Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~ * Khan ki Pasand * ~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

    Sada deti hai khushbo chaand tare bool parte hain
    nazar jaise nazar ho tu nazare bool parte hain

    tumhari he nigahon ne kaha hai hum se ye aksar
    tumhare jism par tu rang sare bool parte hain

    mehak jate hain gul jaisay saba k choom lenay se
    agar lehrain mukhatib hon kinare bool parte hain

    zubna se baat karne main jahan ruswai hoti hai
    wahan khamoush aankhoun k kinare bool parte hain

    chopana chahtay hain un se dil ka haal hum lekin
    hamare aanso,oun main ghum hamare bool parte hain

    teri pabandioun se ruk nahi sakti ye faryadain
    agar hum chop rahain tu zakhm sare bool parte hain
    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

    Comment


    • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

      Bujhi bujhi nazar aaen tu es pe hairat keun
      bohat jalay hain kise shola-e-nigah main hum

      ye gard gard fiza raas he nahi aae
      so mutabar na hoey shehr-e-kam nigah main hum

      badal gaaen wo nigahain tu yaad aaya hai
      kise ko bhool gaey thay kise ki chaah main hum
      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

      Comment


      • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

        Wo mujhko bhool baitha hai,nahi hairat hoe sunkar!
        Wo apni aam se chezoun ko aksar bhool jata hai!
        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

        Comment


        • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

          Muhabbat main jo douba ho usay sahil se kia lena
          kisay es behar main ja kar kinara yaad rehta hai..!!
          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

          Comment


          • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

            waah bahot khoob Khan nice sharings
            sigpic

            Comment


            • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

              Originally posted by WASI ANJUM View Post
              waah bahot khoob Khan nice sharings
              Thank u so much WASI ANJUM.
              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

              Comment


              • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                Bikharna tootna bhe aur ana k saath bhe rehna
                sitam ejaad bhe karna,wafa k saath bhe rehna

                tera andaaz aisa hai andhyroun ki kahani main
                jalana kuch diye bhe aur hawa k saath bhe rehna

                yahan tu shokhioun ko apni zaybai se matlab hai
                laho main bhe machalna aur hina k saath bhe rehna

                ajab rang-e-taaluq hai muhabbat ka meray dil se
                k usko toorna bhe aur sada k saath bhe rehna
                aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                Comment


                • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                  v nice..................

                  Comment


                  • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                    Thnx.
                    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                    Comment


                    • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                      Mera munsif tha koe hukm sunata mujhko
                      main jo mujrim tha tah-e-khaak milata mujko

                      choriye baat muqaddar pe na dalain aisay
                      usko chahat thi tu pher apna banata mujhko

                      eak hasrat se nigahon main utar aae hai
                      aaenay he main kabhi aks dikhata mujhko

                      choor deta ya koe rabt barhata mujh say
                      faisla jo bhe kia tha tu batata mujhko

                      umar gozri hai meri dhoop main jaltay jaltay
                      wo kise rooz tu aanchal main chopata mujhko

                      raaz aankhoun say zara boujh tu halka hota
                      apna ghum day k kise rooz rulata mujhko
                      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                      Comment


                      • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                        Intaqaman hans raha hon khoob rone k liye
                        wo qareeb aanay lage hain door hone k liye

                        koe mane ya na mane ham ne jana hai ye he
                        dil tarapne k liye hai aankh rone k liye

                        kia qayamat hai maseha waar kar k chal diya
                        aur qatil aa gaya hai zakhm dhone k liye

                        aajtak ye bhe na socha keun hoey ham dar-badar
                        tujh ko pane k liye ya khud ko khone k liye

                        meri duniya door se he daikhne ki cheez thi
                        aap na haq aa gaey maghmoom hone k liye
                        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                        Comment


                        • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                          Bujhe dil se kise ka moskora dena bohat mushkil
                          kise k waaste sab kuch lota dena bohat mushkil

                          kise k saath rehne par bahane rooz kar dena
                          sabab ek saath rehne ka bata dena bohat mushkil

                          kise k khawaab aankhoun main saja lena bohat aasan
                          kise ka dard aankhoun main chopa lena bohat mushkil

                          zara mushkil tu hota hai kise ka dil chora lena
                          chora kar dil kise ka pher jata dena bohat mushkil

                          kise k yaad k moti meri aankhoun main raqsan hain
                          ye gohar aansoun k sang baha dena bohat mushkil
                          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                          Comment


                          • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                            v nice................

                            Comment


                            • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                              Originally posted by life. View Post
                              v nice................

                              Thanx............
                              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                              Comment


                              • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                                Bahot khoob khan very nice
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X