Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

    Assalaam Alaikum WR WB





    Ab to mumkin hi nahi un sey mulaqaat WASI,
    Ab to urooj per pohanchi hai unki WASI,

    Wohi Waaday hein aur rasmon ki zanjeeren baqi,
    Kub badalti hein zamane ki riwayat WASI,

    Ek woh din thay, aik doosre ko soochte thay hum,
    Ab miltay nahi dono ke khayalaat WASI,

    Meri har subha ka aghaaz tere naam sey ho,
    Teri yaadon me kat'ti meri har raat WASI,

    Tum kahan aur mere pyar ka mayaar kahan,
    Woh kitni saadgi sey kar gaya yeh baat WASI,



    Last edited by Mr.Khan; 13 July 2011, 17:51.

    Comment


    • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

      buhat beautiful ....mr khan kya bat hay app kay intakab ki:rose
      ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
      سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

      Comment


      • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

        Originally posted by Jamil Akhter View Post
        buhat beautiful ....mr khan kya bat hay app kay intakab ki:rose
        Buhat shukriya bhai

        Comment


        • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

          Click image for larger version

Name:	iw26ie.jpg.gif
Views:	5
Size:	37.1 KB
ID:	2419011


          Andheri raat ke lamhe tamaam hone tuk,
          Tujhy hi soochta hun subha sey shaam hone tuk,

          Mai aisa jism hun jis ki rooh bhi tu hai,
          Adhuri zaat hun mai tere naam hone tuk,

          Teri awaaz sun na lun to Dil nahi lagta,
          Tarapta rehta hun tujh sey hum'kalam hone tuk,

          Teri nazar ki keemat pe bik raha hai koi,
          Usay khareed ley tu mehngey daam hone tuk,

          Ishq ki aag jo seeney me lagaye baithay hein,
          Sulagti rehti hein yeh Neenden haram hone tuk,



          Click image for larger version

Name:	iw26ie.jpg.gif
Views:	5
Size:	37.1 KB
ID:	2419011

          Comment


          • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

            Mere likhe hue lafz bheeg gaye barishon ke bahaane,
            Phir woh shama bhi bujh gaii hawaon ke bahaane,

            Ghum ye nahi ke sirf woh hi juda hua hum sey,
            Dukh to ye hai ke bahaaren rooth gaii'n khizaaon ke bahaane,

            Mujhy to lagti hai saazish in parindon ki bhi,
            Mujhy dekhte hi jo rooth jaate hein fizaaon ke bahaane,

            Badle hue dikhe hein raat ko chand ke taiwar bhi,
            Mujhy chhat pe daikh ke chhup gaya baadlon ke bahaane,

            Ab to ikhtiyaar nahi in aankhon per bhi,
            Bheeg jaati hein aksar usay bhulaane ke bahaane,

            Comment


            • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

              khubsort

              I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani


              Comment


              • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

                Mai jhoom jaon to sharabi na samajhna,
                Gir jaon jo sajde me to namazi na samajhna,

                Thora sa behak gaya hun Muhabbat me,
                Jo aagay barhon tou shikari na samajhna,

                Mujh sey cheen li hein khushiyan mere apno ne,
                Haath jo phailaon tou bikhari na samajhna,

                Mujhy aata hai ab bhi dosti ka khayaal,
                Buhat kuch khooya hai mai ne, anari na samajhna,

                Aik naseehat meri yaad rakhna Sahil,
                Muhabbat ko kabhi tum waqt-e-guzari na samajhna,

                Comment


                • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

                  woh mujh se pochta hai mera pyar kaisa laga
                  udas lamhon ka intezar k sa laga ...


                  maine dikha us ki aankhon main aur kaha
                  tarapa k mujh ko mere yar kaisa laga...


                  ek tu sitam aur us pe teri yeh berukhi
                  kia bataon tujhay tere zakhmon ka shukmar kaisa laga...


                  nibhaya hum ne har mur pe hai rasm e wafa lakin
                  har bat pe tera inkar aur mera iqrar kaisa laga ...


                  main woh jo mangta raha har lamha teri khushi ki duaa
                  tum batao kar k meri aankhain ashk baar kaisa lga ....

                  Comment


                  • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

                    Click image for larger version

Name:	Hijr Ka Tara Doob Chala Hai by Wasi Shah.jpg
Views:	1
Size:	53.8 KB
ID:	2419344

                    Comment


                    • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

                      Originally posted by Mr.Khan View Post
                      [ATTACH=CONFIG]98397[/ATTACH]
                      love it....................especially the last line;awesome!:

                      tu qatra he, woh darya he dekh apni auqat wassi!


                      sigpic

                      Comment


                      • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

                        Log har mor pe ruk ruk ke sambhaltay kyun hein
                        Itna dartay hein to phir ghar se nikaltay kyun hein


                        Mai na koi jugnu hun na diya na chand
                        Phir roshni walay meray naam se jaltay kyun hein



                        Iss me mosam ka kasoor hey ya logon ka
                        Log mosam ki tarah pal bhar me badaltay kyun hein

                        Comment


                        • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

                          wowww
                          bahut hi
                          zabardast
                          sharing

                          Comment


                          • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

                            Originally posted by u_r View Post
                            love it....................especially the last line;awesome!: tu qatra he, woh darya he dekh apni auqat wassi!
                            Thank U :rose

                            Comment


                            • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

                              Originally posted by Nadia khan View Post
                              wowww
                              bahut hi
                              zabardast
                              sharing
                              Buhat shukriya ........ Sis

                              Comment


                              • Re: ~*~ Straight from the Heart of Mr.Khan ~*~

                                Originally posted by Mr.Khan View Post
                                Log har mor pe ruk ruk ke sambhaltay kyun hein
                                Itna dartay hein to phir ghar se nikaltay kyun hein


                                Mai na koi jugnu hun na diya na chand
                                Phir roshni walay meray naam se jaltay kyun hein



                                Iss me mosam ka kasoor hey ya logon ka
                                Log mosam ki tarah pal bhar me badaltay kyun hein




                                Bohatt aallaa Imtakhabb hai Khan jii
                                "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                                Comment

                                Working...
                                X