Re: ANEY ki pasand
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
ANEY ki pasand
Collapse
X
-
Re: ANEY ki pasand
Khawab toot jatay hain...
Bheer main zamanay ki...
Hath choot jatay hain...
Dost daar lahjoon main salwatain see partee hain...
Ik zara see ranjish say...
Shak ki zard tehni par, Phool bad-gumani kay...
Is tarha say kihltay hain...
Zindagi say pyaray bhi...
Ajnabi say lagtay hain, Ghair ban kay miltay hain...
Umr bhar ki chahat ko, Aasra naheen milta...
Dasht-e-beyaqini main Rasta naheen milta...
Kamashi kay waqfoon main...
Baat toot jati hai, Aur sira naheen milta...
Mazrat kay lafzoon ko roshni naheen miltee...
Lazat-e-pazeerai, Phir kabhi naheen miltee...
Phool rang wadoon ki...
Manzilain sukarti hain...
Rah murnay lagti hai...
BeRukhi kay garay say, Bedili ki mitti say...
Faslay ki eintoon say, Eint jurnay lagte hai...
Khaak urnay lagtee hai...
Khawab toot jatay hain...
Wahmoon kay saye say, Umr bhar ki mehnat ko...
Pal main toot jatay hain...
Ik zara se ranjish say...
sath choot jatay hain...
Bheer main zamany ki...
hath choot jatay hain.....
Khawaab toot jatay hain.....
Comment
-
Re: ANEY ki pasand
Mujhay yaad koi dua nahi, Meray humsafar abhi soach lay
Tu meri jabeen pay likha nahi, meray hum safar abhi soach lay
Abhi rasta bhi hai dhool main, abhi faida bhi hai bhool main
Abhi mujh ko tujh say gila nahi, meray hum safar abhi soach lay
Main janam janam say naraz hoon, main janam janam say udas hoon
Main kabhi bhi khul k hansa nahi, meray hum safar abhi soach lay
Tu hai khawab khawab pukarta, meri ankh main nahi ashk bhi
Main k mudatoon say jiya nahi, meray hum safar abhi soach lay
Tujhay khushboon ki hai arzoo, tujhay roshni ki hia justujoo
Main hawa nahi, main diya nahi, meray hum safar abhi soach lay
Tujhay ansoon ko pata nahi, tujhay rutjagoon ka gumaan nahi
Tujhay is say aagay pata nahi, meray hum safar abhi soach lay
Kaheen choot sakta hai darmiyaan, na zameen milay ge na aasmaan
Tujhay ra'asatoon ka pata nahi, meray hum safar abhi soach lay
Mujhay dhondta he phiray ga tu, na jiye ga roz maray ga tu
Main kabhi bhi ghar pay mila nahi, meray hum safar abhi soach lay
Kahoo ! Loutna hai kabhi yahan, mera dard sun meray meharbaan
Meray pass waqt zara nahi, meray hum safar abhi soach lay..............!!!
Comment
-
Re: ANEY ki pasand
bichar Ker Mujhse Kabhi Tune Ye Bhi Socha Hai
Adhora Chand Bhi Kitna Udaas Lagta Hai
Ye Khatam-e-visal Ka Lamha Hai, Raigan Na Samaj
Ke Iske Baad Wohi Dooriyon Ka Sehra Hai
Kuch Aur Dair Na Jharna Udasiyon Ke Shajar
Kisse Khaber Tere Saye Mein Kon Betha Hai
Ye Rakh Rakhao Mohobbat Sikha Gai Usko
Wo Ruth Ker Bhi Mujhe Muskura Ke Milta Hai
Kuch Is Qader Bhi Tu Aasaan Nahi Hai Ishq Tera
Ye Zeher Dil Mein Utter Ker Hi Raas Aata Hai
Mein Tujhko Paa Ke Bhi Khoya Hua Sa Rehta Hoon
Kabhi Kabhi To Mujhe Theek Tune Samjha Hai
Usse Ganwa Ke Mein Zinda Hoon Is Terha Mohsin
Ke Jaise Taiz Hawa Mein Chiraag Jalta HaiLast edited by Ainy Guriya; 3 July 2008, 01:52.
Comment
-
Re: ANEY ki pasand
Hijr Mausam me ye Barish ka Barasna kaisa...
Aik Sehra se Samander ka Guzerna kaisa ?
Aey mere Dill na Pareshan Ho, Tanha Ho ker...
Wo Tere Sath Chala Kab Tha, Bicharna Kaisa ?
Log Kihte Hein, Gulshan ki Tabahi Dekho...
Mein Toh Veeran Sa Jungle Tha, Ujarna kaisa ?
Dekhne Mein Toh Koi Dard Nahi, Dukh Bhi Nahi...
Phir Ye Ankhon Mein Yun Ashqon Ka Ubharna Kaisa ?
Bewafa kehne ki Jurrat Bhi na karna Usko...
Usne iqrar kiya kab Tha, Mukarna Kaisa ?
Comment
-
Re: Ainy Guriya ki pasand
Kabhi Mom Ban Ke Pighal Gaya...
Kabhi Girte Girte Sambhal Gaya...
Wo Banke Lamha Guraiz Ka...
Mere Pas Se Nikal Gaya...
Usse Rokte Bhi To Kis Terha...
Ke Wo Shakhs Itna Ajeeb Tha...
Kabhi Tarap Utta Meri Aah Se...
Kabhi Ashq Se Na Pighal Saka...
Sar-e-rah Mila Wo Ager Kabhi...
To Nazer Chura Ke Guzar Gaya...
Wo Utter Gaya Meri Ankh Se...
Mere Dil Se Kyun Na Utter Saka...
Wo Chala Gaya Jahan Chor Ke...
Mein Wahan Se Phir Na Palat Saka...
Wo Sambhal Gaya Tha Mager...
Mein Bikhar Ke Phir Na Simat Saka...Last edited by Ainy Guriya; 3 July 2008, 01:58.
Comment
Comment