Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Uzair's Collection

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Uzair's Collection

    Khamosh ho kyo

    Khamosh ho kyo ? Kuch kaho, chup rehna chaho to bhi kaho,

    Agar naraz ho humse to pyar se nai nafrat se kaho,

    Khamosh ho kyo kuch kaho. Reh na gaya kehne ko kuch baaki agar to bhi kaho,

    Pal jo bitaye saath unhe yaad kar kuch kaho.

    Khamoshi tumhari kya kar rahi hai zulm is dil se pucho,

    Dhadkane bhi dhadak kar keh rahi khamosh ho kyo? Kuch kaho.

    Mausam ke tarah na badlega pyar humara,

    Bas itna aitbaar tum karna,ho jaye kabhi koi gila humse,

    To shikwa zaroor karna . Bin shikwa kiye yu na rooth jana tum,

    Nazre jhukaye hoonth dabaye khamosh na ho jana tum.

    Khamosh ho kyo kuch kaho, Lafzo se nai to isharo se kaho ,

    Lafzo mein nai to nazro se kaho, khamosh ho kyo? Kuch kaho.

  • #2
    tum se door ab ho nahi sakte

    kiya biyan karon

    zindagi ki sab khushiyan lafzon main kiya biyan karon
    dukhon ke sab lamhat ankhon main aa samaye hen
    woh khowab jin ki tabeer nahin, woh rasta jis ki koi hudnahin
    musalsal jadojahed ke asar chehre per sajaye hen
    ache dost buhat kam milte hen zindagi ke safer main
    akser esa bhi lagta he ke apne bhi paraye hen
    apne zakhmi wajood ko le ker zindagi main hamesha
    rothe hue dost bhi humne manaye hen.
    nahin jan saka koi mere dukhon ki intaha
    hum ne ansoun ko chupa ker hazar bahane banaye hen

    Comment


    • #3
      tum se door ab ho nahi sakte

      Main lafz dhoond dhoond k thuk bhe gia Qateel
      Wo phool de k baat ka izhaar kur gia................:

      Comment


      • #4
        tum se door ab ho nahi sakte

        Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi Ko Sadaa Na Day
        Jo Tairay Baghair Na Jee Sakay Usay Jeenay Ki Too Duaa Na Day

        Too Azeez Dill-o-nazar Say Hay Too Qareeb Rag-o-jaan Say Hay
        Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day
        Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah Kay Bhee Na Paa Sakoon
        Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar Mairee Chahatoon Ka Silaa Na Day
        Tujhay Gar Mailain Kabhee Fursatain Mairee Shaam Phir Say Sanwaar Day
        Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day

        Comment


        • #5
          tum se door ab ho nahi sakte

          Naa Tujhay Chor Saktay Hain,Teray Ho Bhi Nahi Saktay
          Ye kaise Be-Basii Hay Aaj Hum Roo Bhi Nahi Saktay

          Ye Kaisa Dard Hay Pal Pal Humay Tarpayee Rakhta Hay
          Tumhare Yaad Aati Hay To Phir Soo Bhi Nahi Saktay

          Chupa Saktay Hain Aur Naa Hum Dekha Saktay Hain Logon Ko
          Kuch Aisay Daagh Hain Dil Per Jo Hum Dhoo Bhi Nahi Saktay

          Kaha Tha Chor Dengay Ye Nagar Phir Ruk Gaye Laikin
          Tumhay Paa To Nahi Saktay Magar Khoo Bhi Nahi Saktay

          Humara Aikh Hona Bhi Mumkin Nahi Raha Aab To
          Jeeayen Kaise K Tum Say Door Aab Ho Bhi Nahi Saktay

          Comment


          • #6
            mujhe intazar mil gia

            Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai
            Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila He
            Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se
            Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai
            Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
            Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai
            Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya
            Mein khushnasib hun mujhe Intezar mil gaya

            Comment


            • #7

              Comment


              • #8
                hum nahi chahte

                JISSE PAA BHI NA SAKO
                Uski Hasrat Hei Jisse Dil Se Mita Bhi Nahi Sakon
                Dhondne Usko Chala Hon Jisse Paa Bhi Na Sakon

                Maherban Ho Ke Bula Lo Mujhe Chaho Jis Waqt
                Main Gaya Waqt Nahi Hon Ke Phir Aa Bhi Na Sakon

                Daal Ker Khak Mere Khoon Pe Qatil Ne Kaha
                Kuch Yeh Mahndi Nahi Meri Ke Chupa Bhi Na Sakon

                Zof Mei Tana-e-Agiyar Ka Shikwa Kiya Hei
                Baat kuch Asar Tou Nahi Hei Ke Utha Bhi Na Sakon

                Zapt Kambakht Ne Or Aa Ke Gala Ghonta Hei
                Ke Usse Haal Sunaon Tou Suna Bhi Na Sakon

                Zahr Milta Hi Nahi Mujhko Sitamger Warna
                Kia Kasam Hei Tere Milne Ki Ke Khaa Bhi Na Sakon

                Uske Pahlo Mei jo Ley Jaa Ke Sula Don Dil Ko
                Neend Aesi Usse Aye Ke Jaga Bhi Na Sakon

                Uski Hasrat Hei Jisse Dil Se Mita Bhi Na Sakon
                Dhondnay Usko Chala Hoon Jisay PAa Bhi Na Sakon

                Comment


                • #9
                  hum nahi chahte

                  Aaya tha ghar sanvaarane ehasaan kar gaya
                  barbadiyon ka aur bhi saamaan kar gaya

                  ab tak rahi us ki yaad meri zindgi k saath
                  do char pal ki mujh se jo pahachaan kar gaya

                  aankhon ne jis ke shauq mein raatein sajaai thin
                  khvaabon ki anjuman wohi viraan kar gaya

                  jhonkaa nasim-e-subah ka aaya to tha magar
                  gulshan ki har kali ko pareshaan kar gaya

                  Comment


                  • #10
                    waada

                    tUm kyOun Baney They Dil Ka Sahara Jawab Do
                    KhamOsh Kis Leye Ho Khudara Jawab Do

                    Tum nay hee tu muj ko, bakhsha tha dard-e-dil
                    Kiyon kar sako gay dard ka charaa Javaab Do

                    Chahat Kii Dil-Faraib Adaiyen Kahan Gaien
                    Ab Kya hUa Wo Pyar tUmhara Jawab Do

                    Aakhir tUmharey Dil Mein Yeh Kya Aa Gya Khayal
                    kyOun Kar Rahey Ho hUm Sey Kinara Jawab Do

                    Ab To Na Seh Sakien Gey jUdaii Kii Zindgii
                    tUm Ko hAi kyOu Yeh Baat Gawara Jawab Do

                    Eik Simt Zindgii hAi Eik Simt mOut hAi
                    Ab Kis Taraf Karo Gey Ishara Jawab do

                    Comment


                    • #11
                      waada

                      Roz subha khud say aik waada kartay hain
                      Tujhay iss dil say bhulanay ka irada kartay hain
                      Apni he baat say mukkarr jatay hain maloom nahi kyoun
                      Bheegti ankhon ko khuwab tornay keliye amaadah kartay hain

                      Comment


                      • #12
                        wo lout k mere pass hi aie

                        ay ISHQ tu apna zaur dikha
                        woh laut k mere pas hi aay
                        meri jan ko ja kar kuch bata
                        woh sun'nay ko betaab ho jai
                        aik arsay se main soi nahi
                        usko bula mujahy chain tau aay
                        Meri Jan ban betha tha jo
                        Usko bata koi maseha bulay
                        ay ISHQ tu apna zaur dikha
                        woh laut k mere pas hi aay

                        Comment


                        • #13
                          faslay bhi sath rakhta tha

                          mohabbat ma wo nafrat k diya b sath rakhta ha
                          wo mujh sa piyar tu karta hay ,gilay b sath rakhta ha
                          bazahir wo baray shahroun ma tanha musafir ha
                          wo apni zaat ma kuch kaflay b sath rakhta ha
                          wo mujhko sochta ha aur taluk b nahi rakhta
                          qariib ata ha lakin faslay b sath rakhta ha

                          Comment


                          • #14
                            Re: waada

                            Umdaah Collection


                            Maghar Uzair Aik Din Main Teen Thread Hi Lagaya kijye
                            Zindagi Thak Gaye ..!!

                            Comment


                            • #15

                              Comment

                              Working...
                              X