Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

khan khan ka Intekhab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Qudrat k Asoul

    Qudrat k asoulon main badal keun nahi hota
    jo aaj hoa hai wohe kal keun nahi hota

    har jheel main lehrain hain har jheel main pani
    har kise k muqaddar main kanwal keun nahi hota

    jub usi ne duniya ka ye dewaan kilha hai
    har aadmi ek piyari se ghazal keun nahi hota

    har baar na milnay ki qasam kha kar milay hum
    pher apnay he eradon par amal keun nahi hota
    Last edited by khan khan; 14 June 2008, 13:49.
    aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
    kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

    Comment


    • #47
      Eak Shair

      Mujhay zindagi hai azeez tar esi waastay meray humsafar
      mujhay qatra qatra pila zehar jo karay asar badi dair tak
      Last edited by khan khan; 14 June 2008, 13:50.
      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

      Comment


      • #48
        Qitta

        kabhi tu shouq se tu khud dikhai day mujhko
        jo ye nahi tu izn-e-judai de mujhko
        teri sada ko kahan raaston main dhondo ga
        tu ab k meray he andar sunai de mujhko
        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

        Comment


        • #49
          Zindagi kuch bhe nahi teray bina

          Hum jo kehtay thay kuch bhe nahi teray bina
          lekin ye kia k zindagi sub kuch hai teray bina

          ab tu raat bhe kat jati hai din bhe gozar jata hai
          sub waisa he hai kuch bhe tu nahi badla teray bina

          teray janay pe jo rim jhim se thi aankhon main ab
          thehar gaya hai wo aankhon ka samandar teray bina

          waqt ne bohat kuch sikhla diya hai mujhay
          ab tu wqt bhe gozar jata hai teray bina

          shayed muhabbat karnay k aadaab he na thay
          ab zindagi ne wo bhe sikhla diya teray bina

          jo gozar gaya hai so gozar gaya hai dost
          jo reh gaya hai ,gozar jaey ga teray bina
          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

          Comment


          • #50
            Re: khan khan ka Intekhab

            Nahi wo shaks muqaddar main pher bhe us sy miltay hain
            bada pur-lutf lagta hai muqaddar ko saza dena
            aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
            kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

            Comment


            • #51
              Re: khan khan ka Intekhab

              Tamaam rooh ki lazzat esi main thi mouqouf
              k zindagi main kabhi tum se guftago hoe
              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

              Comment


              • #52
                Re: khan khan ka Intekhab

                Muhabbat ho he jati hai
                muhabbat ki nahi jati muhabbat ho he jati hai
                dayar-e-ishq main kati hai lambi zindagi hum ne
                hazaroun ashiqoun se do-bado ye guftago ki hai
                har ek ashiq ne samjhaya
                hamaray tajrubay ne hum ko sikhlaya
                samjh main bus ye he aaya
                Muhabbat ki nahi jati muhabbat ho he jati hai
                muhabbat kia hai
                dil ka zehan se kuch guftago karna
                kabhi chonay ko nelay aasman ki aarzo karna
                Muhabbat ki nahi jati muhabbat ho he jati hai
                muhabbat kia hai jo de day zulaikha ko jawani bhe
                muhabbat heer ki lela ki majnoun ki kahani bhe
                hai aise aag ye jis ko bujha paey na pani bhe
                jawani sub k dil main beej es ka bo he deti hai
                Muhabbat ki nahi jati
                Muhabbat ho he jati hai
                aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                Comment


                • #53
                  Re: khan khan ka Intekhab

                  Waqif nahi tum apni nigahoun k asar se
                  es raaz ko pocho kise barbaad nazar se

                  ek ashk nikal aaya hai u deda-e-tar se
                  jis tarha janaza koe niklay bharay ghar se

                  rag raga main awaz khon k may dour rahi hai
                  wo dekh rahay hain mujhay makhmoor nazar se

                  es tarha basar hotay hain din raat hamaray
                  ek taza bala aae jo ek tal gae sar se

                  sehra ko bohat naaz hai werani pe apni
                  waqif nahi shayed meray ujray hoey ghar se

                  mil jaen abad se meray Allah ye lamhay!
                  wo daikh rahay hain mujhay manoos nazar se

                  jaen tu kahan jaen kharay sooch rahay hain
                  uthnay ko khomaar uth tu gaey hum kise dar se
                  aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                  kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                  Comment


                  • #54
                    Re: khan khan ka Intekhab

                    Nice sharing janab keep it up
                    sigpic

                    Comment


                    • #55
                      Re: khan khan ka Intekhab

                      Originally posted by WASI ANJUM View Post
                      Nice sharing janab keep it up

                      Thank u so much WASI ANJUM.
                      aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                      kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                      Comment


                      • #56
                        Re: khan khan ka Intekhab

                        Kia dukh hai samandar ko bata bhe nahi sakta
                        aanso ki tarha aankh tak aa bhe nahi sakta

                        tu choor raha hai tu khata es main teri kia
                        har shaks mera saath nibha bhe nahi sakta

                        waisay tu ek aanso he baha kar mujhay le jaey
                        aisay koe toufaan hila bhe nahi sakta

                        ghar dhoond rahay hain mera ratoun k pojari
                        main hon k charagoun ko bujha bhe nahi sakta
                        aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                        kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                        Comment


                        • #57
                          Re: khan khan ka Intekhab

                          Main es umeed pe douba k tu bacha le ga
                          ab es k baad mera imtahan kia le ga

                          ye eak mela hai wada kise se kia le ga
                          dhalay ga din tu har ek apna raasta le ga

                          main bujh gaya tu hamesha ko bujh he jaoun ga
                          koe charaag nahi hon jo pher jala le ga

                          kaleja chahiye dushman se dushmani k liye
                          jo be-amal hai wo badla kise se kia le ga

                          hazaar toor k aa jaoun us se rishta waseem
                          main jaanta hon wo jub chahay ga bola le ga

                          By Waseem Barelvi
                          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                          Comment


                          • #58
                            Re: khan khan ka Intekhab

                            Bahot khoob janab nice sharing
                            sigpic

                            Comment


                            • #59
                              Re: khan khan ka Intekhab

                              Originally posted by WASI ANJUM View Post
                              Bahot khoob janab nice sharing
                              Thank u soo much WASI ANJUM.
                              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                              Comment


                              • #60
                                Re: khan khan ka Intekhab

                                Zara se dair ko aaey thay khawaab aankhon main
                                pher us k baad musalsal azaab aankhon main

                                wo jis k naam ki nisbat se rushanaas tha wajood
                                khatak raha hai wohi aaftaab aankhon main

                                jinhain mata-e-dil-o-jan samjh rahay thay hum
                                wo aaenay bhe hoey be-hijaab aankhon main

                                ajab tarha ka hai mousam k khaak urti hai
                                wo din bhe thay k khilay thay khawaab aankhon main

                                meri ghazal teri wehshatoun ki khair ki hai
                                bohat dino se bohat iztaraab aankhon main
                                aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                                kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                                Comment

                                Working...
                                X