Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    Be-Zameen Logon ko
    Be-Qarar ankhon ko
    Bad-Naseeb Qadmon ko
    Jis Taraf bhi le jaye

    Raston ki Marzi hai

    Be-Nishan Jazeeron per
    Bad-Gumaan Shehron mai
    Be-Zuban Musafir ko
    Jis taraf bhi Bhatka dain

    Raston ki Marzi hai

    Rok dain ya barhne dain
    Thaam lain ya Girne dain
    Wasal ki Lakeeron ko
    Tor dain ya Milne dain

    Raston ki Marzi hai

    Ajnabi koi la ker Humsafar bana dain
    Saath chalne walon ki Raakh bhi ura dalain
    Ya Musaftain sari Khaak mai mila dain

    Raston ki Marzi hai.........

    Comment


    • Maan jaisi hasti kahan

      Zindagi K Safar Main Gardishon Ki Dhuop Main
      Jab Koi Saya Nahin Milta To Yad Ati Hai Maan
      Piyaar Kehtey Hain Kisey Our Mamta Kya Chiiz Hai
      Koi Un Bachon Say Puche Jin Ki Marr Jati Hai Maan
      Dair Ho Jati Hai Ghar Ane Main Aksar Jab Humain
      Rait Par Machali Ho Jaisey Aisey Tarapti Hai Maan
      Martey Dum Jab Bacha Na Aye Agar Pardes Say
      To Apni Dono Putliyan Chokhat Pe Rakh Jati Hai Maan
      Fikar Main Bachon Ki Kuch Is Tarha Ghul Jati Hai Maan
      Nujawaan Hote Huway Bhi Bhuri Nazar Ati Hai Maan
      Samney Bachon Ke Khush Rehti Hai Har Haal Main
      Rat Ko Chup Chup Ke Ansoo Bahati Hai Maan
      Sal Bahr Main Ya Kabhi Hafte Main Jum-e-Rat Ko

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        koi ehed bhee uss ko yaad nahi
        koi baat bhee uss ko yaad nahi
        aik shaks nay uss ko chaha tha
        woo zaat bhee uss ko yaad nahi
        jab shab ki bijli chamki thee
        aur badal toot kay barsa tha
        ham dono jis main bheegay thay
        woo barsaat bhee uss ko yaad nahi
        woo sahil, darya, phool, hawa,
        woo waada sath nibhanay kaa
        AUR
        shab bhar chand ko dekha tha
        woo raat bhee uss ko yaad nahi
        wo kahta tha main sunti thi
        main kahti thi woo sunta tha
        un lakho baton main,
        koi aik bhee uss ko yaad nahi

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice


          Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay
          Main Nay Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay
          Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana
          Aisay Main Kahan Jao Gay Bersaath Bohot Hay
          Wo Keh Nay Lagay Jana Mera Bohot Zarori Hay
          Nhi Chahti Dil Toron Tera Per Majboree Hay
          Ger Hoi Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena
          Main Nay Kaha Hojao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay
          Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zarori Nhi
          Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zarori Nhi
          Phir KAbhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke
          SARI ZINDAGI TANHAYEE KE LIYE AAJ KI RAAT BOHOT HAY

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            Tu bata a dil-e- betaab, kahan aatey hain
            Humko khush rehney k aadaab kahan aatey hain
            Mein to yakmusht usey sonp doon sab-kuch lekin
            Ek muthi mein merey khwaab kahan aatey hain
            Muddaton baad tujhey dekh k dil bhar aaya
            Warna sehraon mein selaab kahan aatey hain
            Meri bedaar nigahon mein agar bholey se
            Neind aaye bhi to ab khwaab kahan aatey hain
            Shiddat-e-dard hai ya kasrat-e-mai- noshi hai
            Hosh mein ab terey betaab kahan aatey hain
            Hum kisi tarah terey dar pe thikana kar lein
            Hum faqiron ko ye aadaab kahan aatey hain
            Sar-basar jin mein faqat teri jhalak milti thi
            Ab muyassar hamin who khwaab kahan aatey hain

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              tumharay na honay say kuch bhi nahi badla
              ye suraj bhi waheen say nikalta hay
              aasman pe taray bhi nikaltay hein
              oor chand ki chandni bhi hoti hay
              hawain bhi chalti hein
              darya bhi bahtay hein
              phool bhi khiltay hein
              phoolon mein khooshbu bhi hoti hay

              LAYKIN
              na janay kyon tumharay na honay say
              her cheez adhuri si lagti hay
              her subah shaam si lagti hay
              her muskaan odaas si lagti hay
              her mehfil anjaan si lagti hay
              her dharkan bayjaan si lagti hay

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                Originally posted by musaddaq View Post
                Tu bata a dil-e- betaab, kahan aatey hain
                Humko khush rehney k aadaab kahan aatey hain
                Mein to yakmusht usey sonp doon sab-kuch lekin
                Ek muthi mein merey khwaab kahan aatey hain
                Muddaton baad tujhey dekh k dil bhar aaya
                Warna sehraon mein selaab kahan aatey hain
                Meri bedaar nigahon mein agar bholey se
                Neind aaye bhi to ab khwaab kahan aatey hain
                Shiddat-e-dard hai ya kasrat-e-mai- noshi hai
                Hosh mein ab terey betaab kahan aatey hain
                Hum kisi tarah terey dar pe thikana kar lein
                Hum faqiron ko ye aadaab kahan aatey hain
                Sar-basar jin mein faqat teri jhalak milti thi
                Ab muyassar hamin who khwaab kahan aatey hain
                zaberdast

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Originally posted by musaddaq View Post
                  tumharay na honay say kuch bhi nahi badla
                  ye suraj bhi waheen say nikalta hay
                  aasman pe taray bhi nikaltay hein
                  oor chand ki chandni bhi hoti hay
                  hawain bhi chalti hein
                  darya bhi bahtay hein
                  phool bhi khiltay hein
                  phoolon mein khooshbu bhi hoti hay

                  LAYKIN
                  na janay kyon tumharay na honay say
                  her cheez adhuri si lagti hay
                  her subah shaam si lagti hay
                  her muskaan odaas si lagti hay
                  her mehfil anjaan si lagti hay
                  her dharkan bayjaan si lagti hay

                  haa bauht kuch adhuura haii ....hum samait :)

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Originally posted by aquari View Post
                    haa bauht kuch adhuura haii ....hum samait :)
                    yup:)

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Wo Apne Ishq Mai Kesa Kamal Rakhta Hai
                      Ke Be-Rukhi mai bhi Mera Khayal rakhta hai
                      Wo Aaj nahi Mera, Wo Kal Mera hoga
                      Ke her Zamana Urooj-o-Zawal rakhta hai
                      Tera Khayal hi kuch Meharban hai warna
                      Jahan mai kon kisi ka Khayal rakhta hai
                      Ek Sar-Sari Nazar Wo Mujh pe bhi daal de
                      Ae Rab-e-Zuljlal! ! use itna Khayal de
                      Itna bhi Urooj kia k Wo mil hi na sake
                      Wo ho sake Mera use itna Zawal de

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        lol is topic ko dekh k main samjhi muqadas ki choice to main sochnay lagi mainay yeh topic kab start kia

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          Originally posted by musaddaq View Post
                          Wo Apne Ishq Mai Kesa Kamal Rakhta Hai
                          Ke Be-Rukhi mai bhi Mera Khayal rakhta hai
                          Wo Aaj nahi Mera, Wo Kal Mera hoga
                          Ke her Zamana Urooj-o-Zawal rakhta hai
                          Tera Khayal hi kuch Meharban hai warna
                          Jahan mai kon kisi ka Khayal rakhta hai
                          Ek Sar-Sari Nazar Wo Mujh pe bhi daal de
                          Ae Rab-e-Zuljlal! ! use itna Khayal de
                          Itna bhi Urooj kia k Wo mil hi na sake
                          Wo ho sake Mera use itna Zawal de
                          umeed rakhney main kya jata haii ..:)

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Originally posted by <<Muqadas>> View Post
                            lol is topic ko dekh k main samjhi muqadas ki choice to main sochnay lagi mainay yeh topic kab start kia
                            very funny:comfort:

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              Wo Kehta Hay......
                              Batao Be Sabab Kion Rooth Jatii Ho?
                              Main Kehtii Hoon...
                              Zara Mujh Ko Manaao...... .Acha Lugtaa Hay

                              Wo Kehta Hay
                              Mera Dil Tum Se Aakhir Kion Nahi Bhartaa?
                              Main Kehtii Hoon....
                              Mohabat Ki Koi Hadd Hi Nahii Hotii....!

                              Wo Kehta Hay....
                              Batao...Main Tumhain Kion Bhaa Gaya Itna?
                              Main Kehtii Hoon...
                              Merii jaan Hadsay To Ho Hii Jatay Hain!

                              Wo Kehta Hay...
                              Achanak Main Tumhain Yoon Hii Rulaa Doon Tu?
                              Main Kehtii Hoon...
                              Mujhay Darr Hay K Tu Bhii Bheeg jaaye Ga...!

                              Wo Kehta Hay...
                              Batao..Baarishon Ki kiya Haqeeqat Hay?
                              Main Kehti Hoon...
                              K Yeh To Baadilon Ki Aankh Rotii Hay...!

                              Wo Kehta Hay...
                              Tumhaaray Khwaab Saaray Kion Adhooray Hain?
                              Main Kehtii Hoon...
                              Merii Jaan Tum Inhain Takmeel De Do Na...!

                              Wo Kehta Hay...
                              Batao..Chooriaan Kaisi Lageen Tum Ko?
                              Main Kehti Hoon...
                              Mujhay Yeh Toot Kar Takleef Deti Hain...!

                              Wo Kehta Hay...
                              Batao....Shaam Men Khunkii Hay Kion Itni?
                              Main Kehti Hoon...
                              Judaai Men Kisi Ki Aankh Rotii Hay...!

                              Wo Kehta Hay...
                              Karon Jab Phone Sun Nay Kion Nahii Aatii?
                              Main Kehtii Hoon...
                              Terii Aawaaz,Sun,K Zabtt Rota Hay...!

                              Wo Kehta Hay...
                              K Itnii Be Yaqeenii Kis Liye Aakhirr?
                              Main Kehtii Hoon...
                              K Itnii Be Yaqeenii,Sukh Men Rakhtii Hay...!

                              Wo Kehta Hay...
                              Udaasi Par Kabhii Kuchh Likh K Dikhlaa Do...
                              Main Kehtii Hoon...
                              Meray Aagay Karo Sheesha...Main Likhtii Hoon...!

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                Wo Kehta Hay......
                                Batao Be Sabab Kion Rooth Jatii Ho?
                                Main Kehtii Hoon...
                                Zara Mujh Ko Manaao...... .Acha Lugtaa Hay
                                Wo Kehta Hay...
                                Batao..Chooriaan Kaisi Lageen Tum Ko?
                                Main Kehti Hoon...
                                Mujhay Yeh Toot Kar Takleef Deti Hain...!
                                zindagi tu hadsoo sey bhari hoi haii..yeh na hoo tu jeney ka maza kya....

                                chooriya hathoo main jitni khoobsoorat lagti haii..tootney k bad bhi un ki khirchiya bauht si kahaniya bayan kerti haiin:)

                                Comment

                                Working...
                                X