Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

khan khan ka Intekhab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: khan khan ka Intekhab

    Originally posted by khan khan View Post
    Zara se dair ko aaey thay khawaab aankhon main
    pher us k baad musalsal azaab aankhon main

    wo jis k naam ki nisbat se rushanaas tha wajood
    khatak raha hai wohi aaftaab aankhon main

    jinhain mata-e-dil-o-jan samjh rahay thay hum
    wo aaenay bhe hoey be-hijaab aankhon main

    ajab tarha ka hai mousam k khaak urti hai
    wo din bhe thay k khilay thay khawaab aankhon main

    meri ghazal teri wehshatoun ki khair ki hai
    bohat dino se bohat iztaraab aankhon main
    Buhat zabardast Khan Sahib :thmbup:

    Comment


    • #62
      Re: khan khan ka Intekhab

      Originally posted by Mr.Khan View Post
      Buhat zabardast Khan Sahib :thmbup:

      Thank u soo much Mr.Khan.
      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

      Comment


      • #63
        Re: khan khan ka Intekhab

        Tanao main jub aajaen tu dhagay toot jatay hain
        zara se baat par derina rishtay toot jatay hain

        tumhain es baat par herat k tota hai hamara dil
        muqabil jub hon pathar tu sheshay toot jatay hain

        gozartay wqt se chezain porani ho he jati hain
        diloun pe mail parti hai tu jazbay toot jatay hain

        hazaroun khawahishain tarteeb pati hain khayaloun main
        magar jub aankh khulti hai tu sapnay toot jatay hain

        umad aatay hain jhurrioun main hazaroun dukh zamanay k
        gozar kar umar k hissay se cheray toot jatay hain

        na janay keun tumhari yaad aatii hai mujhay us dam
        meray aangan main jub beloun k pattay toot jatay hain

        dukhoun main tu nikal aatay hain aankhon se Qamar aanso
        khushi k mousamon main bhe kinaray toot jatay hain
        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

        Comment


        • #64
          Re: khan khan ka Intekhab

          Khayal-o-khawaab hoe hain muhabbatain kaise
          laho main naach rahi hain ye wehshatain kaise

          na shub ko chaand he acha na din ko mehar acha
          ye hum pe beet rahi hain qayamatain kaise

          wo saath tha tu khuda bhe tha meharban kia kia
          bichar gaya tu hoe hain adawatain kaise

          azaab jinka tabassum,sawaab jinki nigah
          khinchi hoe hain pas-e-jan ye soratain kaise

          hawa k doosh pe rakahay hoey charaag hain hum
          jo bujh gaey tu hawa se shikayatain kaise

          jo be-khabar koe gozra tu ye sada de hai
          main sang-e-rah hon,mujh par enayatain kaise
          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

          Comment


          • #65
            Re: khan khan ka Intekhab

            Main jis main kho gaya hon mera khawaab he tu hai
            yak do nafas namoud sahi,zindagi tu hai

            jalti hai kitni dair hawaoun main meray saath
            ek shamma pher meray liye roushan hoe tu hai

            jis main bhe dhal gae esay mehtaab kar gae
            meray laho main aise bhe ek roushni tu hai

            tu bo-e-gul hai aur pareshan hawa hon main
            dono main eak rishta-e-aawaagi tu hai

            aay khawaab,khawaab-e-umer-e-gorezan ki sa'aatoun
            tum sun sako tu baat meri guftani tu hai
            aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
            kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

            Comment

            Working...
            X