Sahelio
Kabi jo koi
Chahton mohbaton k bare me tum se pooch le
Her ek pal gawah ha
Ke kis tarah humare ujale ujale dil duaon jesi
Chandni me nikhri nikhri chahton k geet se
Farishton jesi pareet se bhare rahe
Her ek pal gawah ha
Nigah uthi to is qadar haya ki roshni liye
K aas pas dagh dagh aankh bhi chamak uthi
Zuban hili to lafz apni azmaton ko dekh ker
Khud apne dil mein surkhuru hueye
Her aik khawab rooh se nikal ker jese rooh mein utar gaya
Sahelio
Kabhi jo zindagi mein
Koi chahton mohabaton k baare mein tum se pooch le
To tum zaroor ibadaton k baare mein us se poochna
(Farhat Abbas Shah)<<
Comment