Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
SADAFASLAM ki Choice
Collapse
X
-
Re: SADAFASLAM ki Choice
GHAZAL
Mohabbat ker k yeh dhoka bhi mujhay khana tha
Ker k wafa bhi be_wafai ka ilzam mujhay uthana tha
Humesha rahi main jis k piyar ki panhao'n main
A'aj us ki banho'n main kisi aur ka thekana tha
Zara c baat pay hoa tha khafa mujh say
Kyun k a'aj us nay marye piyar ko a'azmana tha
Jab kuch na kaha us nay tu chup rahi main bhi
Mujahy bhi thi bohat jaldi usay bhi gher ko jana tha
Mohabbat ka haseen rishta itny a'aram say totta
Hoi galti mujh say dil main kisi ko nahi basana tha...
Comment
-
Re: SADAFASLAM ki Choice
Hum k say Pagal hoty thy
Ek phool ko chonay ki khatir
Kanto'n say zhakmi hoty thy
Jo phool jholli main a'a girta
Usay chonay say der jaty thy
Hum k say Pagal hoty thy
K dhondaly a'ayeno'n main apna
Hum aks sa dhonda kerty thy
Aur kerciyan chatkhay a'ayeno'n ki
Mutthi main daba ker rakhty thy
Hum k say Pagal hoty thy
Jab serak pay chalna hota tha
Hum kashti lay ker chalty thy
Aur beech bhanwar janye k liye
Hum pedal nikla kerty thy
Hum k say Pagal hoty thy
Jab barish bersa kerti thi
Hum chatrri main chup jaty thy
Aur jalti dhop main nangye sir
Hum chut per uchla kerty thy
Hum k say Pagal hoty thy
Jab pass woh bohat hota tha
Hum us ko daikh na sakty thy
Jab woh door chala jata tha
Hum a'ahat us ki sunty thy
Hum chand say khela kerty thy
Jab sari duniya jaag uthti thi
Hum thak ker soo jaty thy
Hum k say Pagal hoty thy
Hum aaj bhi wase PAGAL hain
Hum aaj bhi wase PAGAL hain
Comment
-
Re: SADAFASLAM ki Choice
Originally posted by SADAFASLAM View Post
ahal-e-dil aur bhi hain ahal-e-vafaa aur bhi hain
ek ham hii nahi duniya se Khafa aur bhi hain
kya hua ger merey yaaron ki zabaanein chup hain
mere shahid mere yaaron ke sivaa aur bhi hain
hum pe hi Khatam nahi maslak-e-shoriidaa_sarii
chaak-e-dil aur bhi hai chaak-e-qabaa aur bhii hain
sar salaamat hai to kya sang-e-malaamat ki kami
jaan baaqi hai to paikaan-e-qazaa aur bhi hain
munsif-e-shahar ki vahadat pay na harf aa jaaye
log kahate hain ke arabaab-e-jafaa aur bhi hain
buht khoob
keep sharing
n
keep smiling
Comment
-
Re: SADAFASLAM ki Choice
Usay maine hi likha tha
Usay maine hi likha tha
k lehjey barf ho jayein
to phir pighla nahi kartey
parinday dar k urr jayein
to phir lota nahi kartey
usay maine hi likha tha
yaqeen uth jaye to shayed
kabhi wapis nahi aata
hawaon ka koi toofaan
kabhi barish nahi lata
usay maine hi likha tha
k sheesha toot jaye to
kabhi phir jurr nahi pata
jo rastey se bhatak jaye
wo wapas murr nahi pata
usay kehna woh be'maani adhoora khat
usay maine hi likha tha
usay kehna k deewanay
mukammal khat nahi likhtey...!
Comment
-
Re: SADAFASLAM ki Choice
Meri sadgee mera juram nahi
yahan chahtoo'n ka sila nahi
yahan dosto'n main maza nahi
janye k c hawa chali
rahi dosto'n main wafa nahi
yahan jal gya mera a'asheya'n
abhi badalon ko patta nahi
us k der pay dastak day sako'n
yeh haq us nay diya nahi
main rahi hon rah_e_umeed ka
mujhay manzil ka patta nahi
meri koi khata nahi
SADGEE mera juram nahi
Comment
-
Re: SADAFASLAM ki Choice
yahan chahtoo'n ka sila nahi
yahan dosto'n main maza nahi
janye k c hawa chali
rahi dosto'n main wafa nahi
yahan jal gya mera a'asheya'n
abhi badalon ko patta nahi
us k der pay dastak day sako'n
yeh haq us nay diya nahi
main rahi hon rah_e_umeed ka
mujhay manzil ka patta nahi
meri koi khata nahi
SADGEE mera juram nahi..................sigpic
Comment
-
Re: SADAFASLAM ki Choice
Na main pass ose ko bula saka
Na main pass ose ko bula saka
Na main dil ke baat suna saka
Woh hanse hanse main he chal diya
K main hath bhe na hila saka
Mujhe kia khabar k kab kia hua
Mujhe tuo bus ishq ka khumar tha
Main khar tha ose k intazar main
Mere ird gird tanhai ka tufan tha
Yunhe sochta rha der tak
Magar ose ko kuch na bata saka
Na main ose paa saka
Na phir dil say ose bhula saka
Yeh bhe theak hai woh chala gaya
Mujhe band rastay main chor kar
Yeh makam he tha ajeeb sa
K main khud ko bhe na bacha saka
Woh juda bhe aisay hua
K main koi rasam bhe na nibha saka
Bus ek ose k aisay chor janay ka ghum tha
Jese main martay dum tak na bhula saka.
Comment
-
Re: SADAFASLAM ki Choice
Mujhay aur kahin le chal sanwal
Mujhay aur kahin le chal sanwal
jahan raat kabhi b soi na ho
jahan subah kissi pe roi na ho
jahan hijer ne wehshat boi na ho
jahan koi kissi ka koi na ho
Mujhay aur kahin le chal sanwal
jahan shaher hoon sare wairane
jahan loog sabhi hoon baigane
jahan sab k sab hoon dewane
jahan koi humain na pehchane
Mujhay aur kahin le chal sanwal
jahan nafrat dil mein bus na sake
jahan koi kissi ko duss na sake
jahan koi kissi pe hunss na sake
jahan koi b gunjal kuss na sake !
Mujhay aur kahin le chal sanwal
jahan dard kissi ko raas na ho
jahan koi b uddas na ho
jahan zulmat ki boo bass na ho
jahan too b ziada pass na ho
Mujhay aur kahin le chal sanwalLast edited by SADAFASLAM; 8 March 2008, 20:19.
Comment
Comment