Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ANEY ki pasand

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: ANEY ki pasand

    nice collection

    Comment


    • #62
      Re: Teri Yaad.....

      Originally posted by Ainy Guriya View Post
      Teri Yaad...


      Teri Yaad...

      Yuun Dubby Paon...

      Meri Tanhai Main...

      Mery Dil main...

      Yuun Chali Ati Hai Khamoshi Se...

      Jase Ik Raat Ka Khawab Ho Koi...

      Be Khaber Neend Se Jagati Hai...

      Main Usey Dhondhi Hi Rehti Hoon...


      Wo Kahan Hai...

      Wo Kon Hai...

      Wo Koi Aur Nahi...

      Ik Khawab Hai Mera!!.....
      boht sw33t coll3ction hai apki
      k33p it up d3ar

      Comment


      • #63
        Re: ANEY ki pasand

        Originally posted by Silent Angel View Post
        nice collection
        SHUKRIYA SIS........:rose

        Comment


        • #64
          Re: Teri Yaad.....

          Originally posted by *khushi* View Post
          boht sw33t coll3ction hai apki
          k33p it up d3ar
          SHUKRIYA KHUSHI SIS.......:rose

          Comment


          • #65
            Re: ANEY ki pasand

            Mujhe apne zabt pe naaz tha, sar-e-bazm-e-raat ye kya hoa
            Meri aankh kaise chalak gai, ye gham bohat bura hoa

            Meri zindagi ke chiraagh ka ye mizaaj koi naya nahin
            Abhi tiirgi abhi roshni, na jala hoa na bhuja hoa

            Mujhe aap kion na samajh sake ye apne dil se poochiye
            Meri daastaan-e-hayaat ka hai varq varq khula hoa

            Mujhe jo bhi dushman-e-jaan mila vo pukhta-kaar-e-jaffa mila
            Na kisi ki zarab ghalat pari na kisi ka vaar khata hoa

            Mujhe raah me para hoa kisi bad-naseeb ka khat mila
            Kahiin khoon-e-jigar se likha hoa, kahiin aanso-oon se mita hoa

            Mujhe hamsafar mila bhi to, sitam-zariif meri tarah
            Kai manziloon ka thaka hoa, kai raastoon ka luta hoa

            Comment


            • #66
              Re: ANEY ki pasand

              Jub karam hadd-e-tawazan se guzar jata hai
              Izatt-e-nafs ko majroh bhi kar jata hai

              Dum tu lenay do ab itni bhe enayat na karo
              Aadmi baar-e-enayat se bhi mar jata hai

              Daag-e-be'mehri yaran nahi dil se jata
              Yaad reh jati hai toufaan guzar jata hai

              Shouq main ek sa rehta nahi dil ka aalam
              Waqt k saath ye dariya bhi utar jata hai

              Baat ka tanz ajab zakham hai bharta he nahi
              Warna har zakham ki ek umar hai bhar jata hai

              Fitna gardish-e-douran nahi rehta daa'em
              Waqt ka kaam guzarna hai guzar jata hai

              Sehra sehra liye pherta hai dil-e-khaak shuda
              Reza reza sar-e-khashaak bikhar jata hai

              Bazm takhreeb main posheda hai raaz-e-tameer
              Choot lagti hai tu dil aur sanwar jata hai

              Comment


              • #67
                Re: ANEY ki pasand

                Bahot khoon Aney nice sharings
                sigpic

                Comment


                • #68
                  Re: ANEY ki pasand

                  kia bat hai siso
                  vvv nice

                  Comment


                  • #69
                    Re: ANEY ki pasand

                    Originally posted by life. View Post
                    kia Bat Hai Siso
                    Vvv Nice
                    Shukriya Sis..............

                    Comment


                    • #70
                      Re: ANEY ki pasand

                      Originally posted by wasi Anjum View Post
                      bahot Khoon Aney Nice Sharings
                      Bohot Shukriya Wasi Bhai.........

                      Comment


                      • #71
                        Re: ANEY ki pasand

                        Kahan ye bas mein hai ke hum khud ko hosala dete...
                        Yehi bohot tha ke har gham pe muskura dete...

                        Hawa ki dor ulajhti jo ungliyon se kabhi...
                        Hum aasman pe tera nam tak saja dete...

                        Hamare aks mein jo hoti zakham-e-dil ki jhalak...
                        Hum aaiene ko bhi apni terha rula dete...

                        Hamein bhi roshniyon per jo dastaras hoti...
                        Kabhi chirag jalate aur kabhi bujha dete...

                        Hamare paaon hawaon ki zad mein the warna...
                        Guzarti umar ko ruk ruk ke hum sada dete...

                        Ab iski yaad mein sochte rehte hai...
                        Wo khuwab bhi nahi tha ke hum bhula dete...

                        Comment


                        • #72
                          Re: ANEY ki pasand

                          TUM MUJHKO GURIYA KEHTE HO...
                          THEEK HI KEHTE HO...!
                          KHAILNE WALE SAB HAATO KO MEIN GURIYA HI LAGTI HOON...
                          JO PEHNA DO,MUJH PER SAJE GA...
                          MERA KOI RANG NAHI...
                          JIS BACHE KE HAATH THAMA DO...
                          MERI KISI SE JANG NAHI...

                          SOCHTI JAAGTI ANKHEIN MERI...
                          JAB CHAHE Benai LE LO...
                          KOOK BHARO AUR BAATEIN SUN LO...
                          YE MERI GOYAI LE LO...
                          MANG BHARO,SENDOOR LAGAO...
                          PIYAR KARO,ANKHON MEIN BASAO...
                          AUR PHIR JAB DIL BHAR JAYE TO...
                          DIL SE UTTHA KE TAAK PERAKH DO...

                          TUM MUJHKO GURIYA KEHTE HO...
                          THEEK KEHTE HO!

                          Comment


                          • #73
                            Re: ANEY ki pasand

                            aniy apko poem phar kar ek song yad a gaya dil lana khayal haye dildar ka....... hahaha apki poem ki last line thi mohabat hoon koi khanayi to nai uska answer haye yeah

                            Comment


                            • #74
                              Re: ANEY ki pasand

                              Bahot khoob Aney nice
                              sigpic

                              Comment


                              • #75
                                Re: ANEY ki pasand

                                Originally posted by Heart Doctor View Post
                                aniy apko poem phar kar ek song yad a gaya dil lana khayal haye dildar ka....... hahaha apki poem ki last line thi mohabat hoon koi khanayi to nai uska answer haye yeah
                                Shukriya...

                                Comment

                                Working...
                                X