Bhoj Lo T0 Hum Tumaray.....
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
~~ Where there is love there is life ~~ collection from the painful heart of pErIsH_BoY .>>>>>>
Collapse
X
-
Doo saathi anjaan..!!!
Shayad hein kuch afsurda se
Yaa shayad hairaan
Rukh pe jhoota sakon sajaaey
Mann main hein pareshaan
Saakt lab hein harf uthhaaey
Per mushkil hai bayaan
Pehel kare gaa doosra saathi
Ker k yeh gumaan
Hoontt daba k hoontoun per
Ker lee band zubaan
Aankhein hain laa'taalluq phir bhi
Ek doojey ka dhiyaan
Kitney ziddi kitney pagal
Kitney hein nadaan
Ek doojey ko jaan-ney waaley
Doo saathi anjaan..!!!
Comment
-
Koi phool dhoop ki pattiyon main harray ribbon se bandha howa
Koi phool dhoop ki pattiyon main harray ribbon se bandha howa,
Wo ghazal ka lehja naya naya na kaha howa na suna howa,
Jise le gayi abhi hawa wo warq tha dil ki kitaab ka,
Kahin aansuon se mita howa kahin aansuon se likha howa,
Kayi meel rait ko kaat ker koi mouj phool khila gai,
Koi pairr piyaas se mar raha hai nadi k paas kharra howa,
Wahi khat k jis pe jagah jagah do mahekte hontoun k chaand thay,
Kisi bhoole-basre se taaq per tah_e_gard ho ga daba howa,
Mujhe haadson ne saja saja k bohat haseen bana dia,
Mera dil bhi jese dulhan ka haath ho mahendiyon se racha howa,
Wohi shehar hai, wohi raaste, wohi ghar hai aur wahi lawn bhi,
Magar is dareeche se poochna wo darakht anaar ka kia howa?
Mere saath jugnoo he hum-safar magar is sharaar ki bisaat kia?
Ye chiraagh koi chiraagh hai na jala howa na bujha howa...!!!!
Comment
-
Ab wo yad ata hay
Ab wo yad ata hay
jis k pas honay se
waqt k guzarnay ka
kuch pata na chalta tha
Ab se pehlay sab shamein
shehar mai utrti thin
un ghazal Ankhon ki
surmagin ijazat se
aur subah hoti thi
uss k roshan tamasal
gaal ki tamazt se
ab wo yad ata hay
jis k door janay se rat din badaltay
aur na dil dharkta hay
zindagi nahi hay ye
Mustaqil alalat hay
Rog hay Dil-o-jaan ka
har ghari qayamat ka
Aasman b hay gum sum
aur zamin b gongi hay
chaar so howey madham
kho gaya kahi humdm
aur safar kat-ta hay km
kitni door jana hay
aur kahan thikana hay
kuch khabr nahi Ahmad
us ki chah nagri mai
kho gaya kahin Ahmad
shehar to wohi hay per
us mai wo nahi Ahmad
umar ik anghoti thi
aur wo nageen Ahmad
jis ko khojtay ho tum
wo kahin nahi Ahmad
wo to aik badal tha
wo to aik jhonka tha
wo to aik lamha tha
kab kahin rukay badal?
kab hawa kahin thehri?
lakh rokna chaha
waqt bewafa mahi
waqt taiz ru murakab
waqt tand kho darya
aur khaar-o-khas hum sab
Roknay ka socha to
khud b sath beh jao
shaam ho gayi Ahmad
khuwab ghar ki khirki se
waqt ki gulo karra
loriyan sunati hay
piyaar se bulati hay
aur kehti jati hay
shaam ho gayi Ahmad
zindagi gayi Ahmad
aao thora sasta lo
kis ki rah taktay ho?
Manzilon ki chahat ka
jin per sehar taari ho
Aisey khud magan rahi
Raah ki Muhabbat mai
Mubtala nahi hotay
kis ki raah taktay ho?
khud pasand logon ko
Iss tarah nahi rotay...
Comment
-
Mainey is tor se chaha tujhey aksar jana
Mainey is tor se chaha tujhey aksar jana!
Jaise mehtab ko be unt samander chahay
Jaise sooraj ki kiran seep k dil main utre
Jaise khushbu ko hawa rang se hut kar chahay
Jaise khuabon main khayalon ki kaman toot-ti hai
Jaise barish ki dua abla pa mangtay hain
Mera her khuab merey sach ki gawahi de ga
Wusat-e-deed ne tujhse teri khuahish ki hai
Meri sochon main kabhi dekh sarapa apna!
Mainey dunya se alag teri paristish ki hai
Mainey is tor se chaha tujhe!
Mainey is tor se chaha tujhe aksar jana..
Comment
-
Dedicated to sheen....!!
Hum ney tu khair tujh se shikayat kabhi naa ki
aisa nahin k dil ney baghawat kabhi naa ki
kis haal main hain tere satyee howe ye log
tu ney poochney ki bhi zehmat kabhi naa ki
mehsoos kaya kary ga woh oroon k dard ko
jis ney khud apney aap se ulfat kabhi naa kii
chaha hai main ney jiss ko barii shidatoon k saath
iss tarah uss ney mujhy se muhabat kabhii naa kii
her dastan terii bohat ghor se sunii
lakin bayan apnii shikayat kabhi naa kii
ek khawab tha jo apnii shaboon per raha muheet
kaya khawab tha?kisi se wazahat kabhii naa kii
ek aag thii k jalty rahy jis main umer bher
ek dard tha k jis main khayanat kabhii naa kii
[MENTION=19969]SheeN[/MENTION]
Comment
-
chal mere saath hi chal...................
chal mere saath hii chal ai merii jaan-e-Gazal
in samaajon ke banaaye huye bandhan se nikal, chal
ham vahaan jaaye jahaan pyaar pe pahare na lagen
dil kii daulat pe jahaan koi lutere na lagen
kab hai badalaa ye zamaanaa, tuu zamaane ko badal, chal
pyaar sachchaa ho to raahen bhii nikal aatii hain
bijaliyaan arsh se Khud raastaa dikhalaatii hain
tuu bhii bijalii kii tarah Gham ke andheron se nikal, chal
apne milne pe jahaan koi bhii unglii na uuthe
apanii chaahat pe jahaan koi dushman na hanse
chherr de pyaar se tuu saaz-e-mohabbat pe ghazal, chal
piichhe mat dekh na shaamil ho gunaahagaaron men
saamane dekh ki manzil hai terii taaron men
baat bantii hai agar dil men iraade hon atal, chal
chal mere saath hi chal...................
Comment
-
Aj ek harf ko phir dhoondta phirta hai khayal
Aj ek harf ko phir dhoondta phirta hai khayal
Aj ek harf ko phir dhoondta phirta hai khayal
Mad bharA harf koi, zahar bharA harf koi
Dil-nashin harf koi, qahar bharA harf koi
Aj ek harf ko phir dhoondta phirta hai khayal
harf-e-ulfat koi dildAr-e-nazar ho jaise
jis-se milti hai nazar bosA-e-lab ki surat
itna roshan ke sare-mauja-e-zar ho jaise
sohbat-e-yaar me AghAz-e-tarab ki surat
harf-e-nafrat koi shamsheer-e-ghazab ho jaise
Aj ek harf ko phir dhoondta phirta hai khayal
tA AbAd shahre-sitam jis-se tabAh ho jAyen
itnA tariq ke shamshAn ki shab ho jaise
lab pe lAoon to mere honTh siyAh ho jAyen
Aj ek harf ko phir dhoondta phirta hai khayal
Comment
-
Teray ehsaan hai jaana'n !!
Teray ehsaan hain mujh per
Meri be-bass udaasi per
Yaqeen o be-yaqeeni per
Meray shair-o-taghazul per
Meray behr-e-takhaiyyul per
Joo tum inkaar na kertay
Meri be-khud see khwaahish per
To kasey jaan paati main
Yeh kasey maan paati main
Hazaaroun khwaab jab bikhhrein
Tou unn ki kirchiyaan chun ker
Adhoora sa koi chehra
Mukammal kaisey hota hai
Dilo'n per zarb perney sey
Sukhan kaisey nikherta hai
Ghamo'n ki aanch per koi
Maseeha kaissey banta hai
Mujhey tasleem hai jaana'n !!
Teray ehsaan hai jaana'n !!
Comment
-
Jo baat nahi kartay
Jo baat nahi kartay
Un boltey rangoon main
Mein ne tumhain soocha hai
Jo dil se guzartey hain
Un ajnabi rastoon main
Mein ne tumhein dekha hai
Kehnay k liye tum se
Baatain tu bohat si hain
Alfaaz nahi miltey
Jo meri nazar main hain
Iss shaher k baa'goon main
Wo phool nahi khiltey
Mein ne tumhein jana hai
Izhaar k rishtoon se
Iss tarha juda ho k
Jis tarha koi banda
Dharti pe nazar daa'lay
Ik baar khuda ho k..
Comment
-
Mujh ko bhi tarkeeb sikha koi yaar julahy
Mujh ko bhi tarkeeb sikha koi yaar julahy
Akser tujh ko dekha hy k tana bunty
Jab koi dhaga toot gaya ya khatam huwa
Phir sy jorr k or sira koi daal k us myn
Aagy bunany lagty ho
Tery is taany myn lekin
Aik bhi gaanth giraah buntar ki
Daikh nahi sakta hy koi
Main ny to ek baar buna tha aik he rishta
Lakin us ki sari girhyn
Saaf nazer aati hyn mery yaar julahy
Mujh ko bhi tarkeeb sikha koi yaar julahy!
Comment
-
Dedicated to a Friend,she is not here now nd i'm really Missing her..
Tujh per koi ilzaam jo dhharte bhi to kese?
Hum ahed_e_mohabbat se mukarte bhi to kese?
Wo shaqs to yak-lakht he hat jata tha peechhe,
Hum toot k qadmon main bikherte bhi to kese?
Ilzaam ye aata k tujhe bhool gaye thay,
Ae dost! Tujhe yaad jo kerte bhi to kese?
Kia khaak muqaddar se koi hum ko gila ho,
Bigrron k muqaddar thay, sanwarte bhi to kese?
Mahroom he rehte jo tere radd_e_amal se,
Ae jaan! Tere pyaar main marte bhi to kese?
Jeewan he guzaara tha thaperron main jo hum ne,
Hum ab kisi toofan se darte bhi to kese?
Aik paaki_e_daman pe sada naaz raha tha,
Dariya_e_mohabbat main utarte bhi to kese?
Her roz ki zillat bhi gawaara to nahi thi,
Us raah se hum roz guzarte bhi to kese?
Jeene ki saza deti hai, jeene nahi deti,
Duniya! Tera tawaan jo bharte bhi to kese?
Bach ker na nikl paaye saraab ishq se un k,
Doobe thay samandar main, ubharte bhi to kese...!!!
Dedicated to a Friend,she is not here now nd i'm really Missing her..
Comment
-
Tujhe Kya Sunaaoon Main Dilruba
Tujhe Kya Sunaaoon Main Dilruba
Tere Saamane Mera Haal Hai
Teri Ik Nigaah Ki Baat Hai
Meri Zindagi Ka Savaal Hai
Meri Har Khushi Tere Dam Se Hai
Meri Zindagi Tere Gham Se Hai
Tere Dard Se Rahe Bekhabar
Mere Dil Ki Kab Ye Majaal Hai
Tujhe Kya Sunaaoon Main Dilruba...........
Tere Husn Par Hai Meri Nazar
Mujhe Subah Shaam Ki Kya Khabar
Meri Shaam Hai Teri Justajoo
Meri Subaha Teraa Khayaal Hai
Tujhe Kya Sunaaoon Main Dilruba...........
Mere Dil Jigar Men Sama Bhi Ja
Rahe Kyon Nazar Ka Bhi Faasala
Ke Tere Baghair O Jaan-E-Jaan
Mujhe Zindagi Bhi Muhaal Hai
Tujhe Kya Sunaaoon Main Dilruba
Comment
-
Comment