Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~ Where there is love there is life ~~ collection from the painful heart of pErIsH_BoY .>>>>>>

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: اک بار کہو تم میری ہو

    thanks.................


    Comment


    • Re: دور جانا پڑتا ہے

      thanks.................


      Comment


      • Re: مِرے دُشمنوں سے کہو کوئی

        thanks.................


        Comment


        • Re: میں اپنی آخری تحریر لکھنے جارہی ہوں

          thanks.................


          Comment


          • Re: وفا ھے ذات عورت کی

            bhut alaa......

            Comment


            • Re: وفا ھے ذات عورت کی

              Originally posted by SheeN View Post
              bhut alaa......
              thanks.................


              Comment


              • Re: اک بار کہو تم میری ہو

                keh dya :)

                Comment


                • Re: وفا ھے ذات عورت کی

                  beautiful sharing.:hairdrayer:


                  Comment


                  • Re: میں اپنی آخری تحریر لکھنے جارہی ہوں

                    me bhag k aahi k yeh u larki ho kya last thereer likhogy...

                    anyways bht umda sharing hai


                    Comment


                    • Jitna aya he tere bad nazar barish min.





                      Jitna aya he tere bad nazar barish min.
                      Itna sunsan na tha pehle nagar barish min.



                      Dhul gaya lamhon min salon ka para gard-o-ghubar.
                      Ho gaye aur bhi sar-sabz shajar barish min.



                      Tujh ko maloom nhi royi hoi aankh ka gham.
                      Kar k dekho to kisi sham safar barish min.



                      Kam to pehle bhi nhi tha magar ay bichre hoe.
                      Barh gaya aur tere gham ka asar barish min.



                      Har taraf aik udasi si utar ati he.
                      Kisi zindan min dhal jata he ghar barish min.



                      Ay alamnak ghataon use ja kar kehna.
                      Takta rehta he koi janib-e-dar barish min.



                      Is qadar rasmi he wo shakhs k bas hole se.
                      Puch leta he janab aaj kidhar barish min ?






                      Comment


                      • Teri yad jo seene se laga rakhi he.





                        Teri yad jo seene se laga rakhi he.
                        Hum ne duniya min alag duniya basa rakhi he.




                        Hum ko maloom nhi chahat k taqaze lekin.
                        Hum ne teri baton k siwa har bat bhula rakhi he.




                        Safar mushkil he maloom he lekin.
                        Tu humara he to har fikar mita rakhi he.




                        Tu bhula de to bhula de lekin hum ne.
                        Teri khushbu bhi taweez bana rakhi he.




                        Tu alag ho to har bar yon lagta he.
                        Zindagi mout k pehlu min bitha rakhi he.




                        Teri baten, tera lehja, tera chehra humdam.
                        Tujh min khaliq ne har cheez juda rakhi he.





                        Comment


                        • Ye dil nhi he mere ansuon ka jharna he.







                          Charagh le k tere shehar se guzarna he.
                          Ye tajarba bhi humen aik bar karna he.




                          Min wo pahar hon jo kat raha hon pani se.
                          Ye dil nhi he mere ansuon ka jharna he.




                          Mere aziz min utri nadi min kia utron.
                          Mujhe charhe hoe darya ko paar karna he.




                          Bht jadeed hon lekin ye mera wirsa he.
                          Usi qadeem gali se mujhe guzarna he.




                          Tumhen khabar nhi suraj bhi aks he mera.
                          Tamam din ka mujhe intizam karna he.




                          Wo aik shakhs k jis ko ghazal bhi kehte hen.
                          Usi k nam se jeena, usi se marna he.







                          Comment


                          • Wo apni zat k har rang min hawa hi laga.











                            Sahaab tha k sitara, gurez paa hi laga.
                            Wo apni zat k har rang min hawa hi laga.

                            Min aise shakhs ki masoomiyat pe kia likhon?
                            Jo mujh ko apni khataon min bhi bhala hi laga.

                            Zaban se chup he magr aankh bat karti he.
                            Nazar uthai he jab bhi to bolta hi laga.

                            Jo khwab dene pe qadir tha, meri nazron min.
                            Azab dete hoe bhi mujhe khuda hi laga.

                            Na mere lutf pe heran he na apni uljhan par.
                            Mujhe ye shakhs to har shakhs se juda hi laga.






                            Comment


                            • Jo tu nhi to ujale bhi sog karte hen.






                              Falak pe chaand k haale bhi sog karte hen.
                              Jo tu nhi to ujale bhi sog karte hen.

                              Nagar nagar min wo bikhre hen zulm k manzar.
                              Humari rooh k chhale bhi sog karte hen.

                              Use kaho sitam min wo kuch kami kar de.
                              K zulm torne wale bhi sog karte hen.

                              Tum apne dukh pe akele nhi ho afsurda.
                              Tumhare chahne wale bhi sog karte hen.




                              Comment


                              • Is bar to milne a jao, suna he Eid ayi he.






                                Use kehna k loat ao, suna he Eid ayi he.
                                Aik bar to a kar mil jao, suna he Eid ayi he.

                                Use kehna k bin tere bht Eiden guzri hen.
                                Is bar to milne a jao, suna he Eid ayi he.

                                Use kehna judai se mohabat kam nhi hoti.
                                Ye duniya ko batla jao, k suna he Eid ayi he.

                                Use kehna k chahat ka bharam na tootne dena.
                                Tum pal do pal hi a jao, suna he Eid ayi he.

                                Use kehna k tanha he koi Eid k din bhi.
                                Ye tanhai mita jao, suna he Eid ayi he.





                                Comment

                                Working...
                                X