Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Eshaa Ka Intikhaab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~~Dukh~~

    Originally posted by Fatimah
    aslaam_u_alikam

    bohat khub esha
    Wa Alaikum Assalam
    thank you Fatimah ji:phool:
    sigpic

    Comment


    • Re: ~~~Dukh~~

      Originally posted by Rida
      Assalam-0-Alaikom

      buht khoooob
      Wa Alaikum Asalam
      pasandeedgi ka shukriya Rida
      sigpic

      Comment


      • ~~~Ban ker Aao~~

        Adaab!!
        mere fav: ghazal ...:)

        HAI AB YE TAMANNA K TUM ZINDAGI KI NAVEED BAN KER AAO
        KISI SEHAR KA NA HOI DARR,US TALISM KI QALEED BAN KER AAO



        PHOOTAY JIS KI HER LEHAR SE NAGHMA-E-BAHHARAAN
        SHOQ-E-TAMANNA KI AISEE TAMHEED BAN KER AAO



        MITA DE JO UMR-E-RAAEYGAAN KA BHI HER EHSAS
        AISA HEE KOI KHAAB KOI KHAHISH-E-SHADEED BAN KER AAO
        Last edited by Eshaa Chaudhry; 16 March 2006, 16:54.
        sigpic

        Comment


        • Re: ~~~Ban ker Aao~~

          Asslam_O_Alikum WR WB

          Bhot umda ... Bahtreen

          FeaamnAllah
          Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
          Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


          Comment


          • Re: ~~~Ban ker Aao~~

            Great choice...

            Comment


            • Re: ~~~Ban ker Aao~~

              Originally posted by Bheegi-Palkain
              Asslam_O_Alikum WR WB

              Bhot umda ... Bahtreen

              FeaamnAllah
              Wa Alaikum assalm
              thanks:)
              sigpic

              Comment


              • Re: ~~~Ban ker Aao~~

                Originally posted by ~Khalil~
                Great choice...
                pasandeedgi ka shukriya:)
                sigpic

                Comment


                • Re: ~~~Ban ker Aao~~

                  Asslaam-0-Alaikom:rose

                  buht khoob
                  For New Designers
                  وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                  Comment


                  • Re: ~~~Ban ker Aao~~

                    Originally posted by Jhumroo
                    haN 'Eshaa~ aa jaauuNgaa par address to do...:lol :lol :lol bahot Khoob yaaraa...keep up the Good Work and keep me entertainning..ya great! :rose
                    Aap ko nahin bulaya humnay :a stick: :hathora :hathora aap rahieey apni jhumree k pss :khi: :kr:
                    Jisay Aana tha Wo aa gaya hai ....Wo kia kehtay haina k..... ...Wo Aaya Us Nay Dekha Aur Fatah ker Liya:blush::)
                    And thanks for pasandeedgi...:phool: mujhey ghazal bohat pasand hai
                    sigpic

                    Comment


                    • "badal waar baras saaen"

                      Adaab!!!:rose
                      Kabhi badal waar baras saaeen
                      Mera seena gaya taras saaen
                      Main Tauba Taayab deewana
                      Aabaad karoon kia weerana
                      Meri nas Saaeen, Meri Bas Saaeen
                      Kabhi Badal Waar Baras Saaen
                      Hum bhi Kuch Khul ker Saansen lein
                      Kuch ghol fiza mein ras saaen
                      Kabhi badal waar baras Saaen
                      :rose :rose :rose
                      Attached Files
                      Last edited by Eshaa Chaudhry; 25 March 2006, 19:09.
                      sigpic

                      Comment


                      • Sunaaen tumko

                        Adaab!!!
                        Ek ghazal:rose

                        Ujaar lamhon ki daastanain ager kaho to sunaain tum ko
                        Bohat sa hum jagtay rahey hain chalo zara sa jagaain tum ko

                        Tumeei he jo roshni si ban ker hamari aankhon mein aan basey ho
                        Jab apni aankhain hi keh dya hai to phir bhala kyun rulaain tum ko

                        Tum aaj kyun muztarib ho janan,tumharey lehjay mein toot kesi
                        Kaha na tha k waqt day ga kadooraton ki sazaain tum ko

                        Tum aisa kerna k aik lamhay ko apni dharkan pe haath rakhna
                        Meri wafaain merey ye jazbay ager kabhi yaad aaeen tum ko

                        Ghubaar aalud raaston mein talaash ker ker k thak gaey hain
                        Kahan pe jaa k basay huey ho ,kahan se dhoond laaen tum ko

                        Tumhain to sukh aagaey muyasser tumhain to hum yaad bhi nahi hain
                        Magr batao k hum jo chahain to kis tarah se bhulaain tum ko

                        Tum apni baaton pe mutmaen ho hamein bhi sharmindagi nahi hai
                        Ana ki diwaar ko gira ker nahi ye mumkin manaain tum ko

                        Kaho Aey Jaazib Ye jhoot hai na! k tumnay us ko bhula diya hai

                        Abhi talak jis ki shokh yaadein Her Ek lamha sataen Tumko
                        sigpic

                        Comment


                        • Aik bheegay huye aanchal say bundha hai sab kuch

                          Adaab!!!
                          some one dedicatied to me ...n i'm sharing it here...Its my fav:


                          Aik aanchal say bandha hai sab kuch
                          Aik tasweer aur tasweer peh bheegay huye hont
                          Aik sandal ki unaabi pencil


                          Aik beyrabt ka ukhra hua khat
                          Aik adad card

                          Jis ko chooney say teri yaad chali aati hai

                          Aur is card main rakhi hui akloti palak
                          Jis say maanoos duaaon ki mehak aati hai
                          Kisi gumnaam say shaair ka adhura misra


                          Aik paazeb say bichra hua ujla mauti
                          Aik murjhaeey hui zard chanbali ki kali
                          Js main ab bhi teri zulfon kay bhanwar liptay hain


                          Ak boseeda sa question paper
                          Js kay konay peh likha naam abhi taaza hai
                          Sarbati kaanch ki tooti hui naazuk choori


                          Ak toota hua halka sa gulabi naakhun

                          Ak gadla sa tissue paper bhi
                          Js pe mehkay huye ashkon kay nishaan zinda hain


                          Yei daulat hai yei kuch hai asaasa mera
                          yahi daulat hai yahi kuch hai asaasa mera
                          Aikaanchal say bundha hai sab kuch!


                          Aik bheegay huye aanchal say bundha hai sab kuch!!!

                          Last edited by Eshaa Chaudhry; 24 March 2006, 04:35.
                          sigpic

                          Comment


                          • Re: Aik bheegay huye aanchal say bundha hai sab kuch

                            aslaam_u_alikam

                            nice one

                            Comment


                            • Re: Sunaaen tumko

                              aslaam_u_Alikam

                              bohat hi zabardast gazal share ki hey her aik sher bohat pasand aayaa

                              thanks

                              Comment


                              • Re: "badal waar baras saaen"

                                aslaam_u_Alikam

                                yeh sharing bhi pasand aayii

                                Comment

                                Working...
                                X