Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

    Walaikum Assalaam Khan Sahab

    Bohat hi khoobsurat baat chand satroon main samjha dee aap nay.

    Shukriya and keep sharing such lovely piece of poetry.

    khush rahyeh

    FI amaan ALLAH
    sigpic

    Comment


    • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

      Aap ki nazar sani or pasandeedgi ka buhat shukriya

      Comment


      • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

        Humari nazar tou rehti hi hain yahan, kiyonki aap kay dil ki baat jo ho rahi hay :lol
        sigpic

        Comment


        • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

          Originally posted by thefire1 View Post
          Humari nazar tou rehti hi hain yahan, kiyonki aap kay dil ki baat jo ho rahi hay :lol
          Ye to nawazish hai aap ki........

          Comment


          • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

            Assalaam Alaikum WR WB


            ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

            Humari anaa ko gawara hi na tha ke muhabbat maang kar letey,
            Aur un me itna zarf na thaa ke bin maangay lutaa detey,

            Ek muddat tuk is dil ki beqarariyan na gaiin,
            Har rooz usay khat likhtay, har rooz usay jala detey,

            Khud ko uski muhabbat ke qabil hi na samjha warna,
            Toot ke usay aisa chahte ke khud ko bhula detey,

            Kabhi aazma ke daikhta, uski khuwahishon ke khaatir,
            Uske qadmon me bhikar jaate, uski raahon ko saja detey,


            ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

            Comment


            • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

              nice...................

              Comment


              • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

                Originally posted by life. View Post
                nice...................
                Thankz

                Comment


                • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

                  Click image for larger version

Name:	bisma9qu.gif
Views:	33
Size:	8.6 KB
ID:	2417790


                  Assalaam Alaikum WR WB


                  Click image for larger version

Name:	baad muddat.jpg
Views:	1
Size:	29.7 KB
ID:	2417789

                  Comment


                  • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

                    its my favorite poem khan bhaiya... superb
                    میں نعرہ مستانہ، میں شوخی رندانہ

                    Comment


                    • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

                      Originally posted by *pIoUs FaIrY* View Post
                      its my favorite poem khan bhaiya... superb
                      Pasand karne ka buhat shukriya

                      Khush rahen

                      Comment


                      • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

                        Ajeeb larki thi rehti thi bas khayalon me
                        Woh zarb karti thi taqseem ke sawalon me


                        Class room me pencil talash karti thi
                        Woh bhool jati thi us ko laga keh baalon me


                        Us ki aankhon se zahir thi her baat jese
                        Woh band rakhti thi dil ko hazar taalon me

                        Woh pyar chhoton se izzat baron ki karti thi
                        Na me bachon me aa saka na umer walon me

                        Mohsin ab bhi agar haseenon ke chehre na parhe
                        Tou hum ne seekha kiya University ke Chaar saalon me




                        Comment


                        • Re: Sookhay hont sulagti aankhen.......

                          bahut khubsoorat intekhab, zabardast,

                          khush rehain.
                          :rosekhushboo:rose

                          Comment


                          • Re: Sookhay hont sulagti aankhen.......

                            bahut khubsoorat poetry,zabardast,bahut shukriya.
                            :rosekhushboo:rose

                            Comment


                            • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

                              Utar rahay hein dil me jo khayaal, uske hein,
                              Ke meri chashm-e-tamanna me khuwaab uske hein,

                              Kitaab meri, qalam mera, sooch bhi meri,
                              Magar jo likhe hein mai ne woh baab uske hein,

                              Woh meri zaat ka aik mustanad hawala hai,
                              Kitaab-e-Dil me saaray nisaab uske hein,

                              Comment


                              • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

                                Aye Muhabbat tere anjaam pe roona aaya,
                                Jaane kyun aaj tere naam pe roona aaya,

                                Yun to har shaam umeedon me guzar jaati hai,
                                Aaj kuch baat hai jo shaam pe roona aaya,

                                Kabhi taqdeer ka ma'atam kabhi dunya sey gila,
                                Manzil-e-Ishq me har kaam pe roona aaya,

                                Jub hua zikar zamaane me Muhabbat ka,
                                Mujh ko apne Dil-e-nakaam pe roona aaya,

                                Comment

                                Working...
                                X