Re: my beautiful collection
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
~Annayah Ka Intikhaab~
Collapse
X
-
Re: my beautiful collection
Ham ne kab us se mulaQat ka wada chaha..
Door reh kar to use aur bhi ziada chaha..
Yaad aya hai mujhe aur bhi shidat se woh...
Bhool jane ka usko jab bhi irada chaha
Waqt guzarta raha par saanse thami si thi,
muskura rahe the hum, par ankhoN meiN nami si thi,
sath hamare ye jahaaN tha sara
par na jane kio kisi ki kami si thi....
Comment
-
Re: my beautiful collection
Suno, Tumhain barasti barish buhat pasand hay naa??
tow, aaoo Dekho
aaj muqabla hay
rim jhim barastii barish ka
mere behtay ansauoon se!!
Waqt guzarta raha par saanse thami si thi,
muskura rahe the hum, par ankhoN meiN nami si thi,
sath hamare ye jahaaN tha sara
par na jane kio kisi ki kami si thi....
Comment
-
Re: my beautiful collection
Baarishon ke mausam main Waqt ke andheron main
Maine us se poocha tha Chorr to na jaoge
Haath tham ker us ne Kaan main yeh bola tha
Kaise chorr sakta hoon Tum to Jaan ho meri
Aur aaj aisa hai Waqt ki tamazat main
Wehshaton ke Mausam main Maine us se poocha hai
Chorr kar hi jaana tha Muskurati galiyon main
Aas kyun dilayi thi Pyaas kyun jagayi thi
Mere in sawalon per Na woh chonka na woh thehra
Chalte chalte itna kaha Mausamon ke khel hain sab
Waqt guzarta raha par saanse thami si thi,
muskura rahe the hum, par ankhoN meiN nami si thi,
sath hamare ye jahaaN tha sara
par na jane kio kisi ki kami si thi....
Comment
-
Re: my beautiful collection
tere jesa mera bhi haal tha na sukoon tha na qarar tha
ye ho umr thee mere humnaShen ke kisi ko mujh se bhi pyar thA
mein samajh raha hon teri kasak tera mera dard hai mushtarak
isi gam ka to bhi aseer hai isi gam ka mein bhi shikar tha
faqat ek dhun thee ke raat din isi khawab zaar mein gum rahen
wo surror aisa surror tha wo khumar aisa khumar tha
kabhi lamha bhar ki guftugo meri os ke sath na ho saki
mujhe fursaten na mil saken wo hawa ke rath pe sawar th
hum ajeeb tarz ke log thai hamare aur hi rog thai
mein khizan mein tha os ka muntazir ose intezar bahar tha
ose parh ke tum na samajh sake ke meri kitab ke roop mein
koi qarz tha kaii roz ka kaii ratjagon ka odhar tha
Last edited by annayah; 3 November 2006, 08:08.
Waqt guzarta raha par saanse thami si thi,
muskura rahe the hum, par ankhoN meiN nami si thi,
sath hamare ye jahaaN tha sara
par na jane kio kisi ki kami si thi....
Comment
Comment