Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~ Where there is love there is life ~~ collection from the painful heart of pErIsH_BoY .>>>>>>

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Sone nhi deti shab bhar teri yaden.

    thanks to all......................


    Comment


    • Re: Itna to mere haal par ehsan kiya kar

      thanks to all......................


      Comment


      • Re: Tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete.

        thanks to all......................


        Comment


        • Re: Mang kar tera hath le aon.

          thanks to all......................


          Comment


          • Re: Kamal e zabt ka maalik tha, nazar shanas bhi tha.

            thanks to all......................


            Comment


            • Re: ﻣﺠﮭﮯ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﺎ ﻣﺎﻥ ﺩﮮ ﺩﻭ۔۔۔۔۔۔۔۔۔!!!

              thanks to all......................


              Comment


              • Re: تو مجھ سے بچھڑا ' تو میں تیرا راز جان گیا

                thanks to all......................


                Comment


                • Re: چاندنی کے شیدائی

                  thanks to all......................


                  Comment


                  • Re: ﺁﭨﻮ ﮔﺮﺍﻑ

                    thanks to all......................


                    Comment


                    • Apna kya he sare shehar ka ik jesa nuqsan hoa.





                      Jab se us ne shehar ko chora har rasta sunsan hoa.
                      Apna kya he sare shehar ka ik jesa nuqsan hoa.

                      Shehar ki moun zor hawaen, oron se mansoob hoin.
                      Muft min hum awara thehre, muft min ghar sunsan hoa.

                      Mere hal pe herat kesi dard k tanha mosam min.
                      Pathar bhi ro parte hen insan to phir insan hoa.

                      Us k zakhm chupa kar rakhiye khud us shakhs ki nazron se.
                      Us se kesa shikawa kijiye wo to abhi nadan hoa.

                      Yon bhi kam amez tha Mohsin wo is shehar k logon min.
                      Lekin mere samne a kar aur bhi kuch anjan hoa.



                      Comment


                      • Us ki tehrir min sadiyon ka intazar bhi tha.





                        Wo ana prast sahi us ki baton min iqrar bhi tha.
                        Us k chubhte hoe lehje min chupa piyar bhi tha.

                        Wo mujhe likhta he k muntazir na rahon lekin.
                        Us ki tehrir min sadiyon ka intazar bhi tha.

                        Wo kehta he mat rutho k manana nhi ata.
                        Meri narazgi pe lekin wo be-qarar bhi tha.



                        Min shayad phir na likhta use apni khabar lekin.
                        Piyar ka bharam rakhna tha kuch dil be-ikhtiyar bhi tha.



                        Comment


                        • Jo dua de kar bhi kabhi dua batata na tha.





                          Apne dil ki halat wo kisi ko dikhata na tha.
                          Use kiya gham tha wo kisi ko btata na tha.

                          Khizan ka mosam jab se us ka nasib hi thehra.
                          Use tab se koi or mosam bhata na tha.

                          Logon ko hansane k waste zindagi bita di us ne.
                          Kitna ajeeb tha wo shakhs khud muskurata na tha.

                          Jjane kis k intazar min betha rehta tha subh-o-sham.
                          Misl-e-murat bana wo palk bhi jhapkata na tha.



                          Aj reh reh kar yad aya wo shakhs mujh ko.
                          Jo dua de kar bhi kabhi dua batata na tha.




                          Comment


                          • Mere chehre min nazar ata he chehra us ka.






                            Zat ban k meri zat min raha karta he.
                            Ik shakhs he jo mujh min basa karta he.

                            Mere chehre min nazar ata he chehra us ka.
                            Us ka tabassum mere honton pe khila karta he.

                            Mere lafzon se ada hoti hen baten us ki.
                            Mere lehje se gharoor us ka chalka karta he.

                            Meri neendon pe he barson se hakumat us ki.
                            Khwab ban k wo meri palkon pe saja karta he.

                            Is had tak meri hasti min mojud he wo shakhs.
                            Mere har naqsh min aks us ka mila karta he.




                            Comment


                            • Aik shakhs andheron min ujalon ki trah tha.





                              Pathar tha magar barfk gaalon ki trah tha.
                              Aik shakhs andheron min ujalon ki trah tha.

                              Khwabon ki trah tha na khyalon ki trah tha.
                              Wo ilm e riyazi k sawalon ki trah tha.

                              Uljha hoa asa k kbhi hal ho nhi paya.
                              Suljha hoa asa k misalon ki trah tha.

                              Wo mil to gya tha magr apna hi muqaddar.
                              Shatranj ki uljhi hoi chaalon ki trah tha.



                              Wo rooh min khushbu ki trah ho gya tehleel.
                              Jo door bht chand k haalon ki trah tha.




                              Comment


                              • Wo ojhal meri nigahon se kahan rehta he.




                                Wo ojhal meri nigahon se kahan rehta he.
                                Wo ashk ban kar aankhon se rawan rehta he.

                                Kisi lamhe tanha hone nhi deti us ki yaden.
                                Mere aangan min mele ka saman rehta he.

                                Har ghari dil ka daricha khula rakhte hen.
                                Har ghari us k ane ka guman rehta he.

                                Log kehte hen zakham bhar jate hen aakhir.
                                Zakham bhar jate hen lekin nishan rehta he.

                                Wo mile to itna bata dena us ko.
                                Tujh bin tera piyar pareshan rehta he.



                                Comment

                                Working...
                                X