Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Uzair's Collection
Collapse
X
-
Re: Uzair's Collection
Tum Kiya Jaano Main Khuda Se Kiya Maangta Hoon ?
Tumhari Salam-ti Ki Hamesha Duaa Mangta Hoon
Agar Anjaane Main Ho Jaaye Koi Tumse khata
Tou Do Mujhe Uski Saza Ye Maangta Hoon
Agar Lag Jaaye Koi Chot Tumko Ya Ho Jaaow Tum Pareshaan
Tou Meray Haq Main Wo Saari Takleefein Maangta hoon
AiY KHUDA Meray Mehboob Ko Gham Se Door Rakhna
Din Raat Tumhaaray Saaray Gham Maangta Hoon
Tum Ho Hamesha Kaamyaab Tumhaari Her Khwaahish Ho Poori
Buss Ye Chaahta Hoon Aur Tumhari Khushi Maangta Hoon
Main Jaanta Hoon Ke Tum Mayri Nahin Ho Lekin
Main Hamesha Khuda Se Tumhaara Saath Maangta Hoon
Comment
-
Re: Uzair's Collection
Mujhay araam kernay doo, Mujhay abb maat satao tum
Tahkan sadion ki hay mujh ko, Mujhay ab mat jagao tum
Dukhoon ki akhari kahani thee, Ussi ka akhari hissa
Bohat arsay say jari thaa, ussay ab bat dohrao tum
Tumhari daiary kay akhari ouraq main maen thaa
Safhay yuoo na pharto tum, Mujhay youon na mitao tum
Comment
-
Re: Uzair's Collection
Har baar he teri narazgi say dartay hain hum
par har baar he tujh say piyar tu kartay hain hum
jawab na milay ga is baar bhe jaantay hain hum
par is baar bhe jawab k tu muntazir hain hum
tu zindagi bhar na chahay ga ye maantay hain hum
phir bhe teri chahat k tu muntazir hain hum
Ye saadgi apni k jitna bhoolna chahain
utnay he tere piyar main doba gaye hain hum
takleef ka ehsaas bhe itna k bas na pooch
tere khayal say har zakhum ko marham kiye hain hum
tere saath guzra hoa aik aik pal ha shamil mujh main
par teri tu guftagoo main bhe shamil nahe hain hum
Comment
-
Re: Uzair's Collection
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye a
a phir se mujhe choor ke jane ke liye a
pahale se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye a
kis kis ko batayen ge judai ka sabab ham
tu mujh se Khafa hai to zamane ke liye a
kuchh to mere pindar-e-muhabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye a
ek umr se hoon lazzat-e-giriya se bhi maharum
ai rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye a
ab tak dil-e-Khush faham ko tujh se hain ummidain
ye aKhiri shamain bhi bujhane ke liye a
mana ki muhabbat ka chupana bhi hai muhabbat
chupake se kisi roz yeh jatane ke liye a
jaise tujhe ate hain na anye ke bahane
aise hi kisi roz na jane ke liye a
Comment
-
Re: Uzair's Collection
bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijye
kabhi aa ke mere zakhmon ka deedar kijye
ho jaaiye begaane aap shaquq se sanam
aapka humn aapka rahungee aitbaar kijye
padhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijye
na majboor kijye, k main unko bhool jaaun
mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijye
in jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijye
karna hai ishq aapse karte rahenge hum
jo bhi karna hai aapko mere sarkaar kijye
phir sapno ka aashiyaan bana liya hai maine
phir aandhiyon ko aap khbardaar kijye
hame na dikhaiye ye daulate ye shohrate
hum pyaar ke bhooke hain hame pyaar kijye
Comment
-
Re: Uzair's Collection
kabhi nazren milane main zamane beet jate hain
kabhi nazren churane main zamane beet jate hain
kisi ne aankh bhi kohli tu sone ki nagriii main
kisi ko ghar banane main zamane beet jate hain
kabhi kali seya ratain hamain pal pal ki lagti hain
kabhi soraj ko aane main zamane beet jate hain
kabhi kohla ghar ka darwaza tu samne thi manzil
kabhi manzil ko pane main zamane beet jate hain
dost lamhon main toot jate hain umer bher ke woh bandhan
woh bandhan jo banane main zamane beet jate hain
kabhi ik pal baraber ban ke sadain beet jate hain
kabhi ik pal bitane main zamane beet jate hain
jinhen hum bhool jate hain woh phir kun yaad ate hain
inhen phir se bhulane main zamane beet jate hain
Comment
-
Re: Uzair's Collection
Woh jazbon ki tijarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Usay hansnay ki aadat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Mujhay us nay kaha aao nai dunya basatay hain
Usay soojhi shararat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Hamesha us ki aankhon main dhanak kay rang hotay thay
Ye us ki aam aadat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Woh meray pass bethi dair tuk ghazlain meri sunti
Usay khud say muhabbat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Meray kandhay pe sir rukh ker kaheen kho gai thi wo
Yeh ik waqti inayat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Mujhay wo daikh ker aksar nigahain phair leti thi
Yeh dur perda haqarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Comment
-
Re: Uzair's Collection
Bachpan Ke Dukh Bhi Kitne Aachay Hua Karte Thay
Tab Dil Nahin Khilone Tuta Karte Thay
Khushiyan Bhi Jane Kaise Khushiyan Thin
Titli Pakar Ker Hum Uchla Karte Thay
Chote Thay To Makr-o-fareeb Bhi Chote Thay
Dana Daal Ker Chirya Pakra Karte Thay
Apni Jaan Jane Ka Bhi Ahsas Na Tha
Jalte Sholon Ki Taraf Lapka Karte Thay
Ab Ek Ansu Bhi Gire To Ruswa Kardeta Hai
Bachpan Main To Jii Bhar Ker Roya Karte Thay
Comment
Comment