Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Musaddaq Ki Choice
Collapse
X
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain
Kabi Mehfil Mehfil phirtey hian, Kabi Zaat mai Tanha hote hain
Kabi Chup ki Mohrr lagate hain, Kabi Geet Labon per latey hian
Kabi Sab ka Dil Behlatey hain, Kabi Khood mai Tanha hote hain
Kabi Shab-Bhar Jagte rehte hain, Kabi Lambi Taan ker sotey hain
Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Originally posted by musaddaq View PostAbhi tau rut badalni thi abhi tau phool khilnay thay
abhi tau shaam dhalni thi abhi tau zakhm silnay thay
Abhi tau serzameen-e-jaaN pe ik baadal ko ghirna tha
abhi tau wasl ki baarish meiN nangay paaoN phirna tha
Abhi tau kasht-e-ghum meiN ik khushi ka khwab bona tha
abi tau sainkRoN sochi hui baatoN ko hona tha
Abhi tau saahiloN pe ik hawa-e-shaad chalni thi
abhi jo chal rahi hai ye tau kuchh din baad chalni thi!Bahot khooburat sharing :thmbup:sigpic
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
hazaron dukh parey sahna mohabat mer nahi sakti
hai tum se bas yahi kahna mohabat mer nahi sakti
jahan main jab talak panchi chahktey urrtey phertey hai
hai jab tak pholo ka khilna mohabat mer nahi sakti
poraney ehad ko jab zinda kerney ka khayal aye
bas mujhy etna likh dina mohabat mer nahi sakti
ager hum huserton ki kaber main hi dafan ho jye
tu ye kutbon pe likh dina mohabat mer nahi sakti
puraney rabton ko pher nye wadey ki khowahish hai
zara aik bar tu kahna mohabat mer nahi sakti
gye lamhaat fursat k kahan se dhnod ker lon
wo pahron haath per likhna mohabat mer nahi saktiLast edited by musaddaq; 27 March 2009, 07:39.
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Jo na mil sakay wohi be-wafa
ye bari ajeeb si baat hai
jo chala gaya mujhay chor ker
wohi aaj tak meray saath hai
karay pyar...lub pay gila na ho
ye kisi kisi ka naseeb hai
ye karam hai os ka jafa nahe
woh juda bhi reh ker kareeb hai
wohi aankh hai meray ro ba ro
osi haath main mera haath hai
mera naam tak jo na lay saka
jo mujhay qaraar na day saka
jisay ikhtiyar tou tha magar
mujhay apna pyar na day saka
wohi shakhs meri talaash hai
wohi dard meri hayat hai
Jo na mil sakay wohi be-wafa
ye bari ajeeb si baat hai
jo chala gaya mujhay chor ker
wohi aaj tak meray saath hai.
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Ik bewafa say aik Mulaqat buhat hai
Jitna bhi diya hum ne tera saath bohat hai
dunyia ko dil ke daagh dikhaon to kis terha
apni tabahiyon main mera haath bohat hai
jitna bhi diya hum ne tera saath bohat hai
toota jo dil ka aina toote sabhi bharam
hoti hai umer pyar ki jene ke liye kum
marne ke liye dard ki eik raat bohat hai
jitna bhi diya hum ne tera saath bohat hai
Ik bewafa se aik Mulaqat buhat hai
Jitna bhi diya hum ne tera saath bohat hai
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Wo meray ilfaz se hairaan rehta tha...
Mein us ki be-rukhi se pareshaan rehta tha...
Bewafa to keh diya tha sar-e-aam us ne...
Phir na-janay kiun khud hi pashemaan rehta tha...
Suna hai k poocha tha kisi ne meray baray me us se..
Kaha us ne k haan dil me ek nadaan rehta tha..!
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Teri qurbatain bhi saraab hain, ye bhala huwa ke mili nahin
teri dooriyan bhi azaab hain, meri dasht-e-jaan se tali nahin
pas-e-chashm-e-num wo zaroor hai, mera dil jafa'on se choor hai
meri manziloon ka kasoor hai, tere raaston se mili nahin
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Apani ruswaai tere naam ka charcha dekhun
Ek zaraa sher kahun aur mein kyaa kya dekhun
Neend AA jaaye to kyaa mehfilein barpaa dekhun
Aankh khul jaaye to tanhaai kaa Sahara dekhun
Shaam bhi ho gaee dhundhalaa gaee aankhein bhee meri
Bhuulane waale mein kab tak teraa rastaa dekhun
Sub zidein us kee mein poori karun har baat sunun
Ek bachche kee tarah se use hanstaa dekhun
Mujh pe chaa jaaye who barasat kee Khushbu kee tarah
Ang ang apanaa usee rut mein mahaktaa dekhun
TU meri tarah se yaktaa hai magar mere habib
Jee mein aataa hai koee aur bhii tujh saa dekhun
Mein NE jis lamhe ko pujaa hai use bas ek baar
Khwaab ban kar teri aankhon mein utarataa dekhun
TU meraa kuch nahin lagata hai magar jaan-e-hayaat
Jaane kyon tere liye dil ko dharakataa dekhun
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Jab Tasawer Mera Chupkey Sey Tujhey Cho Aaye
Apni Her Sans Sey Mujh Ko Teri Khusboo Aaye
Mashgala Ab Hey Mera Chand Ko Taktey Rehna
Raat Bhar Chain Na Mujh Ko Kisi Pehloo Aaye
Jab Gardish-e-Dowran Ney Sataia Mujh Ko
Meri Janib Tery Phealey Howey Bazoo Aaye
Jab Bhi Socha Keh Shab Hijar Na Ho Gi Rooshan
Mujh Ko Samjhaney Teri Yad K Jugnoo Aaye
Kitna Hasas Meri Aas Ka Sanata Hey
Keh Khamoshi Bhi Jahan Bandh K Ghongaroo Aaye
Mujh Sey Milney Ko Sar-e-Shaam Koi Saya As
Terey Aangan Sey Chaley Aur Lab-e-Joo Aaye
Us K Lehjey Ka Aasar To Hey Bari Baat "Qateel"
Wo To Aankhon Sey Bhi Kerta Howa Jadoo Aaye
Comment
-
Re: Musaddaq Ki Choice
Rat KattI Rhi Chand Dhalta Rha
Aatish-e-Hijar mein koi jalta Rha
Ghar ki Tanhiyan Dil ko Dasti Rahein
Koi Bechain Karwat Badalta Rha
Aas-o-Umeed ki Shamma Roshan Rhi
Ghar ki Dehleez Ko Koi Takta Rha
Rat bhar Chandni Gungunati Rhi
Rat Bhar Koi Tanha Sisakta Rha
Ashk Palkoon Pe aa k Bikharte Rhe
Naam Lab pe Kisi ka Larzta Rha
Aj Phir Rat Basar Ho Hi Gai
Aj Phr Koi khud Se Olajhta Rha.
Comment
Comment