Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Zoya Khan ka Intikhaab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Musafir


    Musafir To Bichartey Hein,Rafaqat Kab Badalti Hai
    Mohabbat Zinda Rehti Hai,Mohabbat Kab Badalti Hai

    Usi Ko Chahtey Hein,Usi Se Piyaar Kartey Hein
    Yehi Barsoun Se Aadat Hai Aur Aadat Kab Badalti Hai

    Tumhein Jo Yaad Rakha Hai Yehi Apni Ebadat Hai
    Jo Pathar Pay Likhi Jaye,Ebarat Kab Badalti Hai

    Kali Ka Phool Banna Aur Bikhar Jana Muqadar Hai
    Yehi Kanoon-E-Fitrat Hai Aur Fitrat Kab Badalti Hai

    Jo Dil Pay Naqash Kar Jaye Aur Aankon Mein Simat Aaye
    Aalamat Hai Yeh Chahat Ki Aur Chahat Kab Badalti Hai

    Ussey Chaha,Ussey Pooja,Yehi Taqdeer Hai Apni
    Hamein Gumrah Mat Samjho,Ebadat Kab Badalti Hai

    Puraney Zakham Ko "Kash" Bhula Dena Hi Acha
    Na Chahey Aap Hi Koi To Kismat Kab Badalti Hai

    Comment


    • #47
      Re: Musafir

      Puraney Zakham Ko "Kash" Bhula Dena Hi Acha
      Na Chahey Aap Hi Koi To Kismat Kab Badalti Hai

      nice one

      Comment


      • #49
        Aag

        AGG







        phans ik dil main phansi ho to ghazal hoti hai
        aag sene main laggi ho to ghazal hoti hai




        shabe tanhai guzar jaye to subha subha
        zindgi ghum main dhali ho to ghazal hoti hai




        sungg uthaye hoee kuch loog hoon peche peche
        samne un ki galli ho to ghazal hoti hai

        Comment


        • #50
          Jb din guzar rahe the....


          Jab Din Guzar Rahey They ,
          Hum Tum Se Keh Rahey They,
          Mushkil Hai ab Bichharna,
          Aur Door Tum se Rehna,


          Tum Sun ke Hans Pari Thein,
          Aur Hum Se Ye kaha Tha ,
          Hum Tum ko Bhool Jaen,
          Tum ko Na Yaad Aaein ,

          Sun ker Tumhari Batein ,
          Hum Chup Se Ho Gaye They,
          Phir Tum Bichhar Gaye They,


          Tum Se Bichhar ke Hum Bhi,
          Her Lamha Gin Rahey They,
          Mausam Badal Rahey They,
          Aur Hum ke Jal Rahey They,
          Her Sans Thi ke sakat ,
          Khushbu Bhi Aur Hi Thi,
          Barish ka Pehla Katra ,
          Jab Bhi Gira Zameen Per,
          Hum ko Lag Raha Tha,
          Jungal Pighal Raha Tha,
          Phir Hum Behal Gaye They,
          Aur Ho Gaye They Aadi,
          Dunya Ki Mehfilon Ke ,
          Ab Phir Se Mil Gaye Ho ,
          Aur Hum Se Keh Rahey Ho ,

          MUSHKIL HAI AB BICHARNA,
          AB DOOR TUM SE REHNA.

          Comment


          • #51
            Re: Jb din guzar rahe the....

            bohot khoob zoya....:rose
            Last edited by Wafa; 13 December 2006, 18:56.
            sigpic


            Comment


            • #52
              Re: Jb din guzar rahe the....

              WAH
              NICE

              Comment


              • #53
                Re: Tujhe dekhe bina

                hmmm Really Nice...:)

                Comment


                • #54
                  Re: Tujhe dekhe bina

                  Zoya JEE

                  aap ko larki kie id acchi nahie lagti

                  magar aap kie shaiery acchi hai

                  Anjum

                  Comment


                  • #55
                    Re: Tujhe dekhe bina

                    nice poetry:)

                    Comment


                    • #56
                      Re: Tujhe dekhe bina

                      nice........
                      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                      Comment


                      • #57
                        Re: Tujhe dekhe bina

                        Originally posted by amanat View Post
                        Zoya JEE

                        aap ko larki kie id acchi nahie lagti

                        magar aap kie shaiery acchi hai

                        Anjum

                        sorry????appka matlab kia hai???????

                        Comment


                        • #58
                          Mere khwab Mery sapnay


                          Meray Khuwab Meray Sapnay Meray Tak Hain
                          Meray Baad Enhay Yaad Karay Ga Kaun

                          Meri Chahaat Ban Jaie Gi Afsana
                          Meri Mohabat Ko Yaad Karay Ga Kaun

                          Meray Tak Hain Yeh Tamam Sunder Nazaray
                          Meray Baad Enhay Aabad Karay Ga Kaun

                          Meri Kahaniyian Bikhrein Gi Rahoon Pay
                          Meray Afsanoon Ko Yaad Karay Ga Kaun

                          Meri Khatayon Ko Shumar Karay Ga Zamana
                          Meri Wafayon Ko Yaad Karay Ga Kaun

                          Jo Guzaray Thay Hum Nay Zamanay Mill Kay
                          Un Zamanon Ko Yaad Karay Ga Kaun

                          Meri Aahein Meray Saath Ho Jaien Gi Dafan
                          Meray Aashkon Ko Yaad Karay Ga Kaun

                          Ek Tum Say Hai Zinda Yeh Chahaat Meri
                          Tum Hee Na Ho Gay Tuo Yaad Karay Ga Kaun

                          Aa Kay Es Saath Ko Yaadgar Bana Lien
                          Kal Kiya Pata Es Yaad Ko Yaad Karay Ga Kaun

                          Comment


                          • #59
                            Suno acha nahin lagta...



                            Suno acha nahin lagta...
                            Kare jabb tazkara koi...

                            Kare jabb tabsara koi..
                            Mujhe acha nahin lagta..
                            Suno acha nahin lagta....






                            Comment


                            • #60
                              Re: Suno acha nahin lagta...

                              hmmmmmmmmmmm waqi acha nahi lagta NICE 1

                              Comment

                              Working...
                              X