Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
ANEY ki pasand
Collapse
X
-
Re: ANEY ki pasand
Mazil-e-umr-e-rawan Tak Mujhe Bardasht Kare...
Zindagi Aur Kahan Tak Mujhe Bardasht Kare...
Mein Tere Saath Chalo Gi Dam-e-hasti Ki Terha...
Teri Himmat Hai Jahan Tak Mujhe Bardasht Kare...
Itni Betaab Na Hove Mere Tan Ki Mitti...
Kucha-e-koza Gira'n Tak Mujhe Bardasht Kare...
Ek Aziat Se Nikal Jaongi Mein Bhi,wo Bhi...
Shakh-e-taqdeer,khiza Tak Mujhe Bardasht Kare...
Usko Hai Khuwahish-e-taskheer To Aahain Na Bhare...
Gham-e-dil Se Gham-e-jan Tak Mujhe Bardasht Kare.. .Last edited by Ainy Guriya; 10 July 2008, 22:18.
Comment
-
Re: ANEY ki pasand
koi Zanjeer Ho,
Aahan Ki, Chandi Ki, Riwayat Ki,
Mohobbat Toor Sakti Hai!
Ye Aise Dhaal Hai Jis Per
Zamane Ki Talwaar Ka Laha Nahi Chalta!
Ye Aisa Sheher Hai Jis Mein
Kisi Amar, Kisi Sultana Ka Sikka Nahi Chalta!
Ager Chasm-e-tamasha Mein Zara Si Bhi Milawat Ho!
Ye Aaiena Nahi Chalta
Ye Aisi Aag Hai Jis Mein
Badan Shaulon Mein Jalte Hain Tu Roohei Muskurati Hai
Ye Wo Sailaab Hai Jisko
Dilon Ki Bastiyan Aawaaz De Ker Khud Bulati Hain
Ye Jab Chahe Kisi Bhi Khuwab Ki Tabeer Mil Jaye
Jo Manzer Bhuj Chuke Hai Unko Bhi Tanveer Mil Jaye
Dua, Jo Be Thikana Thi, Usse Taseer Mil Jaye
Mohobbat Rok Sakti Hai Same Ki Taiz Dhaar Ko!
Kisi Jalte Sharare Ko, Fana Ke Istiaare Ko!
Mohbbat Rok Sakti Hai, Kisi Girte Sitare Ko!
Ye Chakna Choor Aaiene Ke Raize Jor Sakti Hai
Jidhar Chahe Ye Baage Mor Sakti Hai
Koi Zanjeer Ho, Mohobbat Tor Sakti Hai...
Koi Zanjeer Ho, Mohobbat Tor Sakti Hai...Last edited by Ainy Guriya; 10 July 2008, 22:22.
Comment
-
Re: ANEY ki pasand
Main khud zameen hon magar zarf aasman ka hai
Keh toot kar bhi mera hosla chatan ka hai.
Bura na maan mere hurf zehar, zehar say hain
Main kya karon keh yehi zaiqa zuban ka hai.
Har aik ghar mein musallat hai dil ki weerani,
Tamaam sheher pe saya meray makan ka hai..
Bichartay waqt se ab tak main youn nahi roya
Woh keh gaya tha keh waqt imtehann ka hai
Musafiron ki khabar hai na dukh hai kishti ka
Hawa ko jitna bhi ghum hai wo baadban ka hai
Jo barg-e-zard ki soorat hawa main urta hai
Woh aik warq bhi meri apni daastan ka hai.
Yeh aur baat, adalat hai be-khabar warna
Tamaam shehar mai charcha mere bayan ka hai.
Asar dikha na saka us ke dil main ashk mera
Yeh teer bhi kisi toti hoi Kaman ka hai.
Bichar bhi jae magar mujh se be-khabar bhi rahe
Yeh hosla kahan meray badgumaan ka hai..
Qafas to khair muqaddar main tha magar Mohsin
Hawa main shor ab tak meri uran ka hai
Last edited by Ainy Guriya; 14 July 2008, 17:24.
Comment
-
Re: ANEY ki pasand
Bhari mehfil mein janey kiun main tanhaai say darti hoon
Muhaley mein agar ghunjey toh shehnaai say darti hoon
FaQt apneyy siwah kuch bhi nazar mujh ko nehi aaye
KHUDA raa maaf karna, Aeisi binaai say darti hoon
Khudhe ko aql e gull kehna agar hai Gur zahanat ka
Toh pagli he bhali mein aeisi danaai say darti hoon
Yahaan toh sach biyaani bhi bebaaki kay zeemrey mein
Zamaney say nehi main apni ruswai say darti hoon
Kabhi toh jee mein aata hai k sab marham khurach daalon
MAgar main kia karoon zakhmoon ki ghehraai say darti hoon
Ounhain zidd the k Lab khoolun zubaan say apney kuch bolun
Nehi woh jantey k main toh Goyaai say darti hoon
Jo chahoon toh mazah oun ko chakha daloon aadawat ka
Magar rooz e mehshar jo ho gi shunwaai say darti hoon
Comment
-
Re: ANEY ki pasand
aitbaar Tootay Tou
Wo Bhi Aisay Logon Par
Jin Ko Apna Ham Janain
Jab Bhi Gham Say Bhojhal Hon
Un Ko Mahraba'n Manain
Aitbaar Totay Tou
Aisay Zakhm Miltay Hain
Jo Kabhi Nahi Bhartay
Mahraban Sayee Jab Ham Say Rooth Jayen To
Aisii Dhoop Miltii Hay
Jis Main Rooh Jalti Hay
Aitbaar Tootay Tou
Dil K Aainay Jo Hain
Wo Bhi Toot Jatay Hain
Wo Jo Aks Apnay Hon
Wo Bhi Rooth Jatay Hain
Aitbaar Tootay Tou
Aisay Zakhm Miltay Hain
Aisee Dhoop Milti Hay
Aisay Aks Khotay Hain
Loog Hans Bhi Lain Shayad
Dil Hamaisha Rotay Hain
Aitbaar Tootay Tou.......
Comment
-
Re: ANEY ki pasand
Mujhay is jism kay sartaan say bahir nikalna hay
Abhi mujh ko teri pehchan say bahir nikalna hay
Main apnay aap main thehra hua aisa parinda hoon
Jisay is zaat kay dalaan say bahir nikalna hay
Ana ki aag main jalnay laga hay dil mera peham
Mujhay shayed teray ahsaan say bahir nikalna hay
Mujhay is zindagi say khof sa aanay laga hay phir
Mujhay is akhri behraan say bahir nikalna hay
Mujhay dar hay kay meri rooh ki na mout ho jaye
Mujhay apnay hi is insaan say bahir nikalna hay
Main surj lay kay aisa ratjagay kay beech aa betha
Jahan raton ko ik unvaan say bahir nikalna hay
Kai bikhri hui yaadain, kai vaaday, kai baatain
Yahi kuch to meray samaan say bahir nikalna hay
Main us kay pyar kay is khail ka aisa khilari hoon
Jisay her jeet kay imkaan say bahir nikalna hay
Comment
-
Re: ANEY ki pasand
Originally posted by Ainy Guriya View PostMujhay is jism kay sartaan say bahir nikalna hay
Abhi mujh ko teri pehchan say bahir nikalna hay
Main apnay aap main thehra hua aisa parinda hoon
Jisay is zaat kay dalaan say bahir nikalna hay
Main us kay pyar kay is khail ka aisa khilari hoon
Jisay her jeet kay imkaan say bahir nikalna hay
buhat khobsorat
Comment
Comment