Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
khan khan ka Intekhab
Collapse
X
-
Ghazal
Suna tha k wo aaen gain anjuman main,suna tha k un se moulaqaat ho ge
hamain kia pata tha hamain kia khabar thi,na ye baat ho ge na wo baat ho ge
main kehta tha usko dil main basa lo,wo kehtay hain hum se nigahain mila lo
nigahon ko maloom kia dil ki halat,nigahon nigahon main kia baat ho ge
hamain khaynch kar ishq laya hai tera,teray dar par hum ne lagaya hai dayra
hamain hoga na jub tak dedaar tera,yahen subha hoge yahen raat ho ge
muhabbat ka jub hum ne chera fasana,tu goray se mukhray pe aaya pasena
jo niklay thay ghar se tu kia jaantay thay,k u dhoop main aaj barsaat ho ge
khafa hum se ho k wo bethay hoey hain,raqebon main ghir k wo bethay hoey hain
na wo dekhtay hain na hum dekhtay hain,yahan baat ho ge tu kia baat ho geaay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
kia tujhay koe kaam kaaj nahi!
Comment
-
Yaad aatay ho
Moqaddar k sitaron par
zamanay k isharon par
udasi k kinaron par
kabhi weraan sehra main
kabhi hayraan aankhon main
kabhi bejaan lamhon par
tumhari yaad chupkay se
koe sargoshi karti hai
ye palkain bheeg jati hain
tu aanso toot girtay hain
hum palkon ko jhokatay hain
bazaher muskoratay hain
faqat itna he kehtay hain
mujhay kitna satatay ho
mujhay kitna rolatay ho
MUJHAY TUM YAAD AATAY HOaay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
kia tujhay koe kaam kaaj nahi!
Comment
-
Aankhain
Nazar mila k zara dekh na jhuka aankhain
barha rahi hain nigahon ka housala aankhain
jo dil main aks hai aankhon se bhe wo chalkay ga
dil aaena hai magar dil ka aaena aankhain
wo ek sitara tha janay kahan gira ho ga
khala main dhoondh rahi hain na janay kia aankhain
ghum-e-hayaat ne fursat na de theharnay ki
pokaarti he rahi hain mujhay sada aankhain
ye es ka tarz-e-takhatub bhe khoob hai mohsin
ruka ruka sa tabassum khafa khafa aankhainaay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
kia tujhay koe kaam kaaj nahi!
Comment
-
Wada karo
Khushboun ki tarha meri har saans main
piyaar apna basanay ka wada karo
rang jitnay tumhari muhabbat k hain
meray dil main sajanay ka wada karo
hai tumhari wafaoun pe mujhko yaqeen
pher bhe dil chahta hai meray dil nasheen
u he meri tassalli ki khatir zara
mujhko apna bananay ka wada karo
jub muhabbat ka iqraar kartay ho tum
dharkano main naya rang bhartay ho tum
baarha kar chokay ho magar aaj pher
mujhko apna bananay ka wada karo
sirf lafzon se iqraar hota nahi
ek janib se he piyaar hota nahi
main tumhain yaad rakhnay ki khaoun qasam
tum mujhko na bholanay ka wada karoaay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
kia tujhay koe kaam kaaj nahi!
Comment
-
Ghazal
Pehlay tu thay na roushan,taray,charaag,jugno
aaya hai dil main koe yadain hain teri ya tu
hum tujhko dekhtay hain aur sooch main paray hain
tu phool hai k khushbo,tu rang hai k jado
kuch apnay kuch paraey tum dhoop ho k saaey
manous jaisay panchi bechain jaisay aaho
markaz bhe daa'era bhe manzil bhe raasta bhe
tu hai faraib-e-hasti yak so hai aur her so
ye faaslay nazar k bemani ho gaey hain
kafi hai muskorahat kafi hai teri khushboaay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
kia tujhay koe kaam kaaj nahi!
Comment
-
Tu keun mehsoos kartay ho
Jo uski yaad aati hai tu keun mehsoos kartay ho
muhabbat ab satati hai tu keun mehsoos kartay ho
tum in logon se hat kar bhe tu zinda reh nahi saktay
ye duniya dil dukhati hai tu keun mehsoos kartay ho
barastay hain jo badal tu utar jata hai boojh unka
tumhain khawahish rulati hai tu keun mehsoos kartay ho
wohe chashm-e-tasawwar hai wohe hai dil ki halat bhe
wo sorat hashar uthati hai tu keun mehsoos kartay ho
kaha tha kis ne rakho tum sunehray khawaab aankhon main
aseer-e-neend urti hai tu keun mehsoos kartay ho
usi se milti julti hain adaa'en sub balaoun ki
hawa pagal banati hai tu keun mehsoos kartay ho
jisay tum chaand kehtay thay wo he hai aankh main roushan
agar shub jagmagati hai tu keun mehsoos kartay hoaay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
kia tujhay koe kaam kaaj nahi!
Comment
Comment