Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Zoya Khan ka Intikhaab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Kabhi nazar se giraa diya...


    Kabhi nazar se giraa diyaa,
    Kabhi dil mein basaa liyaa,
    Mohabbat mein tumne, humein,
    Kabhi hasaa to kabhi rulaa diyaa

    Kabhie pyaar be_shumaar kiya
    Kabhi dard be_intehaa diya
    Apni dewaangee mein tumne, humein,
    Kis mukaam par puhancha diya


    Kabhi mausam_e_bahaar se mila diya,
    Kabhi sehra mein tanha kar diya
    Dil ko khilona samajh kar tumne,
    Humein Har khel mein hara diyaa

    Comment


    • #62
      Re: Kabhi nazar se giraa diya...

      gud one Zoya:thmbup:

      Dil ko khilona samajh kar tumne,
      Humein Har khel mein hara diyaa
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #63
        Re: Kabhi nazar se giraa diya...

        nice one
        keep it up
        :thmbup:

        Comment


        • #64
          Re: Kabhi nazar se giraa diya...

          great..........
          YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

          Comment


          • #65
            Hum Tum

            HUM TUM





            Kehna Tum se Hai,Tum Apna Khayal Rakhna,
            Pooch
            Lena Mujhse,Naa Mere Liye

            Dil mein Koi Sawaal Rakhna



            Main Yeh Nahi Kehti Ke Sab Kuch Yaad Rakhna,
            Jab Hum Mile Thay Bas Yaad Wo Din,

            Wo Ghadi Aur Wo Saal Rakhna

            Comment


            • #66
              Farq sirf itna tha....

              Teri Dooli Uthi
              Teri Dooli Uthi
              Meri Mayyat Uthi
              Phool Tujh Par Bhi Parsay
              Phool Mujh Par Bhi Barsay
              Farq Sirf Itna Tha
              Tu Uth Kar Gaye
              Mujh Ko Uthaya Gaya
              Mehfil Wahan Bhi Thi
              Loog Yahan Bhi Thay
              Farq Sirf Itna Tha
              Un K Hansa Waha
              In K Roona Yahan
              Qazi Udhar Bhi Tha
              Molvi Idhar Bhi Tha
              Farq Sirf Itna Tha
              2 Bool Terey Parhay
              2 Bool Merey Parhay
              Tera Nikah Parha
              Mera Janazah Parha
              Tujhay Apnaya Gaya
              Mujhay Dafnaya Gaya

              Comment


              • #67
                Milti hai Zindagi main...

                Milti hai Zindgi May Muhabbat Kabhi Kabhi
                Hoti Hai Dilbaroon ki Inayat Kabhi Kabhi


                Sharma ke Mun Na Pher Nazar Ke Sawal Per
                Lati Hai Aisay Moor Pe Kismat Kabhi Kabhi



                Kholtey Nahi Hai Roz Dreechey Bahar Ke
                Ati Hai Janeman Yeh Qayamat Kabhi Kabhi



                Tenha Na Kat Sake Ge Jawani Ke Raste
                Peash Ai Gi Kesi Ki Zaroorat Kabhi Kabhi



                Phir Khoo Na Jaien Hum Kahien Duniya Ki Bheer Main
                Milti Hai Pass Aney Ki Mohlet Kabhi Kabhi



                Comment


                • #68
                  pyaar chupta nahin chupaane se...

                  Pyaar Chupta Nahi Chupane Se




                  Puch Lo Tum Bhi Is Zamane Se
                  Pyaar Chupta Nahi Chupane Se




                  Paas Aatey Ho Choote Ho Baat Karte Ho
                  Kabhi Matlab Se, Kabhi Bahaaney Se


                  Comment


                  • #69
                    Re: pyaar chupta nahin chupaane se...

                    Zoya Jee

                    Really very good i like your ghazal

                    amanat hussain from Sharjah

                    Comment


                    • #70
                      Re: Zoya Khan's choice

                      very nice colectioNs

                      Comment


                      • #71
                        Dard main bhi...

                        Dard main bhi ek mazaa hai,
                        Bhigi palkon se rona bhi ek razaa hai.

                        Dil thodna toh Bewafao ki ek aada hai.
                        Par tute dil ko sambhale rakhna ek sazaa hai....


                        Comment


                        • #72
                          Aag lehra ke chali hai.....


                          Aag lehra ke chali hai use Aanchal kardo
                          Tum Mujhe Raat ka jalta hua Jangle kardo


                          Chaan sa Misr'aa akela hai Mere kagaz per
                          Chahat per ajao Mera Shair Mukammal kardo


                          Mai Tumhein Dil ki Siasat ka Hunar deti hoon
                          Ab ise Dhoop banado, Mujhe Badal kardo


                          Apne Aangan ki Udaasi se zara Baat karo
                          Neem k sukhey hoe Pair ko Sandal kardo

                          Comment


                          • #73
                            main or mera ayena...


                            Aaj muskuraaye bahuT main aur mera aaina..
                            Samjh nahi aaya kaun kispe hass raha Tha..
                            Main uspe, ya mujhpe mera aaina..

                            Dikha raha Tha unki Tasveer pal do pal ke liye..
                            SharaaraT kar raha Tha mera aaina..

                            Hassa raha Tha mujhe..
                            BahuT khush nazar aa raha Tha mera ayena..

                            Phir na jaane kya hua use..
                            Naraaz ho gaya mujhse mera ayena..

                            Dikhaane laga mere gam ko khud mein..
                            Rone lag gaya mera ayena..

                            De ke aansoo phir meri aankhon me..
                            Hassa bahuT mujhpe mera ayena..
                            Hassa bahuT mujhpe mera ayena..

                            Na jaane kyun diya dard usne "ChaahaT" ko..
                            DeTa raha behisaab mera ayena..
                            Hassa bahuT mujhpe mera ayena..

                            Comment


                            • #74
                              Har nazar....

                              Har nazar ko ek Nazar ki talash hai,
                              har chehre me kuch toh Ehsaah hai,
                              Aapse Dosti hum yun hi nahi kar baithe,
                              kya kare Hamari pasand hi Kuch KHAAS hai . .

                              Comment


                              • #75
                                Aik baat kahon???

                                Aik Baat Kahoon ?

                                Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
                                Tum Mujh ko achey lagtey ho

                                Kuch chanchal se , kuch chup chup se
                                kuch pagal pagal lagtey ho

                                hain chahney waaley aur buhut
                                par tum mein hai aik baat buhut.............
                                Tum apney apney lagtey ho

                                Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
                                Tum Mujh ko achey lagtey ho

                                Yeh baat baat pe kho jaana
                                kuch kehtey kehtey ruk jaana

                                yeh kiss uljhan mein rehtey ho....?
                                Kiya baat hai hum se keh daalo

                                Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
                                Tum Mujh ko achey lagtey ho

                                Comment

                                Working...
                                X