwan Hay
          Koi Chara Gar, Asr-e-Hazir Ka Koi Maseeha Kahan Hay?
          Mery Milney Walon!
          Naye Saal Ki Muskuratii Subah Gar Haath Aye
          To Milna!!
          k Jatay Hue Saal Ki Saaton Mein
          Yeh Bujhta Hua Dil
          Dharakta To Hay
          Muskurata Nahi
          December Mujhay Raas Aata Nahi_____!!

          Comment


          • #95
            Re: sirf december poetry

            December Mujhey Raas Aata Nahi

            Suno____!!!
            Guzarta Hua Saal Jaisey Bhi Guzraa
            Magar Saal Kay Aakhri Din
            Nihaayat Kathhin Hain..
            Suno_______!!!
            Naye Saal Ki Muskuraati Hui Subha
            Yeh Bujhhta Hua Dil Dharakta To Hai..
            Muskuraata Nahi..
            December Mujhey Raas Aata Nahi_________!!

            Comment


            • #96
              Re: sirf december poetry

              Wo gham
              Wo aansoon
              Wo dard
              Ab bhi mehsoos hota hai____!!

              Wo batain
              Wo sapnain
              Wo ratain
              Ab bhi jeetain hain_________!!

              Wo rahain
              Wo sasain
              Wo bahain
              Ab bhi tarpati hain________!!

              Par sard shamain guzar rahi hai
              Wo garm sasain thehar rahi hain

              Aankhon ki un surkhion main lehar thi jo wo jam rahi hai
              Aur zindagi bhi tham rahi hai

              K Ab

              December Beet Raha Hai_____!!

              Comment


              • #97
                Re: sirf december poetry

                Dekh December Ab Mat Aana
                Dekh December Mere Ander
                Kitnay Sehra Phail Chukay Hain
                Tanhayi Ki Rait Ne Mere
                Saaray Darya Paat Diye Hain
                Ab Main Hoon
                Aur Mere Banjar Pun Ki Bojhalta Hay
                Dekh December
                Teri BarFaab Shaboon Mein
                Teri BeKhuwab Shaboon Mein
                Khuwab Sweater Kon Bunay Ga
                Rooh k Ander Girti Barfein Kon Chunay Ga
                Dekh December Ab Mat Aana
                Aur Agar Tu Aye b To
                Apnay Dukh Ki Baraf Pehan Kar
                Dhoop Diyaroon Tak Mat Jana
                Mere Pyaroon Tak Mat Jana
                Dekh December Ab Mat Aana________!!
                ______________

                Comment


                • #98
                  Re: sirf december poetry

                  December Ki Thatharti Shaam

                  December ki tatharti shaam hai
                  Aur mein sulagta hoon dooston

                  Dil mein ik mehfil jami hai
                  Aur mein tanha hoon dooston

                  12 Maahh ki ronkeen tanha hi dekh ker
                  Aaj najany kiuon wo mere taraf chala aya hai dooston

                  Aankein khush hein dekh ker usay
                  Aur dil gay dinon ka soog mana raha hai dooston

                  Zaalim halaat ka sitam suna raha hai
                  Bekhabar mere barbadi suna raha hai doston

                  Shaid aab kay koi aietbar ki sorat nikal hi aay
                  Usay roko kay wo phir se rooth ker ja raha hai doston_______!!

                  Comment


                  • #99
                    Re: sirf december poetry

                    Mujh Se Poochtey Hain Log
                    Kis Liye December Mein
                    Yun Udas Rehta Hoon
                    Koi Dukh Chupata Hoon
                    Yaa Kisi k Janey Ka
                    Sog Main Manata Hoon

                    Aap Mery Album Ka
                    Safha Safha Dekhein Ge?
                    Aayiee Dikhata Hoon
                    Zabt Aazmata Hoon

                    Sardion k Mausam Mein
                    Garam Garam Coffee k
                    Chotay Chotay Sip Ley Kar
                    Koi Mujh Se Kehta Tha
                    Haye Iss December Mein
                    Kis Bala Ki Sardi Hay
                    Kitna Thanda Mausam Hay
                    Kitni Yakh Hawayein Hain
                    Aap b Ajab Shay Hain
                    Itni Sakht Sardi Mein
                    Ho k Itney Bey Parwah
                    Jeans Aur T-Shirt Mein
                    Kis Mazey Se Phirtey Hain

                    Shaal b Mujhay Dey Di
                    Coat b Oorrha Dala
                    Phir b Kaanpti Hoon Main
                    Chaliye Ab Sharafat Se
                    Pehan Lijiye Sweater
                    Aap k Liye Main Ne
                    Bun Liya Tha Do Din Mein

                    Kitna Maan Tha Uss Ko
                    Meri, Apni Chahat Par
                    Ab b Har December Mein
                    Uss Ki Yaad Aati Hay

                    Garam Garam Coffee k
                    Chotay Chotay Sip Ley Kar
                    Haath Gaal Par Rakhey
                    Hairat Aur TaAjjub Se
                    Mujh Ko Dekhti Rehti
                    Aur Muskura Deti

                    Shokh-o-Sard Lehjay Mein
                    Mujh Se Phir Vo Kehti Thi
                    Itney Sard Mausam Mein
                    Aadhi Sleeves Ki T-Shirt
                    Iss Qadar Na Itrayein
                    Seedhay Seedhay Ghar Jayein

                    Ab Ki Baar Jab Aayein
                    Brown Trouser K Sath
                    Black High Neck Pehnein
                    Coat Koi Dhang Ka Ley Lein
                    Warna Main Qasam Se Phir
                    Aisy Rooth Jaon Gi
                    Dhoondtey Hi Rahiye Ga
                    Samney Na Aaon Gi

                    Pass Baithey Abbu k
                    Politics Par Kijiye Garam Garam Discussion
                    Coffee Ley Kar Kamrey Mein
                    Main To Phir Na Aaon Gi
                    Khali Khali Nazron Se Aap In Khalaon Mein
                    Yunhi Taktey Rahiye Ga
                    Aur Bey Khayali Par Daantt Khatey Rahiye Ga

                    Kitni Mukhtalif Thi Vo
                    Sab Se Munfarid Thi Vo
                    Apni Aik Lagzish Se
                    Main Ne Kho Diya Uss Ko
                    Ab b Har December Mein
                    Uss Ki Yaad Aati Hay...!!!

                    Comment


                    • Re: sirf december poetry

                      Suno!
                      December Ki Thatharti Hoi Shamien
                      Kohar Mein Lipti Dhundali Se Subhien
                      Darakhto'n Se Girtey Huay
                      Khushk Zard Pattey
                      Woh Gao'n Ke Tama'm Raste
                      Mohabbato'n Ke Tama'm Rishtey
                      Khiyaal Abad Karte Hain
                      Tumhein Sab yaad Karte Hain___!!

                      Comment


                      • Re: sirf december poetry

                        gaye din .....!
                        gaye pal laut'ty nahi
                        magr mosam laut aaty hain
                        wohi mosam!
                        jo apni rafaqatoon k ameen they
                        wo saary lamhay jo dil ko azbar thy
                        sunoo !
                        wo mosam laut aye hain
                        December laut aya hai

                        meri khirki main yakh-basta hawaain
                        tumhari Hidat churaa k lai hain
                        Khunak Mosam muj se baten krta hai
                        tumhary lehjay main!
                        bolta hai

                        wohi meethi c sargooshi
                        wohi jadu bhara lehja
                        soochon to paas ho kitny
                        dekhon jo ....
                        tum! kahen bhi nahi
                        December laut aya hai magar ab ke
                        meri khalwat k haseen lamhon main
                        tumhary ehsaas k siwa kuch
                        kahen bhi nahi
                        kuch bhi nahi...

                        Comment


                        • Re: sirf december poetry

                          Ane wale December Ki Is Sham Mein
                          Chupkay Say Agar Tum Aa Jao

                          Ye Sham Suhani Ho Jaye
                          Rangeen Kahani Ho Jaye

                          Wo Bat Jo Lab Na Keh Sky
                          Ankhon Ki Zubani Ho Jaye

                          Koi Pyar Ka Naghma Tum Cherro
                          Koi Pyar Ka Geet Sunayen Hum

                          Haan Pyar Karen Youn Hum Dono
                          Ye Raat Suhani Ho Jaye

                          Mai Bethun Tere Pehlu Mein
                          Kuch Dil Ki Baten Ho Jaye

                          Tum Unglyan Phero Mere Balon Mein
                          Hum Meethi Neend So Jayen

                          Comment


                          • Re: sirf december poetry

                            Ik baar to milny aao december aany wala he
                            Kesa Guzra he ye sall batao December aany wala he

                            Khush ho jao K milny ka saal aa rha he phir
                            wasi youn na aanso bahao december aany wala he

                            Shayed ab k baras bhi wo lot kr na aay
                            Tanhaiyon abhi chor kar na jaao December aany wala he

                            Ae mery dukhon k sathiyo Khush ho jao
                            Apny apny Ghron Ko sajao December aany wala he

                            Kia pata Phir december aay na aay Jany (WASI)
                            Meri mano ab tum lot aao december aany wala he
                            Han December aany wala he.

                            Mery Ban Jao

                            Comment


                            • Re: sirf december poetry

                              Faqt ik meri baat nahi thi,
                              Sub ka dard December tha,
                              Barf ke shehr main rehne wala,
                              ik ik fard December tha,
                              Pichle saal ke akhir main bhi,
                              Hairat main hum teenon thy,
                              Ik main tha,
                              Ik tera gham tha,
                              Ik be dard December tha….

                              Comment


                              • Re: sirf december poetry

                                ابھی کچھ لمحے باقی ہیں
                                رواں سال ختم ہونے میں
                                چلو ایسا کریں ہم تم
                                گلے شکوے چو رہتے ھیں
                                ہمیشہ درمیاں اپنے
                                انہیں ہم ختم کر ڈالیں
                                نئے وعدے نئی قسمیں
                                نئی بنیاد ھم باندھیں
                                نئے انداز سے جیون کا
                                ایک اک رخ بدل ڈالیں
                                دلوں میں ہے کدورت جو
                                ہم اس کو ختم کر ڈالیں
                                ابھی کچھ وقت باقی ہے
                                نیا پھر سال آنے میں

                                Comment

                                Working...
                                X