Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Uzair's Collection

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: Uzair's Collection

    Main Mohabbat hoon Mohabbat karke dekh

    Main Mohabbat na doon to kehna

    Main Muskurahat hoon mujhe hansa ker dekh

    Na sajoon tere honton per to kehna

    Main Khushboo hoon mujhe mehsoos karke dekh

    Na mehkoon teri zindagi main to kehna

    Main Dil hoon mujhe sun ker dekh

    Na Dharkoon tere Dil main to kehna

    Main Phool hoon mujhe laga ker dekh

    Na mehkoon din raat to kehna

    Main Mohabbat hoon ujhe apna karke dekh

    Na banoo main tera to kehna...

    Comment


    • #62
      Re: Uzair's Collection

      Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
      K ashq rokna tum se mohaal hona hay

      Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay
      Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay

      Tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
      Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay

      Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
      Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

      Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main
      Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay

      Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
      Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay

      Har aik shaks chalay ga humari rahoon per
      Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay

      Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
      Humari zaat ko aisa sawal hona hay

      " yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
      Usay bhi apne kiye ka malal hona hay

      Comment


      • #63
        Re: Uzair's Collection

        cheer ke dekh le is dil mai bachaa kuch bhi nahiN
        is ghar meiN teri yaadoN ke sivaa kuch bhi nahiN


        kahaaN ka ishq,wafa,pyaar,mohabbat kaisi ?
        aaj kal soney ke sikkoN se badaa kuch bhi nahiN


        apne haathoN ki lakeeroN se khafa huuN, lekin
        mere mehboob mujhe tujhse gilaa kuch bhi nahiN


        humne haNste hue jaaN de di tere qadmoN meN
        tu kyoN rota hai ke tera to gayaa kuch bhi nahiN


        ik zamana tha ke palkoN pe khwaab rehte the
        ab to aaNkhoN meN aaNsuyoN ke sivaa kuch bhi nahiN


        duaa kiije , ke karishma hi koi ho jaaye
        iss duinya mai mohabbat ki davaa kuch bhi nahiN


        sar-e-mehfil faqat nazreN milaayiiN thiiN tumse
        ghabraaye kisliye ? humne to kaha kuch bhi nahiN


        yaaro "KaMaLabaah hua hai apni marzi se
        unheN tum kuch na kaho unki khataa kuch bhi nahiN

        Comment


        • #64
          Re: Uzair's Collection

          Agar Jo Dil Ki Suno Gay Tu Haar Jaho Gay
          Hum Jaisa Dost Phir Kahan Se Paho Gay

          Jaan Daine Ki Baat Tu Har Koi Karta Hai
          Zindagi Banane Wala Kahan Se Laaho Gay

          Jo Ek Nazar Dekho Ge Tum Humain
          Tu Har Taraf Sirf Hum Hi Ko Paaho Gay

          Yaqeen Apni Dosti Par Itna Hai Muje
          Meri Dosti Ko Dekho Ge Tu Laut Aaho Gay

          Comment


          • #65
            Re: Uzair's Collection

            Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
            Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

            Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
            Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

            Mehfilon main kahin bhi maza na raha
            Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

            Baat bay baat apni aahain daba ker
            Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

            Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
            Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

            Kya muqadar say shikwa kertey rahain
            Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

            Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
            Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

            Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
            Ghairon nay aaker galay say lagaaya

            Acha hua kay raaz khul hi gaya
            Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya

            Shab-o-roz chahat sila yeh hay dost
            Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya

            Comment


            • #66
              Re: Uzair's Collection

              Ub Key Dil Sunbhal Jaye Yeh Dard Tham Jaye;
              Kasam Hai Phir Mein Kisi Arzoo Ka Naam Na Loon..

              Comment


              • #67
                chupke chupke ro lena

                Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho
                Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chupke Chupke Ro Lena
                Jab Ankhein Bagi Ho Jain Aur yaad Mein Meri Bhar Aain
                Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chupke Chupke Ro lena
                Jab Palkein Karab Se Mondi Ho Aur sab Samjhein Tum Sote Ho
                Tab Moun Par Takeya Rakh Lena Aur Chupke chupke Ro Lena
                Yah Duniya Zalim Duniya Hai, Yah baat Buhat Phelay Gi
                Tum Sab Ke Samne Chup Rehna Aur Chupke chupke Ro Lena
                Jab Barish Chera Dho Dale Aur Ashk Bhi Boondein Lagte Hon
                Who Lamha Hargiz Mat Khona Aur Chupke Chupke Ro Lena

                Comment


                • #68
                  Re: Uzair's Collection

                  Kitni azeeyat se usne mujko bhullaya hoga
                  Meri yadoon ne usko khoob rulaya ho ga,

                  Baath bay baath yunhi aankh jo teri chulki ho gi
                  Usne chehre ko bazooon main chuppaya ho ga,

                  Socha ho ga usne din main kai baar mujko
                  Naam hatheli par likh likh ker mera mitaya ho ga,

                  Jahan mera zikr suna ho ga usne kissi se
                  Uski aankhon main aanso tu aaya ho ga,

                  Hoke nidhaal meri yadoon se tune jaana
                  Meri tasveer par sar tikaya hoga,

                  Raat ke bheegnay tak neend nahin aai hogi tujhe
                  Tune takiye ko bhi bahoon main chupaya ho ga,

                  Poocha hoga jo kissi nay teri halat ka sabab
                  Tune baaton main usse khoob chupaya hoga

                  Comment


                  • #69
                    Re: Uzair's Collection

                    Na who farishta ho na farishtey jaisa ho
                    Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho

                    Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai
                    Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho

                    Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko
                    Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho

                    Meri khatir marney ka hosla bhi rakhta ho
                    Na who farishta ho na farishtey jaisa ho

                    Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho

                    Comment


                    • #70
                      Re: Uzair's Collection

                      apne haatho se u chehre ko chupate q ho,
                      mujh se sharmate ho tou saamne atay q ho...

                      tum kabhi mere tarha kar bhi lo ikraar-e-wafa,
                      pyar karte ho tou phir pyar chupate q ho...

                      ashq aankho mei mere dekh k rote q ho,
                      dil bhar aata hai to phir dil ko dukhate q ho...

                      in se vaabasta hai jab mera muqadar phir tum,
                      mere shano se ye zulf hatatay q ho...

                      roz mar mar k mujhe jeenay ko kehte q ho,
                      milne aatay ho to phir laut k jatay q ho...

                      apne haatho se u chehre ko chupate q ho,
                      mujh se sharmate ho tou saamne atay q ho

                      Comment


                      • #71
                        Re: Uzair's Collection

                        bahot he umda collections janab
                        sigpic

                        Comment


                        • #72
                          Re: Uzair's Collection

                          Usta-e-mohtram janab very nice.......... akhir ko aap ustad hain aap ki collection say he lagta hai...

                          Comment

                          Working...
                          X