Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~ * Khan ki Pasand * ~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Aalam-e-zaat

    bohat khoob jee TFS

    Comment


    • Re: Aalam-e-zaat

      Bohat umdah

      Comment


      • Re: Aalam-e-zaat

        nice sharing janab
        sigpic

        Comment


        • Re: Aalam-e-zaat

          khoobsurat
          sigpic

          ForEvr

          Comment


          • Re: Aalam-e-zaat

            Buhat achi sharing
            keep On sharing

            Comment


            • Re: Aalam-e-zaat

              aap sub dostoun ka bohat bohat shukriya.
              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

              Comment


              • Shamma ki tarha

                Shamma ki tarha shab-e-gham main pighalte rahiye
                subha ho jaey ge,jalte hain tu jalte rahiye

                waqt chalta hai urata hoa lamhaat ki gard
                pe'rahan fikar ka hai,rooz badalte rahiye

                aaena saamne aaey ga tu sach bole ga
                aap cheray jo badalte hain badalte rahiye

                aae manzil tu qadam aap he ruk jaaen gain
                zeest ko raah-e-safar jaan kar chalte rahiye

                subha ho jaaey ge pher haath na aaey mehtaab
                aap agar khawaab main chalte hain tu chalte rahiye

                ehd-e-imrooz ho ya wada-e-farda manzoor
                tootne wale khilonay hain,badalte rahiye
                aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                Comment


                • Re: Shamma ki tarha

                  nice..............

                  Comment


                  • Re: Shamma ki tarha

                    achi hai

                    Comment


                    • Re: Shamma ki tarha

                      Nice sharing janab
                      sigpic

                      Comment


                      • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                        Buhat umda collection hai :)

                        Comment


                        • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                          Originally posted by Mr.Khan View Post
                          Buhat umda collection hai :)
                          Thnx Mr.Khan.
                          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                          Comment


                          • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                            Es tarha sataya hai pareshan kia hai
                            goya k muhabbat nahi ehsan kia hai

                            socha tha k tum dosroun jaisay nahi ho gay
                            tum ne bhe wohi kaam meri jan kia hai

                            mushkil tha bohat meray liye tark-e-ta'aluq
                            ye kaam bhe tum ne mera aasan kia hai

                            har rooz sajatay hain teray hijr main gunchay
                            aankhoun ko teri yaad main guldaan kia hai
                            aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                            kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                            Comment


                            • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                              aay meray fan k paristaar tujhay kia maloom
                              kitnay dukh sehta hai fankaar tujhay kia maloom

                              kitni ratoun ka laho pe k nikharti hai ghazal
                              kaisay hum likhtay hain ashaar tujhay kia maloom

                              raat jub jashn-e-charaghan main magan thi duniya
                              kaun roya pas-e-dewaar tujhay kia maloom

                              es chaman main jisay hum apni wafa kehtay hain
                              saans lena bhe hai dushwaar tujhay kia maloom

                              qadr-o-qemat meray dil sokhta armano ki
                              meri khushioun k kharedaar tujhay kia maloom

                              tu tamashi nahi khail main shamil hai magar
                              tera hai kaun sa kirdaar tujhay kia maloom
                              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                              Comment


                              • Re: ~ * Khan ki Pasand * ~

                                Originally posted by khan khan View Post
                                aay meray fan k paristaar tujhay kia maloom
                                kitnay dukh sehta hai fankaar tujhay kia maloom

                                kitni ratoun ka laho pe k nikharti hai ghazal
                                kaisay hum likhtay hain ashaar tujhay kia maloom


                                tu tamashi nahi khail main shamil hai magar
                                tera hai kaun sa kirdaar tujhay kia maloom
                                Buhat zabardast :rose

                                Comment

                                Working...
                                X