Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Eshaa Ka Intikhaab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Kaho ab kia kahun tum se

    Mujhy umeed do koi
    Naya ik lafz ho koi
    Jahan se bat chal niklay
    Meri mushkil ka hal nikly


    niCe sharing Eshaa. :rose
    :rose

    Comment


    • Re: Kaho ab kia kahun tum se

      Originally posted by Mehak
      Mujhy umeed do koi
      Naya ik lafz ho koi
      Jahan se bat chal niklay
      Meri mushkil ka hal nikly


      niCe sharing Eshaa. :rose
      pasand karna k lieey Thanks Mehak ..khush rahieey bohat bohat :rose
      sigpic

      Comment


      • mohabbat nay maaat dee hogi~~~~

        Assalam_O_Alaikum,
        Zakia balgirami ki ek ghazal pesh kar rahi hoon umeed hai pasand aey gee

        Kabhi kabhi yun hee dil mein gumaan sa hota hai
        Kabhi tumhein bhi mohabbat nay maat dee hogi..
        Tumharay dil k dharaknay ka aakhri mausam
        kahein haseen nazaron mein kho gaya hoga..
        Tumharay dil mein machalta huaa koi armaan
        Wo sard chaandni raaton mein so gaya hoga
        Tumharay saz-e-mohabbat k taar tootay jab
        milan ka geet sarabon mein kho gaya hoga

        Kabhi kabhi yunhee dil mein gumaan sa hota hai
        guzartay waqt nay phir zakhm bhar diey hon gay
        Tumharay chaak girebaan bhi see diey hongay
        Tumharay ashq sitaron nay chun lieey hon gay
        Tumharay khaab nazaron nay bun lieey hon gay
        Ye sab to theek hai lekin tumharay dil ka naqeeb
        Tumharee zeest ki raahon mein chhup gaya hoga
        Tumharee khojti aankhon mein aur dil k kareeb
        wo ek dard-e-musalsal k bas gaya hoga............

        Kabhi kabhi yunhee dil mein gumaan sa hota hai
        Tumharee sharbati aankhon mein ek nami see hai
        Tumharee zeest mein shayad koi kami see hai
        Tumharay sard badan aur laraztay honton per
        Kabhi jo barf giree thi wo ab jami see hai
        Tab hee to tumko kisi baat ka khiyal nahin
        Magar mujhey bhi taghafil ka kuch malal nahin
        Main mutmaen hoon k tum chup ki dastaras mein ho
        Tumharay honton per meray lieey sawal nahin
        Kabhi kabhi yun hee dil mein gumaan sa hota hai
        Kabhi tumhein bhi mohabbat nay maat dee hogi..




        sigpic

        Comment


        • zaroori nahin hai

          Adaab!!!
          Ek ghazal share kar rahi hoon hope so u wil like it:rose

          Zaroori nahi hay jo saahil ki geelee rait per
          Haathon main haath day ker
          Safar aur talatum kay kissay sunaey
          Jazeeron, hawaaon aur An-daikhey mausam
          Aur Aankhon say ojjhal kinaron pay bikhray
          Huay manzaron, zaaiqon aur Rangon ki batain keray
          Wo in wardaton say guzra bhi ho
          Ger kahay, Aao hum in parayshaan Maujon ka peecha kerein
          Jo Teray aur meray paoon ko choomti hain
          talatum ki bay naam manzil say guzrain
          Yeh dekhein hawaaen kisay dhoondti hain
          To chalnay say pehlay zara soch lena
          Zaroori nahi hay jo Andekhay raston ki khabrain sunaey
          Woh in raston ka shanasa bhi ho
          Kaheen yeh na ho tum samunder may us ko dhoondo to wo
          Saahilon pe khara Muskurata rahay.
          sigpic

          Comment


          • Mainey dekha tha in dino mein usey

            Adaab!!!
            sharing one of my fav: ghazal :rose

            Mainey dekha tha un dino mien usey
            Jab wo khiltay gulab jesa tha
            Uski palkoon se neend chanti thi
            Us ka lahja sharab jesa tha
            Us ki zulfoon se bhegti thi ghatta
            Us ka rukh mahtaab jesa tha
            Log parhtay thay khal_O_ khad us ke
            Wo adab ki kitab jesa tha
            Bolta tha zaban khushbu ki
            Log suntay thay dharkanon mien usey
            Mieney dekha tha un dino mien usey
            Sari Ankhein thein Aaeenay uskay
            Saaray chehron mien Intekhab tha WO
            Ye haqeqat hai k, koi khawab tha Wo

            Sab se ghul mil ker ajnabi rehna
            ek dariya numa serab tha wo
            Meri neenden bhi uski nazar hueen
            Mainey paya tha ratjagon mein usey
            Mainey dekha tha un dino mien usey
            Jab wo hans hans ke baat karta tha
            Dil ke khemay mein raat karta tha
            Rang parhtay thay Aanchalon mien usey
            Mainey dekha tha un dino mien usey
            Ye magar der ki kahani hai
            Ye magar der ka fasana hai
            Ab us ke aur mere milaap ke hayall
            Sadiyon bhara zamana hai
            Ab ke haal apna bhi dasht_e_hijran ki shaam jesa hai
            Najanay in dino wo kesa hai...???
            Maine dekha tha un dino mein usey

            sigpic

            Comment


            • Re: zaroori nahin hai

              Adaab!!!
              Nawazish , Shukriya ...:rose
              sigpic

              Comment


              • Re: Mainey dekha tha in dino mein usey

                Adaab!!!
                thanks for appreciation:phool:
                sigpic

                Comment


                • Re: zaroori nahin hai

                  acha thaa...................

                  Comment


                  • Re: zaroori nahin hai

                    Originally posted by neelum
                    acha thaa...................
                    kaun....:lol kiaaaaaaaa.............???:cc: :mm:
                    sigpic

                    Comment


                    • Re: Mainey dekha tha in dino mein usey


                      SO BEAUTIFUL SHARING...........

                      CHIPKOOOOOOOOOOOO

                      Comment


                      • Re: zaroori nahin hai


                        HMMMMMMMMMM
                        NICE SHARING.....

                        CHIPKOOOOOOOOOOOO

                        Comment


                        • Re: zaroori nahin hai

                          Originally posted by Withoutsoul

                          HMMMMMMMMMM
                          NICE SHARING.....
                          hmmmmm thanks:rose :)
                          sigpic

                          Comment


                          • Re: Mainey dekha tha in dino mein usey

                            Originally posted by Withoutsoul

                            SO BEAUTIFUL SHARING...........
                            Withoutsoul...shukriya pasand karnay ka :phool:khush rahiey :rose
                            sigpic

                            Comment


                            • Re: Mainey dekha tha in dino mein usey

                              wah .....
                              bauhat khoob...:thmbup:
                              nice sharing... :phool:

                              Comment


                              • Re: Mainey dekha tha in dino mein usey

                                Originally posted by Eshaa_wellwisher
                                Adaab!!!
                                sharing one of my fav: ghazal :rose

                                Mainey dekha tha un dino mien usey
                                Jab wo khiltay gulab jesa tha
                                Uski palkoon se neend chanti thi
                                Us ka lahja sharab jesa tha
                                Us ki zulfoon se bhegti thi ghatta
                                Us ka rukh mahtaab jesa tha
                                Log parhtay thay khal_O_ khad us ke
                                Wo adab ki kitab jesa tha
                                Bolta tha zaban khushbu ki
                                Log suntay thay dharkanon mien usey
                                Mieney dekha tha un dino mien usey
                                Sari Ankhein thein Aaeenay uskay
                                Saaray chehron mien Intekhab tha WO
                                Ye haqeqat hai k, koi khawab tha Wo

                                Sab se ghul mil ker ajnabi rehna
                                ek dariya numa serab tha wo
                                Meri neenden bhi uski nazar hueen
                                Mainey paya tha ratjagon mein usey
                                Mainey dekha tha un dino mien usey
                                Jab wo hans hans ke baat karta tha
                                Dil ke khemay mein raat karta tha
                                Rang parhtay thay Aanchalon mien usey
                                Mainey dekha tha un dino mien usey
                                Ye magar der ki kahani hai
                                Ye magar der ka fasana hai
                                Ab us ke aur mere milaap ke hayall
                                Sadiyon bhara zamana hai
                                Ab ke haal apna bhi dasht_e_hijran ki shaam jesa hai
                                Najanay in dino wo kesa hai...???
                                Maine dekha tha un dino mein usey


                                aslaam_u_Alikam

                                waah bohat hi khub

                                Comment

                                Working...
                                X