Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ANEY ki pasand

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: ANEY ki pasand

    very nice sharing
    sigpic

    Comment


    • #32
      Re: ANEY ki pasand

      Originally posted by WASI ANJUM View Post
      very nice sharing
      SHUKRIYA WASI BHAI.......

      Comment


      • #33
        Re: ANEY ki pasand

        Kisi Kay Youn Bicharney Per

        Kisi Kay Yaad Aney Per...

        Bohat Se Log Rotay Hain...

        Kay Rona Ek Rawayat Hai...

        Magar Main In Door Paas Rahono Per...

        Teri Yaad Say Gabra Ker Aksar...

        Rawayat Toor Jata Hun...

        Tumhari Yaad Ati Hai...

        Mein Aksar Muskurata Hun...
        Last edited by Ainy Guriya; 14 May 2008, 15:41.

        Comment


        • #34
          Re: ANEY ki pasand

          Aaj Subha Jo Khuwab Bunay Thay

          Woh Moam Kay Jesay Pighal gaye Hein

          Ray't Kay Jesay Bikhar Gaye Hein

          Aaj Subha Jo Khuwab Bunay Thay

          Un Mein To Ayer Nahi Tha

          Apnay Sab Gayer Nahi Tha

          Aaj Subha Jo Khuwab Bunay Thay

          Shaam ko Saray Toot Chukay Hein

          Ya Phir Mujh Say Rooth Chukay Hein

          Sapnay Saray Toot Chukay Hein

          Khuwab To Saray Phoot Chukay Hein

          Aankh Say Gir Kar Toot Chukay Hein

          Aaj Subha Jo Khuwab Bunay Thay !!!

          Comment


          • #35
            Re: ANEY ki pasand

            Na who farishta ho na farishtey jaisa ho
            Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho
            Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai
            Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho
            Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho
            Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to
            Muskra key manayee, woh aisa ho
            Jo baat karey to woh nibha bhi sakey
            Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho
            Dukhon mein hansney ka hunar janta ho
            Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho
            Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi
            Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho
            Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho
            Umar bhar saath chalney ka azam-e-wafa rakhta ho
            Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko
            Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho

            Comment


            • #36
              Re: ANEY ki pasand

              ...Hum Jo Tootay To Is Tarah Tootay...

              Hum Jo Tootay To Is Tarah Tootay
              Jaisay Haathon Se Girr ke Pathar Pe
              Koi Shafaaf Aaina Tootay
              Jaisay Palkon Se Toot'ta Aansoo
              Jaisay Seeney Mein Ek Gum'aan Tootay
              Jaisay Umeed Ki Nazuk Dali
              Jaisay Aankhon Mein Khwaab Ki Dorri
              Waqt e Taveel Mein Ulaj Jaiye
              Jaisay Pairoun Talle Se Zameen Nikley
              Jaisay Sir Pe Aasama Tootay
              Jaisay Ek Shaakh Pe Bharosa Kiya
              Is pe Jitney Thay Aashiyan Tootay
              Jaisay Wehshat Se Hosh Aa Jaiye
              Jaisay Ta-dair Mein Dehaan Tootay
              "Kisney Dekha tha Tootna Apna
              Hum Jo TooTay To RaiGaaN TooTay..."

              Comment


              • #37
                Re: ANEY ki pasand

                Very Nice Sharing.
                aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                Comment


                • #38
                  Re: ANEY ki pasand

                  Bahot khoob ANEY nice sharing
                  sigpic

                  Comment


                  • #39
                    Re: ANEY ki pasand

                    Originally posted by khan khan View Post
                    Very Nice Sharing.
                    Shukriya bhai

                    Comment


                    • #40
                      Re: ANEY ki pasand

                      Originally posted by wasi Anjum View Post
                      bahot Khoob Aney Nice Sharing
                      bohot Shukriya Wasi Bhai

                      Comment


                      • #41
                        Re: ANEY ki pasand


                        ...us Ke Bichar Jane Se...

                        ...kami To Nahi Hai Koi...

                        ...lekin Zaat Ke Ek Hisse Mein...

                        ...wajood Ke Ek Elaqe Mein...

                        ...ek Khala Sa Ubhar Aya Hai...

                        Comment


                        • #42
                          Re: ANEY ki pasand

                          tarash Ker Mere Baazo Urran Chor Gaya
                          Hawa Ke Pas Barhana Kaman Chor Gaya

                          Rafaqaton Ka Meri Usko Dihaan Kitna Tha
                          Zameen Le Li Mager Aasmaan Chor Gaya

                          Ajeeb Shakhs Tha, Barish Ka Rang Dekh Ke Bhi
                          Khule Dareeche Pe Ek Phool Dan Chor Gaya

                          Jo Badalon Se Bhi Mujhko Chupaye Rakhta Tha
                          Barhi Hai Dhoop To Be Saibaan Chor Gaya

                          Nikal Gaya Kahin An Dekhe Paniyon Ki Taraf
                          Zameen Ke Naam Khula Badbaan Chor Gaya

                          Uqaab Ko Thi Garz Fakhta Pakerne Se
                          Jo Gir Gai To Yunhi Neem Jan Chor Gaya

                          Najane Kon Sa Aaseeb Dil Mein Basta Hai
                          Ke Jo Bhi Thehra Wo Aakhir Makaan Chor Gaya

                          Aakab Mein Gehra Samander Rahe, Samne Jangal
                          Kis Inteha Pe Mera Meherban Chor Gaya

                          Comment


                          • #43
                            Re: ANEY ki pasand

                            vv nice dear

                            Comment


                            • #44
                              Re: ANEY ki pasand

                              Originally posted by life. View Post
                              vv nice dear
                              shukriya sis...........

                              Comment


                              • #45
                                Re: ANEY ki pasand

                                apni Ruswai, Tere Naam Ka Charcha Dekho
                                Ek Zara Sher Kaho Aur Mein Kya Kya Dekho

                                Neend Aa Jaye To Kya Mehfilein Barpa Dekho
                                Ankh Khul Jaye To Tanhai Ka Sehra Dekho

                                Shaam Bhi Hogai, Dhundla Gai Ankhein Bhi Meri
                                Bhoolne Wale, Mein Kab Tak Tera Rasta Dekho

                                Ek Ek Ker Ke Mujhe Chor Gai Sab Sakhiyan
                                Aaj Mein Khud Ko Teri Yaad Mein Tanha Dekho

                                Tu Mera Kuch Nahi Lagta Hai Mager Jan-e-hayat!
                                Jane Kyun Tere Liye Dil Ko Dharakta Dekho

                                Sab Zidde Mein Uski Poori Karo, Har Baat Suno
                                Ek Bache Ki Terha Se Isse Hansta Dekho

                                Mein Ne Jis Lamhe Ko Pooja Hai, Isse Bas Ek Bar
                                Khuwab Ban Teri Ankhon Mein Utterta Dekho

                                Tu Meri Terha Se Yakta Hai, Mager Mere Habib!
                                Ji Mein Aata Hai, Koi Aur Bhi Tujh Sa Dekho

                                Toot Jayege Phighal Jayege Mere Kache Gharre
                                Tujhko Mein Dekho Ke Ye Aag Ka Dariya Dekho

                                Comment

                                Working...
                                X