Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Uzair's Collection
Collapse
X
-
Re: Uzair's Collection
Kaash kay tum yeh jaan sako!
Tum bin kitnay tnha hain
Kaash kay tum yeh jaan sako
Khaeef her her lamha hain
Kaash kay tum yeh jaan sako
Aao kabhi chupkay say dekho
Jahank kay dil kay jhronkay say
Gum sum saray manzar hain
Kaash kay tum yeh jaan sako
Tumhari yaad kay saeay
Kitnay hain nazdeek hamaray
Jesay soonay jewan main
Aashaoon kay deep saharay
Kaash kay tum yeh jaan sako....
Comment
-
Re: Uzair's Collection
Cherey Perhta, Aankhain Likhta Rehta Hoon
Main Bhi Kaise Batain Likhta Rehta Hoon ?
Saray Jism Darakhtoon Jaise Lagtay Hain
Or Bahoon Ko Shakhain Likhta Rehta Hoon
Tujh Ko Khat Likhnay K Taiwar Bhool Gayee
AArhi Tirchee Satrain Likhta Rehta Hoon
Tere Hijr Main Or Mujhe Kia Karna Hai
Tere Naam Kitabain Likhta Rehta Hoon
Tujh Se Mill Kar Saray Dukh Dhoraoon Ga
Hijr Ki Sari Batain Likhta Rehta Hoon
Sookhay Phool, Kitabain, Zakham Judai ke
Teri Sab Soghatain Likhta Rehta Hoon
Us Ki Bheegi Palkain Hansti Rehti Hain
Wooer Jab Tak Ghazlain Likhta Rehta Hoon
Comment
-
Re: Uzair's Collection
Cherey Perhta, Aankhain Likhta Rehta Hoon
Main Bhi Kaise Batain Likhta Rehta Hoon ?
Saray Jism Darakhtoon Jaise Lagtay Hain
Or Bahoon Ko Shakhain Likhta Rehta Hoon
Tujh Ko Khat Likhnay K Taiwar Bhool Gayee
AArhi Tirchee Satrain Likhta Rehta Hoon
Tere Hijr Main Or Mujhe Kia Karna Hai
Tere Naam Kitabain Likhta Rehta Hoon
Tujh Se Mill Kar Saray Dukh Dhoraoon Ga
Hijr Ki Sari Batain Likhta Rehta Hoon
Sookhay Phool, Kitabain, Zakham Judai ke
Teri Sab Soghatain Likhta Rehta Hoon
Us Ki Bheegi Palkain Hansti Rehti Hain
Wooer Jab Tak Ghazlain Likhta Rehta Hoon .
Comment
-
Re: Uzair's Collection
Ugta hai jo suraj teri khushiyoN ka wo subah hoti hai...
guzarti hai jo teri meethi yaad mein wo doupaihr hoti hai...
katathi hai jo tere intezaar mein woh suhani shaam hoti hai..
dekha karte hain jismein tumhare khuaab wo raat hoti hai...
jeene ko to jee lete hain is tarah bhi hum duniya mein
par jo basar tere saath ho wohi khoobsurat zindagi hoti hai
Comment
-
Re: Uzair's Collection
Raha gardisho me har dum
Mere ishq ka sitara
Kabhi dagmagai kashti
Kabhi kho gaya kinara
Koi dil ke khel dhikhaye
Koi mohabbat ki baazi
Wo kadam kadam pe jeete
Main kadam kadam par haara
Raha gardisho me har dum
Mere ishq ka sitara
Ye hamari badnaseebi jo nahi tu aur kya hai
ke usi ke ho gaye ham jo hua na hamara
Raha gardisho me har dum
Mere ishq ka sitara...
Padte jab ghamo se palle
Rahe meet ke meete wale
Jise maut ne na poocha
Use zindagi ne mara...
Raha gardisho me har dum
Mere ishq ka sitara
Kabhi dagmagai kashti
Kabhi kho gaya kinara...
Comment
-
Re: Uzair's Collection
Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha Woh Teri Mehfil Mein Kaam Aaya
Kisike Hisse Mein Pyaas Aayi Kisike Hisse Mein Jaam Aaya
Mein Ek Fasana Hoon Bekasi Ka
Yeh Haal Hai Meri Zindagi Ka
Na Husn Hi Mujhko Raas Aaya
Na Ishq Hi Mere Kaam Aaya
Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha
Badal Gayee Teri Manzilein Bhi
Bichhad Gaya Caravan Se Mein Bhi
Meri Mohabbat Ke Raaste Mein
Na Jaane Ye Kya Muqaam Aaya
Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha
Tujhe Bhoolane Ki Koshishein Bhi
Tamaam Nakaam Ho Gayi Hain
Kisine Zikr-E-Wafa Kiya Jab
Zubaan Pe Tera Hi Naam Aaya
Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha
Comment
-
Re: Uzair's Collection
Tum Kiya Jaano Main Khuda Se Kiya Maangta Hoon ?
Tumhari Salam-ti Ki Hamesha Duaa Mangta Hoon
Agar Anjaane Main Ho Jaaye Koi Tumse khata
Tou Do Mujhe Uski Saza Ye Maangta Hoon
Agar Lag Jaaye Koi Chot Tumko Ya Ho Jaaow Tum Pareshaan
Tou Meray Haq Main Wo Saari Takleefein Maangta hoon
AiY KHUDA Meray Mehboob Ko Gham Se Door Rakhna
Din Raat Tumhaaray Saaray Gham Maangta Hoon
Tum Ho Hamesha Kaamyaab Tumhaari Her Khwaahish Ho Poori
Buss Ye Chaahta Hoon Aur Tumhari Khushi Maangta Hoon
Main Jaanta Hoon Ke Tum Mayri Nahin Ho Lekin
Main Hamesha Khuda Se Tumhaara Saath Maangta Hoon
Comment
-
Re: Uzair's Collection
Faqiraana aae sadaa kar chale,
Miyaan khush raho ham dua kar chale.
Jo tujh bin na jeene ko kahte the ham,
So is ahd ko ab wafa kar chale.
Koi naumidana karte nigah,
So tum ham se munh bhi chhipa kar chale.
Bahut aarzoo thi gali ki teri,
So yaan se lahu mein naha kar chale.
Dikhai diye yun ke bekhud kiya,
Hamen aap se bhi juda kar chale.
Jabin sijda karte hi karte gayi,
Haq-e-bandgi ham ada kar chale.
Prastash ki yaan taeen ke ai but tujhe,
Nazr mein sabhon ki Khuda kar chale.
Gayi umr dar band-e-fikr-e-ghazal,
So is fan ko aisa bara kar chale.
Kahen kya jo puchhe koi ham se Mir,
Jahaan mein tum ae the kya kar chale.
Comment
-
Re: Uzair's Collection
sham bhi guzar gai per tum nahi auy!!
tha dil ko runj bhi mager tum nahi auy
akhir kis baat per tum hum se naraz ho?
asheyanay ko sajaya per tum nahi auy!
ihsq ho jai to insan kahin ka bhi rehta nahi!
hum auye tum ko mananay per tum nahi auy!
mosam bhi khushgawar tah sath dil bhi beqarar tah
aai teri shedat se YAAD per tum nahi auye
Comment
Comment