Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

    Wah KHan sahab, yooon tou sab bohat hi acha hay magar iss shaaair nay tou QATAL hi kardiya jeetay jeetay :)

    Mujhy apni khabar to hai magar,
    Us ki sooch ka kuch pata nahi

    Thanks for sharing and keep sharing... I have been waiting for words to come straight from your heart, take care

    Fi amaan ALLAH
    sigpic

    Comment


    • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

      Originally posted by thefire1 View Post
      Wah KHan sahab, yooon tou sab bohat hi acha hay magar iss shaaair nay tou QATAL hi kardiya jeetay jeetay :)

      Mujhy apni khabar to hai magar,
      Us ki sooch ka kuch pata nahi

      Thanks for sharing and keep sharing... I have been waiting for words to come straight from your heart, take care

      Fi amaan ALLAH
      Aap ki pasandeedgi ka buhat shukriya ... Ali

      Comment


      • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

        Assalaam Alaikum WR WB


        ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


        Seekha hai jub sey mai ne falsafa-e-zindagi,
        Kaise kahon ke uska rawaiiya badal gaya,

        Jis ne kaha tha saath chalen ge tamaam umar,
        Badla hawa ney rukh, to wa'ada badal gaya,

        Un ko tha ye guma'an woh dil haar jayen ge,
        Shayad isee liye un ka iraada badal gaya,

        Hairat hai ke muddat qaleel mein,
        Woh shakhs meri sooch sey zyada badal gaya,




        ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

        Comment


        • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

          Assalaam Alaikum WR WB


          ~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~


          Teri azmaton sey hon bey khabar,
          Ye meri nazar ka qasoor hai,

          Teri rahh guzar me qadam qadam,
          Kahin arsh hai, kahin toor hai,

          Yeh baja hai Malik-e-do Jaha'an,
          Meri bandagi me qasoor hai,

          Yeh khata hai, meri khata magar,
          Tera naam bhi to Ghafoor hai,

          Yeh bata tujh sey milon kahan?
          Mujhey tujh sey milna zaror hai,

          Kahin dil ki shart na daalna,
          Abhi dil gunaahon sey choor hai,

          Tu bakhsh de mere sub guna'ah,
          Teri zaat Ghafoor-e-Raheem hai!



          ~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~

          Comment


          • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

            Walikum Assalam wr wb
            superubbbbb
            sharing

            Comment


            • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

              Originally posted by Nadia khan View Post
              Walikum Assalam wr wb
              superubbbbb
              sharing
              Buhat shukriya .......... Nadia

              Comment


              • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

                bohat khob

                Comment


                • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

                  Walaikum Assalaam

                  JAZAK ALLAH KHAIR, bohat hi khoobsurat HAMD say nawaaza aap nay, khush rahyeh aur isi tarah apni khoobsurat tehreeron say humain mustafeed kartay rahyeh.

                  Shukriya

                  Fi amaan ALLAH
                  sigpic

                  Comment


                  • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

                    Originally posted by Mr.Khan View Post
                    Assalaam Alaikum WR WB


                    ~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~


                    Teri azmaton sey hon bey khabar,
                    Ye meri nazar ka qasoor hai,

                    Teri rahh guzar me qadam qadam,
                    Kahin arsh hai, kahin toor hai,

                    Yeh baja hai Malik-e-do Jaha'an,
                    Meri bandagi me qasoor hai,

                    Yeh khata hai, meri khata magar,
                    Tera naam bhi to Ghafoor hai,

                    Yeh bata tujh sey milon kahan?
                    Mujhey tujh sey milna zaror hai,

                    Kahin dil ki shart na daalna,
                    Abhi dil gunaahon sey choor hai,

                    Tu bakhsh de mere sub guna'ah,
                    Teri zaat Ghafoor-e-Raheem hai!



                    ~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~
                    bohat khubsurat hamd

                    Comment


                    • Valentine Day Special

                      Assalaam Alaikum



                      ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


                      Mulaqaat-e-Mehboob ka ishtiyaaq bhi kiya khoob hota hai,
                      Bhool ke apne rabb ko, insaan insaan ko phool deta hai,

                      Hosh nahi kisi ko hashar me mulaqaat-e-Khuda ka,
                      Yahan Khuda ko bhool kar insaan insaan ko ehmiyat deta hai,

                      Aey kash samajh me aa jaye Ummat-e-Muslima ko ye baat,
                      Ye Valentine musalmaano ka nahi kafiron ka dastoor hota hai,



                      ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

                      Comment


                      • Re: Valentine Day Special

                        Im agree wid u ...

                        y we celebrate... humein apni Ikhlaqiyat ko nahin bholna chahye

                        Comment


                        • Re: Valentine Day Special

                          اسلام وعلیکم
                          بہت عمدہ شئرنگ بے شک ہمیں دوسرے مزاہب و قوموںکی ہو بہو تقلید سے بچنا چاہئے
                          البتہ ہمارےہاں ایک طبقہ ایسا بھی پیدا ہو چکا ہے جو ویلنٹائن کو محبوب کی زلفوں کی زنجیر سےنکال کر اسے ماں باپ کے قدموں میں لا نا چاہتا ہےاور دوسرے مقدس رشتنوں جیسے بھائیوں بہنوں وغیرہ کے لئے استعمال کرنا چاہتا ہے میں اس طبقتے کی مثبت سوچ سے متفق ہوں اور اس کو اسی حوالے سے منانے کا طرفدار ہوں
                          خان جی ہیپی ویلنٹائن ڈے:rose۔
                          اللہ جی آپ کو شاد رکھیں آباد رکھیں آمین
                          Last edited by S.Athar; 14 February 2011, 08:31.
                          :star1:

                          Comment


                          • Re: Valentine Day Special

                            و عليكم السلام

                            Mu'az bhai ta'reef k liye alfaaz nai mil rahey.....
                            JazakAllahu khairan kaseera...

                            @SAZ
                            Bhaijaan Maa'N Baap k qadmoon mai ho ya mehboob k zulfoon main....farq hi kya parrta hai...baat phir bhi wohi hai...
                            wo kehtey hain na Kaan ko seedhey haath se pakro ya ulTey haath sey ...baat aik hi hai...
                            .......................!!!!!

                            Comment


                            • Re: Valentine Day Special

                              Agreed

                              Comment




                              • میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


                                میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

                                Comment

                                Working...
                                X