Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~ Where there is love there is life ~~ collection from the painful heart of pErIsH_BoY .>>>>>>

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mujhe is trah se sunti rahi.





    Min kitni waraftagi se use suna raha tha.
    Wo sari baten, wo sare qisse.
    Jo us se milne se peshtar.
    Meri zindagi ki hikayaten thin.

    Min keh raha tha.
    K or bhi log the.
    Jinhen meri aarzu thi, meri talab thi
    K jin se meri muhabbaton ka raha ta'aluq.
    Ki jin ki mujh par inayaten thin.

    Min keh raha tha.
    K un min kuch ko to min ne.
    Jan se azeez jana.
    Magr un min se baz ko.
    Meri be dili se shikayaten thin.

    Min ik ik bat.
    Aik aik jurm ki kahani.
    Dharakte dil, kanpte badan se suna raha tha.
    Magr wo pathar bani.
    Mujhe is trah se sunti rahi.

    K jese mere labon par.
    Kisi muqadas tareen sahife ki aayaten thin.



    Comment


    • Dua lab se nikalti he...!!!






      Suno!
      Ab kuch dinon se haal aisa he.

      Koi kitni bhi zillat de.
      Koi jitni raunat se hamen runde.

      Bura bilkul nhi lagta.
      Gila koi nhi hota.

      sakun mehsoos hota he.

      Dua lab se nikalti he...!!!




      Comment


      • Chahat ka iqrar bhi kar do.







        Mumkin he tum chahat k har harf k andar.
        Lakhon ma’ani akhaz karo aur khud is ka inkar bhi kar do.



        Mumkin he is lafz ki taqat tum ko.
        Bebas kar de janaan.
        Aur tum dil k tanha andhe ghaar min khud ko bebas pa kar yak dam.



        Chahat ka iqrar bhi kar do.
        Lekin kon zamanat de ga?



        Tum ne kab asbat se pehle na likhi thi.
        Tum ne kab inkar se pehle han likhi thi.







        Comment


        • Falak par jis traf dekhon.










          Falak par jis traf dekhon.
          Andhera hi andhera he.
          Sitare kis liye roothe.

          Nhi he chaand bhi roshan.
          Idhar ye chandni bhi to.
          Kisi masum bache ki trah.

          Naraz lagti he.
          Zamin zinda salamat he.
          Magr kala kafan pehne.

          Musalsal so rhi he kiyon?
          Mujhe to lagta he.
          Falak se chaand taron ne na dekha ho.

          Barasti ankh ka manzar.
          Wo bheegi rat ka manzar.
          K jese.

          Koi kashti dubti ho beech darya min.
          K jese koi sahil.
          Door itna door ho.

          Ankhon se ojhal ho.
          K jese ik musafir.
          Rasta apna bhatak jae.

          Mujhe to lagta he.
          Falak se chaand taron ne.
          Ye manzar dekh rakha he.

          Akeli rat ka manzar.
          Wo bheegi rat ka manzar.
          Barasti ankh ka manzar.










          Comment


          • Tum ne mujhe chorne ka irada kia tha.





            Barhte raho k der tak.
            Gham se rahe ga wasta.

            Chalte raho k raah min.
            Dukh k diyar aen ge.
            Touq-o-hisar aen ge.

            Likha he jo naseeb min.
            Chashm-e-atab dekhna.

            Mujhe mat batana.
            K tum ne mujhe chorne ka irada kia tha.
            To kiyon or kis waja se?

            Abhi to tumhare bicharne ka dukh hi nhi kam hoa.
            Baton k, wadon k, shehar-e-tilsimaat min.

            Ankh par khush gumani ki patti liye.
            Tum ko perhon k piche, darakhton k jhund.
            Or deewar ki pusht par dhundne min magan hon.

            Kahin par tumhari sada or kahin par tumhari mehak.
            Mujh pe hansne min masroof he.

            Mujhe mat batana k.
            Tum ne mujhe chorne ka irada kia tha.
            To kiyon?





            Comment


            • Abhi Tak Aankh Saail He.








              Humen To Muskurana Tak Nhi Ata.
              Abhi Tak Aankh Saail He.
              Abhi To Be yaqeen Dil He.

              Labon Tak Itifaqan Aik Kiran Bhi Aa Nikalti He.
              To Ghabra Kar Zameen-o-asman Ko Dekhte Hen.
              Jahan Ko Dekhte Hen.

              Abhi Tak Waswa-e-aaseb Sa Raste Min Hail He.
              Humen To Zindagi K Sath Chalne Ka.
              Hunar Ab Tak Nhi Aya.

              Jabeen Ko Sa’at-e-shukrana Hasil He.
              Magr Mosam Badalne Ka.
              Abhi Zakhmon K Bharne Ka.

              Yaqeen Aasan Nhi Lagta.
              Guman Tak Karna Mushkil He.
              Abhi Tak Aitabar-e-dard Ghayal He.

              Dua Chehron K Aainon Min Jese.
              Saya-e-deewar Shamil He.

              Abhi Tak Aankh Saail He.





              Comment


              • Milan Ki Iltija Kesi?





                Judai Dene Wale.
                Tum Se Umeed-e-wafa Kesi?
                Talluq Toot Jaye Jab.



                Mohabbat Rooth Jaye Jab.
                To Phir Rasm-e-dua Kesi?
                Milan Ki Iltija Kesi?



                Bhanwar Min Dolti Kashti Pe Sahil Ki Tamana Kya?
                Ukharti Sans Ho To Zindagi Ki Aarzu Bhi Kya?
                Jo Manzil Kho Chuki He Us Ki Phir Se Justaju Bhi Kya?



                Raza-e-dost Par Acha, Sar-e-tasleem Kham Karna.
                Sisakne Se Yehi Behtar He Na-umeed Hi Marna.
                Magr Dil Ne Tumhen Kis Waste Yad Rakha He?



                Tumhen Kiyon Shairy Min Aj Tak Aabad Rakha He?
                Abhi Tak Min Ne Kiyon Khud Ko Bht Barbad Rakha He?
                Hawa K Dosh Par Kiyon Naghma-e-faryad Rakha He?



                Judai Dene Wale Aashnayi Ki Qasam Tum Ko.
                Tumhari Bewafai, Kaj Adai Ki Qasam Tum Ko.
                Mujh Ko Itna Bata Dena.



                Wafa Ki, Chahaton Ki Mashalen Kese Bujhate Hen?
                Nishan Kese Mitate Hen?
                Bhulana Ho Jinhen.



                Un Ko Bhala Kese Bhulate Hen?
                Judai Dene Wale....... !!!





                Comment


                • Re: Milan Ki Iltija Kesi?



                  مزا برسات کا چاہو تو ان آنکھوں میں آبیٹھو
                  ساہی ہے، سفیدی ہے شفق ہے ابر باراں ہے


                  roseroseroseroseroseroserose

                  Comment


                  • Re: Milan Ki Iltija Kesi?

                    judai dene walon se umeed e wafa kaisi.....bahut khoob
                    :rosekhushboo:rose

                    Comment


                    • Re: Abhi Tak Aankh Saail He.

                      abhi tak ankh sail hai.....zabardast
                      :rosekhushboo:rose

                      Comment


                      • Re: Tum ne mujhe chorne ka irada kia tha.

                        dil ki ghehrayon main uttar jane wali shaairi...
                        :rosekhushboo:rose

                        Comment


                        • Re: Tum ne mujhe chorne ka irada kia tha.

                          Originally posted by Meh-vish View Post
                          dil ki ghehrayon main uttar jane wali shaairi...
                          buhat shukriya jaanv..........


                          Comment


                          • Re: Abhi Tak Aankh Saail He.

                            Originally posted by Meh-vish View Post
                            abhi tak ankh sail hai.....zabardast
                            thanks for commentx


                            Comment


                            • Re: Milan Ki Iltija Kesi?

                              Originally posted by Meh-vish View Post
                              judai dene walon se umeed e wafa kaisi.....bahut khoob

                              shukriya


                              Comment


                              • وہی ایک منظر خواب ہے

                                وہی شہر ہے
                                وہی راستے
                                وہی راستوں کا ہے پیچ و خم
                                وہی دشت ہے
                                وہی دشت شام فراق ہے
                                وہی فرش خاک و سراب ہے مرے پاؤں میں
                                وہی دھوپ ہے، وہی آسمان کا روپ ہے
                                وہی عرصۂ غم رائگاں
                                کوئی سائباں ہے ، نہ خیمۂ گل مہرباں
                                وہی سنگلاخ زمین کشت گیاہ و گل کی لطافتوں سے ہے بے خبر
                                وہی قحط گل کے دیار میں تر و تازہ شاخ ببول ہے
                                کہ ہزار زرد رُتوں میں لپٹی ہوئی ہوائے سموم ہے
                                وہی شہر کم نظراں کا ہے
                                وہی درد ہم سفراں کا ہے
                                وہی قریہ ستم آشنا سے محبتوں کا خروج ہے
                                وہی چاہتوں کا زوال ہے وہی نفرتوں کا عروج ہے
                                وہی لمحہ لمحہ اداس شام، ملول صبح کے سلسلے
                                وہی گرد کوئے ملال ہے، وہی وصل و ہجر کے فاصلے
                                وہی رتجگوں کی مسافتوں کا عذاب ہے
                                وہی بام و در پہ چراغ ہجر جلا ہوا
                                وہی طاق مطلع فجر میں
                                رخ مہر اپنی تمام زرد شعاعوں میں ہے ڈھلا ہوا
                                وہی منظروں میں سراب وصل کی حدتیں ہیں
                                دیار دل میں ترے خیال کی وحشتیں ہیں
                                طلسم زار فراق میں تری آہٹوں کا گمان ہے
                                کہ سماعتوں کے نشیب میں وہی واہموں کا نزول ہے
                                وہی تیری دید کے آئنے پہ شکستہ لمحوں کی دھول ہے
                                وہی مرحلے ہیں سکون جاں کے زوال میں
                                وہی آتش دل بے قرار دہک رہی ہے خیال میں
                                وہی میں ہوں
                                اور مرے کاسۂ دل بے ہنر میں نشاط کا کوئی زر نہیں
                                وہی میں ہوں اور مرے چاروں اور سراب ہے
                                وہی ایک منظر خواب ہے


                                Comment

                                Working...
                                X