Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Eshaa Ka Intikhaab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Ebadat c lagay hai"

    Originally posted by Rida
    Assaalam-0-Alaikom:rose

    yeh kalam acha sa lagay hai..:)
    to dil aapko shkriya sa kahay hai:phool:
    sigpic

    Comment


    • Re: Ebadat c lagay hai"

      har simt latafat he latafat si lagaiy hai... nice, waisay shayer ki khoshqismati hai yeh kay onhain har taraf latafat he nazar aai ;) jo hum ko aik talkh haqiqat si lagay hai :D
      That's Enough...!!

      Comment


      • Ek nazm ~~~~

        Adaab!!!:salam:
        Kishwar naaheed ki ek nazm pesh-e-khidmat hai:rose



        mujhey parhnay ko baythay ho to aankhein haath pay rakh lo
        kaho, hansta huaa tumnay kabhi badal ko dekha hai?

        kabhi bijli k daman se mehak phooti hai aangan mein
        samundar doob janay ko kabhi daman mein utra hai?

        mujhey perhnay agar baythho
        to parchhaeeyon ko mat dekho

        na dekho bujhtay angaron ki bhobhal ko
        k in haathon se sholon ki tamazat
        harf banti hai
        meray honton se murda manzaron ko
        lafz miltay hain
        meri aahat ko sun k
        baadbaan khahish-e-safar pehnay
        magar main kaun hoon?

        Aankhein ..!! k Sehra, baad bay ronaq
        badan pe aabroo ki kehnagi ka rang thehra hai

        qadam shoreedgi ki daldalon mein
        zakhm khandaan hain
        mujhey parhtay huey
        haathon pe rakhi aankh beh niklay
        To hans dena...!!!:rose
        Last edited by Eshaa Chaudhry; 28 March 2006, 07:02.
        sigpic

        Comment


        • Re: Ek nazm ~~~~

          Originally posted by Jhumroo
          paRhaa huii thii...koi naii cheez pesh karo...apne zamaane kii na sunaao hameN :lol :lol :lol
          to phir msg kernay ki taklif bhi na kertay ...wessay bhi bhejay mei to koi baat aatee nahin aap k:khi: :lol
          sigpic

          Comment


          • Re: Ebadat c lagay hai"

            Originally posted by Jhumroo
            innii chhoTii sii Ghazal aur phir uskaa paRhnaa! ek Himaaqat C lage hai :lol :lol :lol :lol :lol

            Ghazal paRh kar yaaraa tashnagii C rah gaii...lagtaa hai yaa to aapne mukammil Ghazal hii post nahiiN kii yaa marHoom kii 4 ash'aar ke ba'd GAS FINISH ho gaii thii :tauba :lol :lol :lol :lol

            vaise, jitne bhii ash'aar is Ghazal meN haiN Gahzab ke haiN. shukria share karne ke liye :rose
            ye jo Allah nay 2 motay motay Bhainsay jessay bantay[bilor(Ankhein)] dieey hain :lol na in ka bhi istemaal kar liya karo saewab milay ga k nemat ko istemaal kiya hai:lol ...
            mainey lmention kiya tha k......Jaan nisar Akhtar ki ghazal k kuch sh'r to is ka yehee matlab hai k complete nahin hai ye....:khi:
            sigpic

            Comment


            • Shikwa~~~~~~

              Adaab.
              merei fav: ek chhoti c nazm :rose ummeed hai pasand aaey gee



              Mainey tum se
              tumhein maanga
              to tum muskura dieey
              lekin..!!!
              tum ye bhi to keh saktay thay
              Meri jaan..!!!
              Apni cheezein bhi bhala maangi jaati hain ..??
              :rose :rose :rose
              Last edited by Eshaa Chaudhry; 29 March 2006, 02:34.
              sigpic

              Comment


              • Re: Shikwa~~~~~~

                wao ji sahi kaha app nay. nice
                ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                Comment


                • Re: Shikwa~~~~~~

                  Originally posted by D@y W@lk3r
                  wao ji sahi kaha app nay. nice
                  Shukriya Ji:salam:
                  sigpic

                  Comment


                  • Re: Shikwa~~~~~~

                    Originally posted by Jhumroo
                    hmmm...kia yeh kisi ne kaha TUM se? zaraa address to denaa uskaa ... maiN na ja akar usko:hathora :hathora :hathora :hathora :hathora :hathora
                    jal k kabab na ho ....Kawway:a stick:
                    sigpic

                    Comment


                    • Re: Shikwa~~~~~~

                      Assalaam-0-Alaikom:rose

                      yeh mairi bhi fav hai thanks :)
                      For New Designers
                      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                      Comment


                      • Re: Shikwa~~~~~~

                        Originally posted by Rida
                        Assalaam-0-Alaikom:rose

                        yeh mairi bhi fav hai thanks :)
                        WaAlaikum Assalam
                        ur welcome Rida ji:rose
                        sigpic

                        Comment


                        • Re: Shikwa~~~~~~

                          aslaam_u_Alikam

                          bohat khub

                          Comment


                          • ~Kamal rakhtay hain..!!~~

                            Adaab!!:salam:

                            Hamesha tum se tallluq bahal rakhtay hain
                            Tum se ziada tumhara khial rakhtay hain

                            Koi na dekh lay tasweer teri, aankhon mein
                            Sada nigahon pe palkon ki dhaal rakhtay hain

                            Hamein to milta nahin waqt chahaton k lieey
                            Adawatein bhi magar log paal rakhtay hain

                            Paray gee in ki zarurat firaq raaton mein
                            Tumhari yaad k jugnoo sambhaal rakhtay hain

                            Tumharee zaat mein in k jawab pinhaan hain
                            Kitab-e-zeest mein jitnay sawal rakhay hain

                            Hamein bhi aatay hain dil jeetnay k hunar saray
                            Faqat itna sa to hum bhi kamal rakhtay hain

                            sigpic

                            Comment


                            • Re: ~Kamal rakhtay hain..!!~~

                              Originally posted by Jhumroo
                              waah bhai waah...yeh Ghazal achchhi hai bahot aur is is Ghazal kii zameen HAZAL ke liye bahot mauzooN hai...maslan:

                              rookhii sookhii roTii khaanaa kitnaa kaar-e-mohaal hai
                              isii liye to, ham chaTnii ke saath DAAL rakhte haiN


                              :lol :lol :lol
                              Shukriya pasand kernay ka.....
                              aur ye section chit chat k lieey nahin hai:a stick: ...us k lieey gup shup use kjieey..Aur kisi shayar k kalam ko bigaarnay se bhi parhez kijieey.......
                              sigpic

                              Comment


                              • Re: ~Kamal rakhtay hain..!!~~

                                very nice je.......................................
                                Life is more strict than a teacher
                                A teacher teaches a lesson
                                and takes an exam.
                                But life takes an exam
                                and then teaches a lesson

                                Comment

                                Working...
                                X