Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    Dua nahin to gila deta koi
    meri wafaon ka sila deta koi.
    jub muqaddar hi nahin tha apna
    deta bhi to bhala kya deta koi.

    haasil-e-ishq faqat dard hai
    aye kaash pehle hi bata deta koi.
    taqdeer nahin thi gar aasmaan chhoona
    khaaq mein hi mila deta koi.

    bewafa bhi humen bewafa kah gaya
    isse jiyada kya daga deta koi.
    gumaan hi ho jata kisi apne ka
    daaman hi pakad kar hila deta koi.

    arse se atka hai hinchkiyon pe dum
    achchha hota jo bhula deta koi.
    ye to ro ro ke kat gayee "sagar"
    kya hota agarche hansa deta koi

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Originally posted by musaddaq View Post
      میرے چار سو جو کھلا رہا وہ جمال تو کوئ اور تھا
      میرے خواب جس میں* الجھ گئے وہ خیال تو کوئ اور تھا
      یہاں کس حساب کو جوڑتے
      مرے صبح و شام بکھر گئے
      جو ازل کی صبح کیا گیاوہ سوال تو کوئ اور تھا
      جسے تیرا جان کے رکھ لیا وہ ملال تو کوئ اور تھا
      zaberrdast....
      isi behr main ek or shair haii k

      Woh jo laut aye tu poochna nahi
      dekhnaa unhain ghour sey
      jihain rastey main khabarhoi
      k yeh rasta koi or haii

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Originally posted by musaddaq View Post
        Yeh zara zara si Baat per tarah tarah ka Azaz kyun?
        Jo kisi se b Khafa na ho, Mujhe us Khuda ki Talash hai

        Mujhe Lagzishon per her Ghari, Koi Tokta hai Baar Baar
        Jisey kar k Dil ko Dukh na ho Mujhe us Gunaah ki Talash hai

        Bina Hamsafar k kab Talak, Koi Musafaton mai laga rahey
        Jahan koi kisi se Juda na ho, Mujhe us Raah ki Talash hai

        Mujhe Dekh ker jo Ek Nazar, Mere Saarey Dard Samjh sake!!
        Jo is qadar ho Chaara-Gar, Mujhe us Nigaah ki Talash hai.....
        MJE YE BHT PASAND AE HAI ZABARDAST
        :eye:

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          Musaddaq Bhae Apki To Sari Hi Posts Achi Hain Kis Kis Ki Tarif Karu Zabardast Bht Hi Achi Hain
          :eye:

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            Originally posted by musaddaq View Post
            میرے چار سو جو کھلا رہا وہ جمال تو کوئ اور تھا
            میرے خواب جس میں* الجھ گئے وہ خیال تو کوئ اور تھا
            یہاں کس حساب کو جوڑتے
            مرے صبح و شام بکھر گئے
            جو ازل کی صبح کیا گیاوہ سوال تو کوئ اور تھا
            جسے تیرا جان کے رکھ لیا وہ ملال تو کوئ اور تھا
            iss poetry ko baar baar share karnay ki koi kahas waja
            Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Originally posted by noora View Post
              Musaddaq Bhae Apki To Sari Hi Posts Achi Hain Kis Kis Ki Tarif Karu Zabardast Bht Hi Achi Hain
              :salam: aap ko to janab ek bhi pasand aa jati hamare liya bohat tha, yahan to sari hi pasand aa gayin aap ko:khi:

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                Jo khayal the naa qayaas the, wahi log mujh say bichar gaye
                Jo mohabaton ki asaas the wahi log mujh say bichar gaye
                Jinhain mantaa hi nahin yeh dil, wahi log mere hain ham safar
                Mujhe har tarah say jo raas the, wahi log mujh say bichar gaye
                Mujhe lamhe bhar ki rafaqaton ke saraab or satayengay
                Meri umar bhar ki jo pyaas the wahi log mujh say bichar gaye
                Yeh khayal sare hain arzee, yeh gulaab sare hain kaghzi
                Gul aarzu kee jo ba-as the, wahi log mujh say bichar gaye
                Jinhain kar saka na qubool main, woh shareek rah-e-safar huye
                Jo meri talab, meri aas the, wahi log mujh say bichar gaye
                Meri dharkanon ke qareeb the, meri chah the, mera khuwaab the
                Woh jo roz-o-shab mere paas the, wahi log mujh say bichar gaye

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  ABHI BHOOLNAY MAIN WAQT LAGAY GA
                  ABHI BHOOLNAY MAIN ZAMANAY LAGAIN GAY
                  ABHI TOU KITABON MAIN GULAB HAIN TAAZA
                  GYE UNN DINNON KAY AZAB HAIN TAAZA
                  ABHI ROSHNI KAY WOH SAAYE HAIN ZINDA
                  ABHI ZAKHMI CHAHAT KI GOONJAIN HAIN ZINDA
                  ABHI BHOOLNAY MAIN WAQT LAGAY GA
                  ABHI BHOOLNAY MAIN ZAMANAY LAGAIN GAY
                  ABHI AASMAN KA RANG WOHI HAI,,,,,,,
                  ABHI PARBATON PAY DHUND WOHI HAI
                  ABHI USS KI SORAT HAI AANKHON MAIN ZINDA,,,,,
                  ABHI USS KI CHAHAT HAI KHOABON MAIN ZINDA,,,
                  ABHI BHOOLNAY MAIN WAQT LAGAY GA,,,,
                  ABHI BHOOLNAY MAIN AMANAY LAGAIN GAY.,,
                  ABHI MOSAMON KA TAGHAYYOR WOHI HAI
                  ABHI UNN FIZAON MAIN KHUSHBO WOHI HAI
                  ABHI DILL MAIN USS KI MOHABBAT BASI HAI
                  ABHI AANKH MAIN USS KI SOORAT SAJI HAI
                  ABHI BHOOLNAY MAIN WAQT LAGAY GA
                  ABHI BHOOLNAY MAIN ZAMANAY LAGAIN GAY

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Dyaare Gher mein kese tujhe Sada Dete
                    Tu mil bhi jata to akhir tujhe gunwa dete
                    humein yeh zom raha ab wo pukarein gay
                    uneih yeh zid thi ke har bar hum sada dete
                    tumein bhulana to awal dastras mein hi nahi
                    jo ikhtiyar bhi hota to kiya bhula dete

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Pehlay Meray Khat K Oos Ne
                      Ik Anjanay Khuof k Dar Se
                      Tukray Tukray Kar Daalay
                      Ab
                      Ik Huseen Ehsaas k Tabay
                      Jis Ka Koi Naam Nahin Hei
                      Pichhlay Kitnay Hee Ghuntou'n Se
                      Darwazay Ki Aout Mein Chhup Kar
                      Tukray Jour Rahi Hei Paagal

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        Dost bunke bhi nahi saath nibhane wala
                        Yehi andaz hai zalim ka zamane wala

                        Kya kehen kitne marasim the hamare osse
                        Woh jo ke abb shukhs hai monh phair ke jane wala

                        Maine dekha hai pyaron ko chamun mai julte
                        Hai koi khoawab ki tabeer batane watane wala

                        Tum tou takullof ko bhi ikhlas samujhte ho FARAZ
                        Dost hota nahi hur haath milane wala

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          hamesha ki tarha nice musaddaq :ff:
                          Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Originally posted by Dil_E_Veran View Post
                            hamesha ki tarha nice musaddaq :ff:
                            :) thanx

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              Raaston ki marzi hai.

                              bayqarar aankhon ko ..
                              bad naseeb qadmon ko


                              be nishaan jazeeron per

                              bay zuban musaafir ko ..



                              tham lain ya girnay dain ..

                              tor dain ya milnay dain

                              Ajnabi koi la ker hamsafar bana dalain
                              saath chalne walon ki rakh bhi ura dalain

                              khak mein mila dalain..

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                Originally posted by musaddaq View Post
                                Dyaare Gher mein kese tujhe Sada Dete
                                Tu mil bhi jata to akhir tujhe gunwa dete
                                humein yeh zom raha ab wo pukarein gay
                                uneih yeh zid thi ke har bar hum sada dete
                                tumein bhulana to awal dastras mein hi nahi
                                jo ikhtiyar bhi hota to kiya bhula dete
                                zaberdsat....

                                Comment

                                Working...
                                X