Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~ Where there is love there is life ~~ collection from the painful heart of pErIsH_BoY .>>>>>>

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~~mEri passanD~~~(17)

    ye itti sari camak chamak khan se li url to deen main ne bhi apna profile page chamkana hae


    مزا برسات کا چاہو تو ان آنکھوں میں آبیٹھو
    ساہی ہے، سفیدی ہے شفق ہے ابر باراں ہے


    roseroseroseroseroseroserose

    Comment


    • Re: ~~~mEri passanD~~~(17)

      Originally posted by pink rose View Post
      ye itti sari camak chamak khan se li url to deen main ne bhi apna profile page chamkana hae
      hmmmmmmmmmmmmm ok @pink rose
      Last edited by pErIsH_BoY; 19 February 2014, 21:08.


      Comment


      • Re: Ajeeb shakhs tha kesa mizaj rakhta tha.

        Bohat AAla ittey pyare kalam se ye doll pics match nahi karten koe romantic se pic hona caheye the
        plz mind mat kejye ga friend


        مزا برسات کا چاہو تو ان آنکھوں میں آبیٹھو
        ساہی ہے، سفیدی ہے شفق ہے ابر باراں ہے


        roseroseroseroseroseroserose

        Comment


        • Re: Ajeeb shakhs tha kesa mizaj rakhta tha.

          Originally posted by pink rose View Post
          Bohat AAla ittey pyare kalam se ye doll pics match nahi karten koe romantic se pic hona caheye the
          plz mind mat kejye ga friend
          yeh bhi to romantic pic thi @pink rose
          Last edited by pErIsH_BoY; 19 February 2014, 20:11.


          Comment


          • Re: Ajeeb shakhs tha kesa mizaj rakhta tha.

            no this is not romantic pic these are cartonic they don't have r/feelings


            مزا برسات کا چاہو تو ان آنکھوں میں آبیٹھو
            ساہی ہے، سفیدی ہے شفق ہے ابر باراں ہے


            roseroseroseroseroseroserose

            Comment


            • Re: Ajeeb shakhs tha kesa mizaj rakhta tha.

              Originally posted by pink rose View Post
              no this is not romantic pic these are cartonic they don't have r/feelings
              check ur facebook i send you requset [MENTION=18675]pink rose[/MENTION]


              Comment


              • Re: Ajeeb shakhs tha kesa mizaj rakhta tha.

                awesome lash pashhhhhhhhhh :)
                When I came home in the rain,

                Brother asked why didn't you take an umbrella...

                Sister adviced why didn't you wait till rain stopped...

                Father angrily warned, only after getting cold, you will realize...

                But Mother...
                while drying my hair said,
                Stupiid Rain!
                Couldn't it wait,
                Till my child came home...?

                That's Mom!!!

                Comment


                • Meri qabar pe aa k tum awaz nhi karna.





                  Meri qabar pe aa k tum awaz nhi karna.
                  Dard ki nayi dastan ka aagaz nhi karna.


                  Apni bebasi ko khud hi bayan kare ga ye.
                  Chehre ko kisi aine ka mohtaj nhi karna.


                  Raz jo khud se hi na chupa pao tum.
                  Aise raz min kisi ko hamraz nhi karna.


                  Na-mumkin he haqiqat k aasman min urna.
                  Khwabon k sahare is min parwaz nhi karna.


                  Zakham phir zakham hen ik roz bhar jaen ge.
                  Husan walon ko in k chara saz nhi karna.


                  Khak se bane ho khak min mil jao ge.
                  Kabhi bhoole se bhi khud pe naz nhi karna




                  Comment


                  • Mujh se bichar k, mujh ko rula kar udas tha.





                    Mujh se bichar k, mujh ko rula kar udas tha.
                    Meri trah wo khud ko jala kar udas tha.

                    Aise ajeeb dard k pehre the chaar soo.
                    Ab k wo mere shehar min aa kar udas tha.

                    Mujh ko bhi us ki yad satati rahi bht.
                    Wo bhi diyar-e-gher min ja kar udas tha.

                    Mere ilawa bhi he koi us ka shehar min.
                    Itni si bat mujh ko bata kar udas tha.

                    Us ko udas kar gayi beete dinon ki yad.
                    Guzri rafaqaton ko ganwa kar udas tha.






                    Comment


                    • Bht malool tha min, udas tha wo bhi.





                      Ajeeb rut thi k harchand pas tha wo bhi.
                      Bht malool tha min, udas tha wo bhi.

                      Kisi k shehar min ki guftagu hawaon se.
                      Ye soch kar k kahin pas tha wo bhi.

                      Hum apne zeam min khush the k us ko bhool gaye.
                      Magr guman tha ye bhi, qayas tha wo bhi.

                      Kahan ab gham-e-duniya k ab gham-e-jahan.
                      Wo din the k humen ye raas tha wo bhi.

                      Faraz tere gireban pe kal jo hansta tha.
                      Us se mile to dareeda libas tha wo bhi.






                      Comment


                      • De k ik dard naya sham nikal jati he.





                        Ashk girte hen meri sans sambhal jati he.
                        De k ik dard naya sham nikal jati he.

                        Tujh ko dekhon to mere dard ko milta he sakun.
                        Tujh se bichron to meri jan nikal jati he.

                        Ishq kuch aise mitata he nishan-e hasti.
                        Jese har rat ujale ko nigal jati he.

                        Zakham bharta hi nhi teri judai ka magr.
                        Phir teri yad naya dard ugal jati he.

                        Tu agar mere dil pe hath hi rakh de Wasi
                        Toot'ti sans bhi kuch der sambhal jati he.




                        Comment


                        • Choota jo tera hath to hum toot k roye.





                          Choota jo tera hath to hum toot k roye.
                          Tum jo na rahe sath to hum toot k roye.

                          Chahat ki tamana thi aur zakham diye tum ne.
                          Payi jo ye soghat to hum toot k roye.

                          Imkan na tha door talak tajdeed-e-talluq ka.
                          Dekhe jo ye halaat to hum toot k roye.

                          Anjan the hum ab tak dard ki surat se.
                          Hoi jo mulaqat to hum toot k roye.

                          Jeeti thi sada hum ne har bazi tere sath.
                          Tanha jo sahi mat to hum toot k roye.

                          Logon ne bht pucha sabab wirani-e-dil ka.
                          Jab ho na saki bat to hum toot k roye.

                          Thi dhoop bht tez har simt judai ki.
                          Barsi jo na barsat to hum toot k roye.

                          Zad min tha khizaon ki ab k dil-e-barbad.
                          Bichre jo shajar-e-paat to hum toot k roye.

                          Din bhar to rahe chup k duniya ki nazar thi.
                          Bheegi jo siyah rat to hum toot k roye.

                          Samjha tha sada tujh ko apna hi koi hissa.
                          Tukron min bati zat to hum toot k roye.

                          Hum karte rahe aaj talak us chaand ki khwahish.
                          Yad aayi jo auqat to hum toot k roye.






                          Comment


                          • Mohabaton ne kesa kamal kar dala.







                            Mohabaton ne kesa kamal kar dala.
                            Humen to udasiyon ki misal kar dala.

                            Kabhi milen to puchen ge ik duje se.
                            K kis ko kis k gham ne nidhal kar dala.

                            Tu bata us se kya kahon ga min.
                            Meri udasi pe jo kisi ne sawal kar dala.

                            Suna tha zindgi ka safar bht mushkil he.
                            Aur hum ne kar k mohabbat ise or bhi muhal kar dala.

                            Kuch hum bhi moum k the or kuch tum ne bhi.
                            Zindgi ko sholon ki shal kar dala.






                            Comment


                            • بھول جاؤ مجھے

                              بھول جاؤ مجھے
                              وہ تو یوں تھا کہ
                              اپنی اپنی ضرورت کی خاطر ملے
                              اپنے اپنے تقاضوں کو پورا کیا
                              اپنے اپنے ارادوں کی تکمیل میں
                              تیرہ تار خواہش کی سنگلاخ راہوں پر چلتے رہے
                              پھر بھی راہوں میں کتنے شگوفے کھلے
                              وہ تو یوں تھا کہ بڑھتے گئے سلسلے
                              ورنہ یوں ہے کہ ہم
                              اجنبی کل بھی تھے
                              اجنبی اب بھی ہیں
                              اب بھی یوں ہے کہ تم
                              ہر قسم توڑ دو
                              سب ضدیں چھوڑ دو
                              اگر یوں نہ تھا تو یوں ہی سوچ لو
                              تم نے اقرار ہی کب کیا تھا کہ میں
                              تم سے منسوب ہوں
                              میں سے اقرار ہی کب کیا تھا کہ ۔ ۔ ۔!
                              یاد آؤ مجھے
                              بھول جاؤ مجھے


                              Comment


                              • جھلک دِکھلا کے چھُپ جانا

                                محبت چاند بنتی ہے


                                محبت اَن گنت تاروں سے مل کر چاند بنتی ہے

                                جھلک دِکھلا کے چھُپ جانا

                                کبھی جانا کبھی آنا تو فطرت ہے ستاروں کی

                                بتاؤ کیوں کہا تُم نے ۔۔۔۔۔۔۔۔؟

                                کہا یہ بھی کہ پلکوں بیچ سپنے اِس طرح بے چین ہوتے ہیں ،

                                کہ جیسے ریت کے ذرّے بگولوں میں ،

                                جواب اُس نے دیا مُجھ کو ،

                                کبھی خوشبو کو شبنم میں بھی گوندھا ہے ہواؤں نے ؟

                                کبھی پھُولوں کے رنگوں کو بھی چُوما ہے صداؤں نے؟


                                Comment

                                Working...
                                X