Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Eshaa Ka Intikhaab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Eshaa Ka Intikhaab

    372-shock
    Attached Files
    sigpic

    Comment


    • Re: Eshaa Ka Intikhaab

      YE AJEEB MERI MOHOBBATEIN...
      ZABERDAST ESHA SIS.....:phool:

      Comment


      • Re: Eshaa Ka Intikhaab

        bohat he khoob:phool:

        Comment


        • Re: Eshaa Ka Intikhaab

          Originally posted by *Hijab* View Post
          bohat he khoob:phool:
          Thanks dear:phool:

          @ ainy
          thanks dear:rose
          sigpic

          Comment


          • Re: Eshaa Ka Intikhaab

            Bohat Umdah Intakhaab.
            aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
            kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

            Comment


            • Re: Eshaa Ka Intikhaab

              Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
              372-shock
              Waah bahot khoob Eshaa :rose
              sigpic

              Comment


              • Re: Eshaa Ka Intikhaab

                wah
                bohat khoob eshaa g.........!
                sigpic

                Comment


                • Re: Eshaa Ka Intikhaab

                  Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                  Zindagi say dartay ho?
                  Zindagi to tum bhi ho, zindagi to hum bhi hain

                  Aadmi say dartay ho?
                  Aadmi say dartay ho?
                  Aadmi to tum bhi ho, aadmi to hum bhi hain
                  Aadmi zubaan bhi hay, aadmi bayaan bhi hay,
                  us say tum nahi dartay...

                  Harf aur manay kay rishta-e-ahan say aadmi hay wabasta
                  Aadmi kay daman say zindagi hay wabasta,
                  us say tum nahi dartay...

                  Ankahi say dartay ho?
                  Jo abhi nahi aayi us ghari say dartay ho,
                  us ghari ki amad ki agahi say dartay ho?

                  Pahlay bhi to guzray hain daurr na rasayi kay,
                  bairiya khudayii kay
                  Phir bhi ye samajhtay ho haich arzumandi ya shab-e-zuban bandi hay rahay khuda wandi
                  Tum magar ye kya jano...

                  Lab agar nahi hiltay, hath jaag uthtay hain
                  Hath jaag uthtay hain rah ka nishan bankar

                  Noor ki zuban bankar
                  Hath bol uthtay hain subh ki aazan bankar

                  Roshni say dartay ho?
                  Roshni to tum bhi ho, roshni to hum bhi hain
                  Roshni say dartay ho...

                  Shahar ki faseelon par daiw ka jo saaya tha, paak hogaya akhir
                  Raat ka libada bhi chaak hogaya akhir
                  Khaak hogaya akhir...

                  Ashdahan main insaan say fard ki nawa ayii
                  Raat ki sadaa ayii
                  Rah-e-shauq main jesay rah ro ka khoon lapkay
                  Aadmi chalak uthay

                  Aadmi hansay dekho, shahar phir basay dekho
                  Tum abhi say dartay ho?

                  Haan abhi to tum bhi ho, haan abhi to hum bhi hain
                  Tum abhi say dartay ho...



                  (Noon Meem Raashid)
                  Buhat umda sharing hai Eshaa :rose

                  Comment


                  • Re: Eshaa Ka Intikhaab

                    Tumhari Ankhein kehti hain Hisaar-e-Zaat se niklo
                    Tamanna Meri ban jao Shub-e-Barbaad se niklo


                    Kinara Tham lo Dil ka bhula do her gila Shikwa
                    kabhi Sachi Hansi Hans do Purani Yaad se niklo

                    Khayal-e-Yaar Acha hai Magar Jisne Wafa na ki
                    Palat ker Phir Sada na do, Dar-e-Faryaad se niklo


                    Nahi koi Mohabbat bhi, Hijr-e-Rutt bhi, Raqabat bhi
                    To ye Dharka sa kiya kahiye, Wehem ki Ghaat se niklo


                    Sukhan-war Humse kehta hai Sajalo Ankh me kuch khwab
                    Dharakna Dil ko Sikhla do, Amawas Raat se niklo


                    Nahin Tum ko Gawara Ab Humara Qurb to keh do
                    Hamare Qarb ki Choro, Tum is Gardaab se niklo


                    Sar-e-Maqtal jo jate ho, Na ho Dermandgi kuch bhi
                    Zamana Dekh tham Jaye kuch is Andaaz se niklo...!"
                    sigpic

                    Comment


                    • Re: Eshaa Ka Intikhaab



                      is mein shayad kuch mistakes hain ..words ki I'm not sure per hum re check kar lein gay


                      Mere Humsafar
                      Mere Jism-o JaaN Ke Her Eik Rishtay Se Muat'bar,
                      Mere Humsafar
                      Tujhay Yaad HeiN! Tujhay Yaad HeiN!
                      Wo Ju QurbatooN Ke Saroor MeiN
                      Teri Aarzoo Ke Hassaar MeiN
                      Meri KhwahishooN Ke Wafoor MeiN
                      Kai Zaaiqay Thay Ghulay Hovay
                      Dar-e GulistaaN Se Bahaar Tak
                      Wo Ju Raastay Thay Khulay Hovay!
                      Sar-e Loh-e JaaN,
                      Kisi Ajnabi Si Zabaan Ke
                      Wo Ju Khush'numma Se Haroof Thay!
                      Wo Ju Sarkhushi Ka Ghubaar Sa Tha Chaar Soo
                      JahaN Ek Doojay Ke Ru'Baru
                      HummeiN Apni Rooh'ooN MeiN Phailthi Kisi Nagh'maggi Ki Khabbar Mili
                      Kisi Roshni Ki Nazar Milli
                      HummeiN Roshni Ki Nazar Milli Tou Ju Raiza Raiza Se Ux Thay
                      Wo BeHm Hovay
                      Wo BeHm Hovay Tou Pata Challa
                      Ke Ju Aag Si Hei Shar'rar FishaaN Meri khaak MeiN
                      Ussi Aag Ka
                      Koi Un'bhujha Sa Nishaan Hei, Teri Khaak MeiN!
                      Essi Khaak'daaN MeiN Wo Khwaab Hei
                      Jissay Shakal Dene Ke Waastay
                      Yea Ju Shash'juhaat Ka Khel Hei, yea RavaaN Hova
                      Esi Roshni Se MakaaN Banna, Esi Roshni Se ZamaaN Hova
                      Yea Jo Her GumaaN kA Yaqeen Hei!
                      Wo Ju Her YaqeeN Ka Gumaan Tha !
                      Essi DastaaN Ka Byaan Tha!!!



                      Kisi Dhyaan Ke, Kisi Taaq Per, Hei Dhara Hova
                      Wo Jo Eik Rishta-e Dard tha
                      Mere Naam Ka Tere Naam Se,
                      Teri Subh Ka Meri Shaam Se,
                      Sar-e Rah'guzzar Hei PaRa Hova Wohi Khwaab-e JaaN
                      Jissay Apni AankhooN Se Dekh Lene Ke Waastay
                      Kai Laakh TaarooN Ki SeeRiyooN Se Uttar Ke Aati Thi KehkashaaN,
                      Sar-e AasmaaN
                      Kis Abbr Paaray Ki OoT Se
                      Ussay Chaand Takta Tha Raat Bhur

                      Mere Hamsafar
                      Ussi Rakht-e Gham Ko SamayT'tay
                      Ussi Khwaab-e JaaN Ko SaNbhaaltay
                      Mere Raastay, Kai RaastooN MeiN Ulajh gaye
                      Wo Chiraagh Jo Mere saath Saath Thay, Bujh Gaye
                      Wo Ju ManzileiN
                      Kisi aur Manzil-e Bay'nishaaN Ke Ghubaar-e Rah MeiN Kho GayeiN
                      (Kai Was'wasooN Ke Fishaar MeiN shabb-e Intazaar Si Ho GayeiN)
                      Wo Tanaab-e Dil Ju UkhaR Gayee
                      Wo Khyaam-e JaaN Ju UjjaR Gaye
                      Wo Safeer Thay, Ussi Daastaan-e Hayaat ke
                      Ju Warq Warq Thi Bharri Hoi
                      Mere Shoq Se Tere Roop Se
                      KahiN ChhaaooN Se, KahiN Dhoop Se



                      Mere Hamsafar,
                      Tujhay Kiya Khabbar!
                      Yea Jo Waqt Hei Kisi Dhoop ChhaooN Ke Khail sa
                      issay Dekhtay, issay Jheeltay
                      Meri Aankh Gard Se uTT Gai
                      Mere Khwaab Rait MeiN Kho Gaye
                      Mere Haath Barf Se Ho Gaye

                      Mere Be'Khabbar, Tere Naam Per
                      Wo Jo Phool Khiltay Thay HooNt Per
                      Wo Jo Deep Jaltay Thay Baam Per
                      Wo NahiN Rahe
                      Wo NahiN Rahe Ke Ju Eik Rabt Tha DarmiyaaN, Wo Bikhar Gaya
                      Wo Hava Challi
                      Kisi Shaam Aisi Hava Chali
                      Ke Ju Barg Thay Sar-e Shaakh-e JaaN, Wo Girra Diye
                      Wo Jo Harf Darj Thay Rait Per, Wo uRRa Diye
                      Wo Ju RaastooN Ka Yaqeen Thay
                      Wo Ju ManzilooN Ke Ameen Thay
                      Wo Nishaan-e Pa Bi MiTTa Diye!



                      Mere Hamsafar,
                      Hei Wohi Safar
                      Maggar Eik MoR Ke Fark Se
                      Tere Haath Se Mere Haath Tak
                      Wo Ju Haath Bhur Ka Tha Faasla
                      Kai MausamooN MeiN Badal Gaya
                      Ussay Naaptay, Ussay KaaT'tay
                      Mera Saara Waqt Nikal Gaya

                      Tu Mere Safar ka Shareek Hei
                      MeiN Tere Safar Ka Shareek HooN
                      Pe Ju DarmiyaaN Se Nikal Gaya
                      Ussi Faaslay Ke Shummaar MeiN
                      Ussi Be'yakeeN Se Ghubaar MeiN
                      Ussi Rah'guzzar Ke Hassaar MeiN


                      Tera Raasta Koi Aur Hei
                      Mera Raasta Koi Aur Hei
                      sigpic

                      Comment


                      • Re: Eshaa Ka Intikhaab

                        Bahot khoob Esha nice sharings
                        sigpic

                        Comment


                        • Re: Eshaa Ka Intikhaab

                          sabi ulfaten sabi nafarten mai yehi pe choor jaoun ga...
                          jo dil pe likhi hain abarten mai yehi pe chor jaoun ga...
                          mere bad howa mere zikar kya,mere lout aane ki fikar kya..
                          naye moosmo ki basharten mai yehi pee choor jaoun ga...
                          mila bi rah mai koi agar to na banaoun ga use mai hamsafar....
                          tere sath rehne ki sabi aadten mai yehi pee choor jaoun ga....

                          Comment


                          • Re: Eshaa Ka Intikhaab

                            :):)
                            Attached Files
                            sigpic

                            Comment


                            • Re: Eshaa Ka Intikhaab

                              Bay tahasha , Tujhay yaad kiya
                              Aur bhulaya bhi bohat hay tujh ko
                              sari raunaq hee teray damm se hay
                              Jis qadar mainey talluq tera mehsoos kiya
                              itni gehraeey to roohooN mein huaa karty hay
                              Jis qadar mainay teri zaat ko khud may paya
                              Itni yakta'eey kahaN milti hay
                              Faaslay wuq'ateiN kho bayrthay hai'N
                              DuuriyaN pheeki parei'N
                              Itni shiddat se tujhay Chaha hay
                              shidattei'N ishq ki mairaaj huaa karty haiN......
                              sigpic

                              Comment


                              • Re: Eshaa Ka Intikhaab

                                Daikhi hueey raho'n se nikal kar usey daikhai'n
                                Iss baar chalo, shehar badal karr usey daikhain

                                Paani ki tarha dhoop mein urr karr usey daikhai'n
                                Jangal ki tarah aag mai jall karr usey daikhai'n

                                Ye sabza e be_khwab ye jaga huwa mehtaab
                                Aisa hai k abb neend mein chall kar usey daikhai'n

                                Kab tak unhi raho'n mein tamashaeey rahei'n hum
                                Kab tak usey aaeenay mein dhall kar usey daikha'in

                                Wo bhi to kaeey roop mein aata hai muqabil
                                Hum bhi to koi rung badal karr usey daikha'n

                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X