Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    Ik Baat Kahoon gar sunte ho
    Tum mujh ko ache lagtay ho
    Kuch chanchal say,kuch chup chup say
    Kuch pagal pagal lagtay ho
    Hamain chahnay walay aur buhat
    Par tum may hai ik baat buhat
    Tum apnay apnay lagtay ho
    Ik baat kahoon gar suntay ho
    Tum mujh ko achay lagtay ho
    Yeh baat baat pay kho jana
    Kuch kehtay kehtay ruk jana
    Yeh kis Uljhan may rehtay ho
    IK BAAT KAHOON GAR SUNTAY HO
    "TUM MUJH KO ACHAY LAGTAY HO

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      jab yoon hi kabhi beethay bethay
      kuch yaad achanak aa jay
      her baat pay dil bezar sa ho
      her cheez se dil ghabra jay
      kerna bhi mujhe kuch aur hi ho
      kuch aur hi mujh se ho jaye
      kuch aur hi soochoon main dil main
      kuch aur hi hootoon pay aa jaye
      aise hi kisi ik lamhay main
      chupkay se kabhi khamooshi main
      kuch phool achanak khil jain
      kuch beetay lamhay yaad aain
      us waqt teri yaad aati hai

      jab chandni dil k aangan main
      kuch kehnay mujh se aa jaye
      aik khabeeda se chootay koi
      ehsaas pay meray chaa jaye
      jab zulf pareshan cehehray per
      kuch aur pareshan ho jaye
      kuch dard bhi dil main honay lagay
      aur saans bhi bhoojal ho jaye
      aise hi kisi ik lamhay main
      chupkay se kabhi khamooshi main
      kuch phool achanak khil jain

      jab shaam dhalay chaltay chaltay
      manzil ka na koi naam milay
      hansta hua ik aagahaz milay
      roota hua ik anjaam milay
      palkoon k laraztay ashkoon se
      is dil ko koi peeghaam milay
      aur sari wafoon k badlay
      mujh ko hi koi ilzaam milay
      aise hi kisi ik lamhay main
      chupkay se kabhi khamooshi main
      kuch phool achanak khil jain
      kuch beetay lamhay yaad aain
      us waqt teri yaad aati hai
      shiddat se teri yaad aati hai

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Main Khayal Hoon Kisi Aur Ka
        Mein Khayal Hoon Kisi Aur Ka
        Mujhe Sochta Koi Aur Hai
        Sar-E-Aeenah Mera Aks Hai
        Pas-E-Aeenah Koi Aur Hai
        Mein Kisi Keh Dast-E-Talab Mein Hoon
        To Kisi Keh Harf-E-Dua Mein Hoon
        Mein Naseeb Hoon Kisi Aur Ka
        Mejhe Maangta Koi Aur Hai
        Ajab Aitabar-O-Bey Aitabaree
        Keh Darmayan Hai Zindagi
        Mein Qareeb Hoon Kisi Aur Keh
        Mujhe Jaanta Koi Aur Hai
        Mujhe Doston Ka Pata Nahin
        Mujhey Dushmanon Ki Khabar Nahin
        Meri Daastan Koi Aur Thi
        Mera Waaqaya Koi Aur Hai
        Jo Milen Kabhi Unhen Poochna
        Dekhna Unhen Ghaur Sey
        Jinhen Raastey Mein Khabar Hui
        Keh Yeh Raasta Koi Aur Hai
        Jo Meri Reyazat-E-Neem Shab
        Ko Saleem Subh Na Mil Saki
        To Is Key Mani To Yeh Hue
        Keh Yahan Khuda Koi Aur Hai

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          Ye kya hoowa k sab ka lahoon sard ho gya
          Kis ka gulam aaj har ek fard ho gya

          Wo shaks aaeena tha k main us k samny
          Aaya hi tha k rang mera zard ho gya

          Wo mery sath tha to bhari anjunam tha main
          Wo kya juda howa k main ek fard ho gya

          Ghar hi main kya, wo jism k andar bhi kaid tha
          Mujh se mila to wo bhi jahan gard ho gya

          Es darja bharh gai mey lehjay ki narm Aanch
          Main jis se bhi mila wo humdard ho gya

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            Zakhm-e-Tanhai Main Khushboo-e-Hina Kiski Thi
            Saya Deewar Pey Mera Tha Sada Kiski Thi

            Ansuon Se Hi Sahi Bhar Gaya Daaman Mera
            Haath To Maine Uthaye They Dua Kiski Thi

            Meri Aahoun Ki Zubaan Koi Samjhata Kaisey
            Zindagi Itni Dukhi Mere Siva Kiski Thi

            Chor Di Kiskey Liye Tunay sari Duniya
            zustaju Si Tujhey Har Waqt Bata Kiski Thi

            Uski Raftaar Main Lipti Rahi Meri Ankhaein
            Usney Mur Kar Bhi Na Dekha Wafa Kiski Thi

            Aag Say Dosti Us ki Thi Jala Ghar Mera
            De Gaye Kis Ko Saza Aur Khata Kiski Thi

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Gam ki baarish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi
              Tune mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahi

              Nind ka halka gulabi sa khumar aankhon main tha
              Yun laga jaise woh shab ko der tak soya nahi

              Har taraf diwar-o-dar aur un main aankhon ka hoojum
              Keh sake jo dil kii halat woh lab-e-goya nahi

              Jurm Aadam ne kiya aur nasl-e-aadam ko sazaa
              katata hun zindagi bhar main ne jo boyaa nahi

              Janata hun ek aisey shaKhs ko main bhi 'MUNIR'
              Gam se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahii

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                Udaasioon ka sabab jo likhna,
                to ye bhi likhna
                kay chand taaray,
                shahaab ankhien badal gaye hain
                wo zinda lamhay jo teri raahon mein
                tere anay kay muntazir thay
                wo thak kay raahon mien dhel gaye hain
                wo teri yaadien, khayal tere,
                wo ranj tere, milaal tere
                wo teri ankhein, sawal tere
                wo tum say mere tamaam
                rishtay bichar gaye hain,
                ujadh gaye hian
                udaasioon ka sabab jo likna
                to ye bhi likhna
                leraztay hoonton pe larhkharhti,
                dua kay soraj
                peghal gaye hain
                tamaam sapnay he jal gaye hain
                baad marnay ke tum meri kahani likna
                kese hoi bardaad meri jawani likhna
                ye bhi likhna kay mere hoont hansi ko tarsay kese
                bahta raha meri ankhoon say pani likna...

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Originally posted by musaddaq View Post
                  Main Khayal Hoon Kisi Aur Ka
                  Mein Khayal Hoon Kisi Aur Ka
                  Mujhe Sochta Koi Aur Hai
                  Sar-E-Aeenah Mera Aks Hai
                  Pas-E-Aeenah Koi Aur Hai
                  Mein Kisi Keh Dast-E-Talab Mein Hoon
                  To Kisi Keh Harf-E-Dua Mein Hoon
                  Mein Naseeb Hoon Kisi Aur Ka
                  Mejhe Maangta Koi Aur Hai
                  Ajab Aitabar-O-Bey Aitabaree
                  Keh Darmayan Hai Zindagi
                  Mein Qareeb Hoon Kisi Aur Keh
                  Mujhe Jaanta Koi Aur Hai
                  Mujhe Doston Ka Pata Nahin
                  Mujhey Dushmanon Ki Khabar Nahin
                  Meri Daastan Koi Aur Thi
                  Mera Waaqaya Koi Aur Hai

                  Jo Meri Reyazat-E-Neem Shab
                  Ko Saleem Subh Na Mil Saki
                  To Is Key Mani To Yeh Hue
                  Keh Yahan Khuda Koi Aur Hai
                  v nice:thmbup: ..one of my fav
                  Jo Milen Kabhi Unhen Poochna
                  Dekhna Unhen Ghaur Sey
                  Jinhen Raastey Mein Khabar Hui
                  Keh Yeh Raasta Koi Aur Hai
                  yeh shair mujhey behad pasand hai or mera takiya kalam bhi hai...kabhi kabhi loog bemanzil rastoo pr chal partey haiin,humain choor kr kahi or chaley jatey hain pr jub laut atey hai tu un ko ahsas hota hai k jo rast unho ney chunaa woh un ka thaa hi nahi.........

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Meri ankhon ke samandar mein jalan kaisi hai...
                    aaj phir dil ko tarapne ki lagan kaisi hai...
                    ab kisi chhat pe charagon ki qatarein bhi nahin...
                    ab tere shehar ki galiyon mein ghutan kaisi hai...
                    baraf ke roop mein dhal jayeinge saare rishtey...
                    mujh se poochho muhabbat ki agan kaisi hai...
                    mein tere wisal ki khuwahish ko na marne doonga...
                    mausam-e-hijar ke lehje mein thakan kaisi hai...
                    regzaron mein jo banti rahi kaanton ki rida...
                    us ki majboor si aankhon mein kiran kaisi hai...
                    Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
                    usey dekho to muhabbat mein magan kaisi hai...

                    Comment


                    • Re: Safar Tanha nahi kertay

                      Originally posted by musaddaq View Post
                      Safar Tanha nahi kertay
                      Suno Aisa nahi kertay
                      Chalo tum raz ho apna
                      Tum ko afsha nahi kertay
                      Suno jis ka muqaddar ho
                      Osay chora nahi kertay
                      Jisay rekhna ho shafaf
                      Osay maila nahi kertay
                      Jo bus jata hay dharkan main
                      Osay bhoola nahi kertay
                      Kasi ko dil detay waqat
                      Bohat soocha nahi kertay
                      Jo pehlay say he tanha ho
                      Usay tanha nahi kertay
                      Suno yadain stain ge
                      Magar roia nahi kertay
                      Sono tum bohat yad aatay ho
                      Aur hum soya nahi kertay
                      Safar tanha nahi kertay
                      Sono aisa nahi kertay
                      its 2 good :rose
                      i like it so much
                      very nice poetry:rose :rose

                      Comment


                      • Re: Safar Tanha nahi kertay

                        Originally posted by jia View Post
                        its 2 good :rose
                        i like it so much
                        very nice poetry:rose :rose
                        yeah it is,

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          be-sabab to na thin teri yadain
                          teri yadoon se kya nahi seekha
                          zabt ka hosla berha lena
                          aansoun ko kahin chupa lena
                          kaanpti dolti sadaoon ko
                          chup ki chader se dhaanp ker rakhna
                          be-sabab bhi kabhi kabhi hansna
                          jab bhi ho baat koi talkhi ki
                          mozu-e-guftagu badal dena
                          be-sabab to nahin teri yadain
                          teri yadoon se kya nahi seekha

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Tanhai ki aadat hai ,aur aadat kabhi yeh jati nahi,
                            vada karke teri nazar,vada kabhi bhi nibhati nahi,

                            Hum kehte hai ek baar tou dekh mood kar ,
                            woh kehte hai halat teri mujhse dekhi jati nahi,

                            Pehle tou kabhi kabhi chali aati thi aagosh mein,
                            lekin ab teri yaad bhi daman mera mehkati nahi,

                            Khud hi padh kar ro dete the kabhi hum gazal apni,
                            lekin aankhon mein meri ab yeh bhi nami laati nahi,

                            Tanha chhod gaye sab hume zindagi ki raah mein,
                            maut bhi dekhiye jara mere kareeb aati nahi...

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              Yaad kartay hain jab woh din hum aaj bhi
                              Hain kitnay tanha tere bin hum aaj bhi...
                              Kesi doori huyi hay jaana kya bataoon main
                              Guzray lamhon main thay jo sapnay kabhi...
                              Tootay sitaray ki tarah giray hain woh aaj bhi
                              Aisi hawa chali thi, dekho chalti hay woh aaj bhi...
                              Lay kay jati hay kis taraf hum nay jana na aaj bhi
                              Aag kesi jali thi jo jalti gayee....
                              Kesa toofaan tha jo ruka na kabhi
                              Meri khushiyon nay rukh badla aaj bhi...
                              Tum thay anjaan ho bay-khabar aaj bhi
                              Hum thay meherbaan tum pay hain fida aaj bhi...
                              Baat keh di thi lekin rahi ann-kahee
                              Milay to sunain gay fasanay kabhi na kabhi...
                              Mil jaye do ghari fursat kay, maangtay hain dua aaj bhi
                              Pal do pal, badalti hay apna rasta kismat aaj bhi...
                              Aazmati hay, leti hay imtehaan aaj bhi
                              Ibtida hansi say huyi, inteha main sabar likha...
                              Hum nay to her mushkil lamhay ko safar ka dost samjha
                              Kya hay chhupa us aakhri din main, us ka hay intezar aaj bhi...!!!

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                bohat khoob :ff:
                                Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                                Comment

                                Working...
                                X