Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    Tera dard tha, teri yaad thi.
    main jahan raha, main jidhar gya.
    Mera Din to yunhi guzar gya
    junhi sham hoi main bikhar gya !
    is Abr ka meray yar se, bara milta julta mizaj tha...
    kabhi toot kr barass gya..
    kabhi berukhi se guzar gya...
    jb main Choor donga wo gali...
    osay yaad aye gi tb meri...
    khojay ga wo tab mujhe....
    osay khabr milay gi main mar gya...!
    Abi tang hai wo mere naam se
    mere baad aye ga dosto.
    wo tumhi ko rok k pochay ga,
    wo kahan pe hai
    wo kidhar gya...???

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Bahot khoobsurat intakhab hai aap ka janab
      sigpic

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Originally posted by WASI ANJUM View Post
        Bahot khoobsurat intakhab hai aap ka janab
        shukria:salam:

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          Assalam-o-Allaikum buht hi khoob

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice


            Uski khawhish thi kabhi mujko bikhartey dekhey


            Wo saliqey se hoa hum se gurezaan warna
            Log to saaf Mohabat se mukartey dekhey


            Waqt hota hy har ek zakham ka marham MOHSIN...
            Phir b kuch zakham the aisey jo na bhartey dekhey......!!!.

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Dheerey Say Sarakti Hai Raat Us K Aanchal Ki Tarah
              Us Ka Chehra Nazar Aata Hai Jheel Mei Kanwal Ki Tarah

              Baad Muddat Us Ko Dekhaa To Jism-O-Jaan Ko Yun Lagaa
              Piyaasi ZameeN Pay Jaisey Koi Baras Gaya Badal Ki Tarah

              Roz Kehta Hai Seeney Pay Sir Rakh K Raat Bhar Sula'oun Ga
              Sar-e-Shaam Hi Mujhey Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah

              Us Ka Sharmaana Bhi Mujhey Maat De Jata Hai
              Us Ki To Har Adaa Hai Kisi Khamosh Qatil Ki Tarah

              Merey Hi Dil Ka MakeeN Nikla Wo Shakhas Aur Mein
              Shehar Bhar Mei Dhoodnta Raha Usey Kisi Pagal Ki Tarah

              Madhosh Sa Ho Jata Hoon Jab Barish Ki Boondein
              Cheerti Hain Koi Naghma Us Ki Chanakti Payal Ki Tarah

              Mera Sukhan Us Ki Zaat Ka Mehwar Na Ho Tab Bhi
              Wo NaazneeN Wo Dil NasheeN Hogi Mehakti Ghazal Ki Tarah

              Nahi Tha Khaar Zaroon Pay Tanha Bay-Sabab Safar Mera
              YaqeeN Tha Mil Jaye Ga Raah Mei Wo Manzil Ki Tarah

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                Kahan Tha Itna Azab Ashna Mera Chehra
                Jale Chiragh Tu Bujhne Laga Mera Chehra

                Woh Tere Hijar K Din Woh Safar Sadiyon K
                Tu Un Dino Men Kabhi Dekhta Mera Chehra

                Judaiyon K Safar Men Rahe Hen Sath Sada
                Teri Talash Zamane Hawa Mera Chehra

                Mere Siwa Koi Itna Udas B To Na Tha
                Khizan K Chand Ko Acha Laga Mera Chehra

                Kitab Khol Raha Tha Woh Apne Mazi Ki
                Warq Warq Pe Bikharta Gaya Mera Chehra

                Sehar K Nor Se Dhulti Howi Teri Ankhen
                Safar Ki Gard Men Lipta Howa Mera Chehra

                Hawa Ka Akhri Bosa Tha Ya Qayamat Thi
                Badan Ki Shakh Se Phir Gir Para Mera Chehra

                Jise Bujha K Hawa Sogwar Phirti Hai
                Woh Shama-e-Sham- e-Safar Thi K Mera Chehra

                Yeh Log Kiyon Mujhe Pehchante Nahi "Mohsin"
                Men Sochta Hon Kahan Reh Gaya Mera Chehra

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Jalty diye k samne

                  Jhonka hawa ka dek kar

                  Tum Q udas hogaye?

                  Mosam khiza ka dekh kar

                  Masamon k roag ka

                  Dard mat saha karo

                  Udas mat raha karo

                  Ye dard hein hayat k

                  Kuh rang kainat k

                  Kuch dukh ki tez barishein

                  Kuch phool hein nishat k

                  Tum phool bus chuna karo

                  Udas mat raha karo

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Mujhe tum yaad aatay ho
                    Kissi Sunsan Sapnay Mein
                    Kissi Chupi Khwaish Ki Hidut Mein
                    Kissi Musrofi-yut Kay Moor Pay
                    Kissi Busti Ki baronaq Sarak Pur
                    Mujhay tum yaad aatay ho
                    Kahin Barish Barus Jaay
                    Kahin Sehra Tarus Jaay
                    Kahin Baad-e Sabah Tehray
                    Tumharay Aur Mere Durmiyan Aa K Khuda Tehray
                    Tu Meri zindagi K Awul-o-Aakhir
                    Tum ussi lamhay
                    Khuda K Baad Aatay Ho
                    MUJHAY TUM YAAD AATAY HO!!!

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Seeny Main Koi Lamha Utar Kar Toot Jata Hai !
                      Kabi Mudat Ke Padesi
                      Agar Apny Na Any Koi Begam Bhajyn
                      Aor Makanon Pe Likhi Umeed Benaai Ganwa Bethy
                      Chaton Pe Banjpun Ka Dukh Utaar Aayy
                      Udasi Thehar Jati Hai
                      Kabhi Bichry HuOON ka Dukh
                      Kisi Bi Sham Ki Weranion Se Lug Ke Rota Hai
                      Shabyn BeArzoo Ho Kar Khamosi Orh Leti Hain
                      Kabhi Jab Dil Ki Nazuk Tar Se Likha Gia Koi Khat
                      Kahin Rasty Main Kho Jay
                      Ya KHat Ki Muntazar KHahish Ko Koi Rog Lug Jayy
                      Jahan Mauka Nikal Aye
                      Jahan Sorat Bany Gham Ki
                      Jaahan Beronki Ka Koi Bhi Pehlo Nikalta Ho
                      Wahin KHema Lagati Hai
                      Udasi Thehar Jati Hai

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        Wo jazbon ki tijarat thi
                        Ya dil kuch or samjha tha
                        Usay hasnay ki adat th
                        Ya dil kuch or samjha tha
                        Us nay kaha ao.........
                        Ni dunya basatay hain
                        Usay sojhi shararat thi
                        Ya dil kuch or samjha tha
                        Hamasha us ki ankhon ma
                        Dhanak ka rang rahtay thay
                        Ya us ki aam adat thi
                        Ya dil kuch or samjha tha
                        Mjhay wo dakh ka aksar
                        Nigahain phair laita tha
                        Ya darparda haqeeqat thi
                        Ya dil kuch or samjha tha

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          Buhat achi collection hai Musaddaq bhai

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            Originally posted by HumSafar View Post
                            Buhat achi collection hai Musaddaq bhai
                            Thanks bhai jaan:salam:

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              Tu bata a dil-e- betaab, kahan aate hain,
                              Humko khush rehne ke aadaab kahan aate hain,

                              Main to yakmusht usse saunp doon sab-kuch lekin,
                              Ek muthi mein mere khwaab kahan aate hain,

                              Muddaton baad tujhe dekh ke dil bhar aaya,
                              Warna sehraon mein selaab kahan aate hain,

                              Meri bedaar nigahon mein agar bhuule se,
                              Neend aaye bhi to ab khwaab kahan aate hain,

                              Shiddat-e-dard hai ya kasrat-e-mai- noshi hai,
                              Hosh mein ab tere betaab kahan aate hain,

                              Hum kisi tarah tere dar pe thikana kar lein,
                              Hum faqiron ko ye aadaab kahan aate hain,

                              Sar-basar jin mein faqat teri jhalak milti thi,
                              Ab muyassar hamein woh khwaab kahan aate hain,

                              Comment


                              • Re: Musaddaq Ki Choice

                                Seene mein jalan aankhon mein tufaan sa kyun hai
                                Is shehr mein har shakhs pareshaan sa kyun hai


                                Dil hai to dhadakne ka bahana koyi dhoondhe
                                Patthar ki tarah behis-o-bejaan sa kyun hai


                                Tanhayi ki ye kaun si manzil hai rafeeqo
                                Taa-hadd-e-nazar ek bayaban saa kyun hai


                                Ham ne to koyi baat nikali nahi gham ki
                                Vo zuud-e-pasheman pasheman saa kyun hai




                                Kya koyi nayi baat nazar aati hai ham mein
                                Aayena hamein dekh ke hairan saa kyun hai

                                Comment

                                Working...
                                X