Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

SADAFASLAM ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #91
    Re: SADAFASLAM ki Choice

    Thanx Wasi bhai n Mekaal Bhai

    Comment


    • #92
      Re: SADAFASLAM ki Choice

      Originally posted by SADAFASLAM View Post
      QISMAT...

      Yaad to tab main karon jab ke bhoolaya ho tujhe

      Dil me rehta hai too kab mujh se juda hota hai

      Tujh ko dekha to ye ehssaas hoa hai mujh ko

      Chand so baar bhi niklay to neya hota hai

      Sari duniya ko khafa kar ke jisse paya main ne

      Ab who duniya ki tarah mujhe se khafa hota hai
      hmmmM nice g
      sigpic

      Comment


      • #93
        Re: SADAFASLAM ki Choice

        Wo paani ki lehron pe kya likh raha tha


        Wo paani ki lehron pe kya likh raha tha
        KHUDA jane harf-e-dua likh raha tha

        likha jis ne lafz wafa ka adhoora
        wo pyaar ki inteha likh raha tha

        bhala karte-karte guzri jawani
        magar khud ko phir bhi bura likh raha tha

        mohabbat mein nafrat mili thi use bhi
        jo har shakhs ko bewafa likh raha tha

        zara uss ki ankhon se ansu na niklein
        wo jis waqt lafz "saza" likh raha tha

        NAMAZ-e-mohabbat mein wo apne
        hue thhey jo sajde qaza likh raha tha.
        Last edited by SADAFASLAM; 19 March 2008, 20:59.

        Comment


        • #94
          Re: SADAFASLAM ki Choice

          Itni Muddat Baad Mile Ho....


          Itni muddat baad mile ho
          kin socho'n mein gum rehte ho

          tez hawa ne mujh se poocha
          ret pe kya likhte rehte ho

          kaun si baat hai tum mein aisi
          itne achchhe kyon lagte ho

          hum se na poochho hijr ke qisse
          apni kaho ab tum kaise ho.

          [MOHSIN NAQVI]

          Comment


          • #95
            Re: SADAFASLAM ki Choice

            Originally posted by SADAFASLAM View Post
            Wo paani ki lehron pe kya likh raha tha



            Wo paani ki lehron pe kya likh raha tha
            KHUDA jane harf-e-dua likh raha tha

            likha jis ne lafz wafa ka adhoora
            wo pyaar ki inteha likh raha tha

            bhala karte-karte guzri jawani
            magar khud ko phir bhi bura likh raha tha

            mohabbat mein nafrat mili thi use bhi
            jo har shakhs ko bewafa likh raha tha

            zara uss ki ankhon se ansu na niklein
            wo jis waqt lafz "saza" likh raha tha

            NAMAZ-e-mohabbat mein wo apne

            hue thhey jo sajde qaza likh raha tha.
            hmmmmM nice g lakin paly b read ke hoe hai......
            sigpic

            Comment


            • #96
              Re: SADAFASLAM ki Choice

              Originally posted by SADAFASLAM View Post
              Itni Muddat Baad Mile Ho....


              Itni muddat baad mile ho
              kin socho'n mein gum rehte ho

              tez hawa ne mujh se poocha
              ret pe kya likhte rehte ho

              kaun si baat hai tum mein aisi
              itne achchhe kyon lagte ho

              hum se na poochho hijr ke qisse
              apni kaho ab tum kaise ho.

              [MOHSIN NAQVI]
              wah wah g wah wah both achy .......:clap::clap:
              sigpic

              Comment


              • #97
                Re: SADAFASLAM ki Choice

                ZAra tum shaam honay do

                May titli ko suladongi
                ZAra tum shaam honay do

                May jugnon ko jaga don gi
                ZAra tum shaam honay do

                NAa dekho tum mairi NAmnaak aankhon may
                May tumko bhi rula dongi
                ZAra tum shaam honay do

                Mujhay itni maharat hay kay
                Sadah lafzon may tumhay dilkush bana dongi
                ZAra tum shaam honay do

                Kahan Aaghaz hota hay
                Kahan Anjaam hota hay
                Hunar sara seekha doongi
                ZAra tum shaam honay do
                Last edited by SADAFASLAM; 20 March 2008, 13:28.

                Comment


                • #98
                  Re: SADAFASLAM ki Choice

                  Comment


                  • #99
                    Re: SADAFASLAM ki Choice

                    bahot achhi choice hai aap ki

                    Comment


                    • Re: SADAFASLAM ki Choice

                      Chalo Choro

                      Muhabbat Jhoot Hai

                      "EHD E WAFA" Ik Shughal Hai bekar Logon Ka

                      "TALAB" Sookhay Huway Patton Ka Beronaq Jazeera Hai

                      "KHALISH" Deemak Zada Oraq Per

                      Bosida Qatroon Ka Zakhira Hai
                      Chalo Choro

                      K Ab Tak Main Andhairoon Ki Dhamak Main Sans Ki Zaboon Pe

                      Chahat k Bina Ruk Kar Safar Karti Rahi Hoon

                      Mujhay Ehsas Hi Kab Tha

                      K Tum Bhi Mosamoon k Sath Apnay Perahan k Rang Badlo Gay
                      Chalo Choro

                      Mera Hona Na Hona Ik Barabar Hai

                      Tum Apnay Khal o Khad Ko Aainay Main Phir Nikharnay Do

                      Tum Apni Aankh Ki Basti Main

                      Phir Say Ik Naya Mosam Utarnay Do

                      Maray Khuwabon ko Marnay Do
                      Chalo Choro

                      "MUHABBAT JHOOT HAI"
                      Last edited by SADAFASLAM; 21 March 2008, 13:50.

                      Comment


                      • Re: SADAFASLAM ki Choice

                        ajib baat hoi.............................
                        .................................................. .

                        ajib baat hoi mujh se
                        khafa khafa bhi
                        raha,wo doston se
                        mera pochta bhi raha......

                        ajab rang may ki mujh se
                        guftagu usne,labon pe
                        chup thi nigahon se bolta bhi raha.....

                        tha be_rukhi me bhi ik
                        taraf ulfat ka rang,wo
                        door takmujhe mur mur
                        k daykhta bhi raha.....

                        zaban per uski raha
                        dosti ka dawa bhi,salok
                        us ka mere sath na rawa
                        bhi raha...............

                        mere wajod se yay khof
                        tha k wehem uska,mere
                        kareeb raha mujh se
                        wo juda bhi raha...........................

                        Comment


                        • Zindagi Ki Raahon Mein....

                          Zindagi ki raahon mein...
                          Baarha yeh dekha hai...
                          Sirf sun nahi rakha...
                          Khud bhi aazmaya hai...
                          Tajrabon say sabit hai...
                          Jo bhi suntay aaye hain...
                          Us ko thik paya hai...

                          Is tarah ki baatoon mein...
                          Manzilon say pehlay he...
                          Saath chhoot jatay hain...
                          Yeh "Tumhain" bataon mein...
                          Chahaton ke rishtay mein...
                          phir girah nahi lagti...
                          Lag bhi jaye tu us mein...
                          Woh kashish nahi rehti...
                          Aik pheeka pheeka raabta to hota hai...
                          Taazgi nahi rehti...
                          Laakh baar mil ker bhi...
                          Dil kabhi nahi miltay...
                          Yaad ke dareechon main...
                          Zehan ke dareechon main...
                          Titliyon ke rangon ke...
                          Phool phir nahi khiltay...

                          Is liye mein kehta hoon...
                          Is tarah ki baatoon main...
                          Ehtiyaat kartay hain...
                          Is tarah ki baaton say...
                          Ijtanaab kartay hain..

                          Comment


                          • Mohabat Kab Amar Ho Gi??

                            tumhain kiya yaad hay hamdam

                            kaha tha tum nay ye ik din

                            zameen jab rakh ho jay

                            falak bhi chak ho jay

                            udasi har taraf phelay

                            hayat rusta bhatak jay

                            gulon say titlean bhagain

                            chaman bus khak ho jaye


                            muhabat myri amar ho gi

                            muhabat myri amar ho gi


                            tumhary door janay say

                            mujhay itna rulanay say

                            zameen ab raakh hay mujh par

                            falak bhi chalk hy mujh par

                            udasi hamsafar mayri

                            chaman bas khak hay mujh par

                            na titlee main wo rangat hay

                            qayamat hi qayamat hay

                            lahoo say bhar gayeen aankhaiy

                            bas ab aik ye chahat hay

                            kahan ho tum chalay aao

                            mujhy aa kar bata jao



                            muhabat kab amar ho gi

                            muhabat kab amar ho gi

                            Comment


                            • Main jab us say kehta hon

                              main jab uss se kehta hon

                              mjhe tm se muhabbat hai!!

                              naffe mn sar hilati hai..

                              nigahon ko jhokati hai

                              hatheli samne rakh kr

                              kisi ka naam likhti hai

                              mutthi band kr lete hai

                              phir us ko choom lete hai..

                              ankhon se lagate hai

                              dobara choom lete hai..

                              achanak bol uth-te hai!

                              mjhe is se muhabbat hai.!

                              bas yehi mra sb kuch hai.!

                              yeh sb kuch samne paa kr

                              main barra be zaar hota hon..

                              mjhe be zaar paate hai

                              khud b reh nahi paati..!

                              mutthi khol dete hai.

                              jo mutthi khol dete hai

                              to mra hi naam hota hai.....

                              Comment


                              • Re: Main jab us say kehta hon

                                buat khoob

                                Comment

                                Working...
                                X