Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Eshaa Ka Intikhaab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Eshaa Ka Intikhaab

    Na Chero Khilti kalyoo'n, Hanstay Phooloo'n Ko
    In Urti Titliyoo'n, Aawara Bhanwroo'n Ko,
    Tassalsul Toot Jaye Ga!

    Fiza Mehw E Samma'at Hai,
    Haseen Hoontoo'n Ko Naghma-Rez Rehne Do,
    Nigahai'n Neechi Rakho Aur Mujassam Gosh Ban Jao
    Agar Junbish Laboo'n Ko Di,
    Tassalsul Toot Jaye Ga!

    Hawa Say Patiyaa'n Sargoshiyoo'n Main Mehav Hain
    Aur Jhoomti Shakhoo'n Ke Jhooloo'n Mein
    Parindoo'n Ki Chahek Se Sara Sahil
    Sarmadi Ehsas Main Dooba Huwa
    Sarshar-O-Shadaa'n Hai
    Agar Kankar Bhi Satah-E-Aab Pe Marra
    Tassalsul Toot Jaye Ga!

    Ufuq Main Doobtay Sooraj Ka Manzar
    Iss Bulandi Se Zara Daikho
    Issi Rangee'n Kinaaray Par,
    Shafaq Sona Lutaey Gi
    Yoon'hi Tum Beyhiss-O-Saakit Raho
    Aise Main Palkain Bhi Zara Jhapkain
    Tassalsul Toot Jaye Ga!

    Wo Khuwabeeda Hai, Khuwabeeda Hi Rehne Do
    Na Jaane Khuwaab Main Kin Waadiyoo'n Ki Sair Karti Ho
    Bulandi Se Phisalte Aabsharoo'n Main Kahi'n Gum Ho
    Falak Aasaar Chotti Par Kahi'n Mehway Tarranum Ho
    Agar Awaaz Di Tum Ne
    Tassalsul Toot Jaye Ga!

    Main Shayar Hoo'n,
    Mairi Fikr-E-Rassa, Ehsass Ki Uss Satah Par Hai
    Jiss Main Khushboo Rang Banti Hai
    Sadda Ko Shakal Milti Hai
    Tassavvur Bol Uthta Hai
    Khamoshi Gungunaati Hai
    Yeh wo waqfa hai _ Aise Main,
    Agar Daad-E-Sukhan Bhi Di
    Tassalsul Toot Jaye Ga!

    sigpic

    Comment

    Working...
    X