Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Z.'s Choice
Collapse
X
-
-
koi mehram nahi milta jahan mey
koi mehram nahi milta jahan mey
mujhey kuch kehna hai apni zuba'n mey
qafas mey ji nahi lagta kisi tarhan
laga do aag koi aashya'n mey
kaheen anjam aa pohancha wafa ka
khula jata hun ab key imteyha'n mey
dil per dard sey kuch kaam lun ga
agar fursat mili mujh ko jahan mey
bohot ji khush hua Haali sey mil ker
abhi kuch log baki hein jahan mey" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: koi mehram nahi milta jahan mey
Haali sahib ki yeh ghazal mujhey bohat pasand hai magar mujhey mil nahin rahi thi kahin sey - mujhey kya pata tha aap key paas thi Gul - bohat achhi sharing hai :)tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
tujhey aey zindagi hum door sey pehchan leytey hein
bohot pehley sey un ki qadmon ki ahat jaan leytey hein
tujhey aey zindagi hum door sey pehchan leytey hein
meyri nazrein bhi aeysey qaatlon ka jan o eema'n hein
nigahein miltey hi jo jaan aur eeman leytey hein
tabiyat apni ghabraati hai jab sunssaan raaton mey
hum aesey mey teyri yaadon ki chadar taan leytey hein
khud apna faisla bhi ishq mey kafi nahi hota
ussey bhi kaisey ker guzrein jo dil mey thaan leytey hein
jissey surat bata tey hein pata deyti hai seerat ka
eebarat deykh ker jis tarhan maa'ini jaan leytey hein
hamari her nazar tujh sey nai sogandh khati hai
to teyri her nazar sey hum naya pegham leytey hein
Firaaq akser badal ker bhess milta hai koi kafir
kabhi hum jaan leytey hien kabhi pehchan leytey hein" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: koi mehram nahi milta jahan mey
Assalaam-0-Alaikom:rose
buht khoob
Comment
Comment