Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

khan khan ka Intekhab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • khan khan ka Intekhab

    Ab dhoop bhool jaaeye soraj yahan nahi
    aise zamen mili hai jahan aasman nahi

    kaghaz pe raat apni siyahi bicha gae
    koe lakeer,teray meray darmiyan nahi

    jaa uska naam likh de gulabon ki shaakh par
    pholon k ass pass agar titliyan nahi

    dil ne tumhari yaad main subko bhula diya
    ab taaq hai,charaagh hai,lekin dhouaan nahi

    ye raaz ab khula teri naraazgi k baad
    tu meharban nahi tu koe meharban nahi
    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

  • #2
    Ek Shaks

    Ek shaks raat pher meri hasti pe cha gaya
    itna qareeb aaya k dil main sama gaya

    wo eak pal jo de gaya aasoudgi k saath
    jazbon ki taza dhoop main pagal bana gaya

    pehlay meray wajood pe utra wo boond boond
    barsa tu pher ghata ki tarha mujh pe cha gaya

    wo jub mila tu piyaas se lub khushk thay bohat
    louta tu hasraton ko wo pani pila gaya

    paband kar gaya wo mujhay lamhon ki qaid main
    aankhon pe apni yaad k pehray bitha gaya
    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

    Comment


    • #3
      Re: Ek Shaks

      Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

      Comment


      • #4
        Re: Meharban

        nice
        Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

        Comment


        • #5
          Re: Meharban

          Originally posted by Dil_E_Veran View Post
          nice

          Thanx Dil_E_Veran.
          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

          Comment


          • #6
            Re: Ek Shaks

            wah wah wah beautiful ghazal.......

            Comment


            • #7
              Re: Ek Shaks

              Zaberdast :rose
              Zindagi Thak Gaye ..!!

              Comment


              • #8
                Re: Meharban

                Ahhaa Khoooob ...
                Zindagi Thak Gaye ..!!

                Comment


                • #9
                  Re: Meharban

                  very ncie

                  Comment


                  • #10
                    Re: Ek Shaks

                    very ncie

                    Comment


                    • #11
                      Qitta

                      Kaash aisa ho ab k bewafai main karon
                      tu pheray qarya ba qarya ko ba ko meray liye
                      main tu laamehdood ho jaon samandar ki tarha
                      tu bahay dariya ba dariya jo ba jo meray liye
                      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                      Comment


                      • #12
                        Raaz-e-Muhabbat

                        Raaz-e-muhabbat kehnay walay loog tu lakhon miltay hain
                        raaz-e-muhabbat rakhnay wala hum sa dekha ho tu kaho
                        waisay tu her shaks k dil main eak kahani hoti hai
                        hijr ka lawa,ghum ka saleqa,dard ka lehja ho tu kaho
                        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                        Comment


                        • #13
                          Re: Raaz-e-Muhabbat

                          Hmm Acha hai

                          Zindagi Thak Gaye ..!!

                          Comment


                          • #14
                            Re: Raaz-e-Muhabbat

                            bahoot khoob janab
                            sigpic

                            Comment


                            • #15
                              Re: Raaz-e-Muhabbat

                              Originally posted by La'hasil View Post
                              Hmm Acha hai

                              Thanx La'hasil.
                              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                              Comment

                              Working...
                              X