Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~ Where there is love there is life ~~ collection from the painful heart of pErIsH_BoY .>>>>>>

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Jo teri talash min gum hoe kabhi un dinon ka hisab kar






    Na sama’aton min tapish ghule, na nazar ko waqif-e-azab kar.
    Jo sunai de use chup sikha, jo dikhai de use khwab kar.



    Abhi muntashir na ho ajnabi, na wisal rut k karam jita.
    Jo teri talash min gum hoe kabhi un dinon ka hisab kar.



    Mere sabar par koi ajar kiya, meri dupehar pe ye abar kiyon.
    Mujhe orhne de aziyaten, meri aadaten na kharab kar.



    Kahin aablon k bhanwar bajen, kahin dhoop roop badan sajen.
    Kabhi dil ko thal ka mizaj de, kabhi chashm-e-tar ko chanab kar.



    Ye hujoom-e-sitam-garan na sune ga teri sada kabhi.
    Meri hasraton ko sukhan suna, meri khwahishon se khitab kar.



    Ye juloos-e-fasl-e-bahar he, tahi dast, yar, saja ise.
    Koi ashk phir se sharer bana, koi zakham phir se gulab kar.




    Comment


    • Hum bhi darya hen humen apna hunar he malum.





      Sar jhukao ge to pathar dewta ho jaye ga.
      Itna mat chaho use wo bewafa ho jaye ga.

      Hum bhi darya hen humen apna hunar he malum.
      Jis taraf bhi chal paren ge rasta ho jaye ga.

      Kitni sachai se mujh se zindagi ne keh dia.
      Tu nhi mera to koi dusra ho jaye ga.

      Sab usi k hen hawa, khushbu, zameen-o-aasman.
      Min jahan bhi jaon ga us ko pata ho jaye ga.



      Comment


      • Aisa karte hen ke mar jate hen





        Habs-e-duniya se guzar jate hen.
        Aisa karte hen ke mar jate hen.

        Kese hote hen bicharne wale.
        Hum ye sochen bhi to dar jate hen.

        Dil jo toote to sar-e-mehfil bhi.
        Baal be waja bikhar jate hen.

        Ab na dekho meri banjar aankhen.
        Charhte dariya bhi utar jate hen.

        Tum kahan jao ge socho Mohsin.
        Log thak har k ghar jate hen.





        Comment


        • Farz karo ye donon baten jhooti hon afsane hon.





          Farz karo hum ahl-e-wafa hon, farz karo deewane hon.
          Farz karo ye donon baten jhooti hon afsane hon.

          Farz karo ye ji ki bipta, ji se jorh sunai ho.
          Farz karo abhi or ho itni, aadhi hum ne chupai ho.

          Farz karo tumhen khush karne k dhoonde hum ne bahane hon.
          Farz karo ye nain tumhare sach much k mekhane hon.

          Farz karo ye rog ho jhoota, jhooti peet humari ho.
          Farz karo is peet k rog min sans bhi hum par bhari ho.

          Farz karo ye jog ba jog ka hum ne dhong rachaya ho.
          Farz karo bas yehi haqiqat baqi sab kuch maya ho.




          Comment


          • Wo larki jo mere dil min basa karti thi.





            Sath roti thi mere sath hansa karti thi.
            Wo larki jo mere dil min basa karti thi.



            Meri chahat ki talabgar thi wo is qadar k.
            Namazon min milne ki dua karti thi.



            Aik pal ka bichrna bhi gawara na tha us ko.
            Rote rote wo mjhe khud se juda karti thi.



            Mere dil min wo rahi dharkan ban kar.
            Aur saye ki trah sath chala karti thi.



            Rog-e-dil jo laga bethi thi anjane min.
            Meri aghosh min marne ki dua karti thi.



            Bat qismat ki he jo juda ho gaye hum.
            Warna wo to mujhe taqdir kaha karti thi.





            Comment


            • Gungunate hoe anchal ki hawa de mujh ko.






              Gungunate hoe anchal ki hawa de mujh ko.
              Ungliyan pher kar balon min sula de mujh ko.



              Jis trah faltu guldan pare rehte hen.
              Apne ghar k kisi kone se laga de mujh ko.



              Yad kar k mujhe takleef hi hoti hogi.
              Aik qissa hon purana sa bhula de mujh ko.



              Doobte doobte awaz teri sun jaon.
              Akhri bar tu sahil se sada de mujh ko.



              Min tere hijar min chup chap na mar jaon kahin.
              Min hon sakte min kabhi aa k rula de mujh ko.



              Dekh min ho gaya badnam kitabon ki trah.
              Meri tash’heer na kar ab tu jala de mujh ko.



              Roothna tera meri jan liye jata he.
              Aise naraz na ho hans k dikha de mujh ko.



              Aur kuch bhi nhi manga mere malik tujh se.
              Us ki galiyon min pari khak bana de mujh ko.



              Log kehte hen k ye ishq nigal jata he.
              Min bhi is ishq min aya hon, dua de mujhe ko.



              Yehi okat he meri tere jeewan min k min.
              Koi kamzor sa lamha hon, bhula de mujh ko.






              Comment


              • Ajeeb shakhs tha kesa mizaj rakhta tha.







                Ajeeb shakhs tha kesa mizaj rakhta tha.
                Sath reh kar bhi, ikhtalaf rakhta tha.



                Min kiyon na daad don us k fan ki.
                Mere har sawal ka pehle hi jawab rakhta tha.



                Wo to roshniyon ka basi tha magr.
                Meri andher nagri ka bara khayal rakhta tha.



                Muhabbat to thi use kisi aur se shayad.
                Hum se to yon hi hansi mazaq rakhta tha.




                Comment


                • Re: Apna kya he sare shehar ka ik jesa nuqsan hoa.

                  Umdah intakhaab!
                  aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                  kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                  Comment


                  • Re: Ajeeb shakhs tha kesa mizaj rakhta tha.

                    Bohat khoob!
                    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                    Comment


                    • Re: Farz karo ye donon baten jhooti hon afsane hon.

                      Bohat umdah intakhaab!
                      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                      Comment


                      • Re: Gungunate hoe anchal ki hawa de mujh ko.

                        Bohat khoob!
                        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                        Comment


                        • Re: Wo larki jo mere dil min basa karti thi.

                          Bohat khoob!
                          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                          Comment


                          • Re: Aisa karte hen ke mar jate hen

                            Bohat Umdah!
                            aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                            kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                            Comment


                            • Re: ﺁﭨﻮ ﮔﺮﺍﻑ

                              kya baat hai

                              Comment


                              • Re: چاندنی کے شیدائی

                                Buhat umda

                                Comment

                                Working...
                                X