Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~Annayah Ka Intikhaab~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #91
    ~~~~~yaad~~~~~





    do ashq meri yaad mein
    bahaa dete to kya jaata...?
    chaar phool meri laash par
    charhaa dete to kya jaata...?

    aaye ho meri mayyat par
    naqaab daal kar sanam
    murdon ko chaand ka tukda
    dikhaa dete to kya jaata...?

    poochte hain tumse log
    kiska ye janaza hai ?
    marne waala kaun tha ?
    bataa dete to kya jaata...?

    keh rahi hai sab kahani
    tere haathon ki heena
    kisi aur din ye kissa
    sunaa dete to kya jaata...?

    meri saans rukte hee
    mera dam nikaalte hee
    meri duaa ko haath tum
    utthaa dete to kya jaata...?

    jaan de di "maikasH" ne
    tumhari hi mohabbat mein
    ik chiraag tum mazaar par
    jalaa dete to kya jaata...?



    Attached Files






    Waqt guzarta raha par saanse thami si thi,
    muskura rahe the hum, par ankhoN meiN nami si thi,
    sath hamare ye jahaaN tha sara
    par na jane kio kisi ki kami si thi....


    Comment


    • #92
      Re: ~~~~~yaad~~~~~

      buht umda sharing ji
      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

      :pr:

      Comment


      • #93
        Re: ~~~~~yaad~~~~~

        v nice

        Comment


        • #94
          Re: *~~~Tum mere kya ho~~~*

          nice

          Comment


          • #95
            konsi aur azmaish hay

            Konsi aor azmaish hay
            kon ka imtehan baki hay

            meray katil aik aor teer chala
            abhi thori si jaan baki hay

            Chaid is dil ko aor chalni kar
            kyun yeh khasta makan baqi hay

            khawab ankhon kay sabhi rakh howay
            phir bhi thora saman baqi hay

            Teri hasrat na koi reh jaey
            aa meri jaan, jaan baqi hay
            Attached Files






            Waqt guzarta raha par saanse thami si thi,
            muskura rahe the hum, par ankhoN meiN nami si thi,
            sath hamare ye jahaaN tha sara
            par na jane kio kisi ki kami si thi....


            Comment


            • #96
              Aapne haaton ki lakeroon mein

              Attached Files






              Waqt guzarta raha par saanse thami si thi,
              muskura rahe the hum, par ankhoN meiN nami si thi,
              sath hamare ye jahaaN tha sara
              par na jane kio kisi ki kami si thi....


              Comment


              • #97
                Dair tak tehniyoon ne Shor kiya


                Meri Kapi Mein kiun na Kehka Phuol
                Ab tera Naam bhi hae sukha Phuol

                Dair tak tehniyoon ne Shor kiya
                Raat chupkey se kis ne tora Phuol

                Woh khizaan shakhass mujh ko maar gaya
                Jis ko lagta tha mera Chehra Phuol

                Main hawa ki Jagha agar hoti
                Shakh se khak pe na Girta Phuol

                Koi Paimaan yaad aata hae
                Kash mujh ko na koi deta Phuol

                Janey kiun khud ko yaad aati hun ?
                Jab bi main dekhti hun khilta Phuol

                Kiaa huwa Ous taraf k Mosam ko ?
                Khat he likha na koi Bejja Phuol

                Log Ous ko Chirag kehtey hain
                Aeiney mein hae koi jalta Phuol

                Shehar mein kiun hawain Garam chalien
                Meri battaon mein khil raha tha Phuol

                Aur subha ka yeh Bujjah bujjha sa Chand
                Mere Gajrey ka ik Sukha Phuol

                Kon dekhey purani Shakhoon ko
                Titliyaan dhndhti hain taza Phuol

                Khul k main kuch na keh saki ous ko
                Main ne kagaz pe Sirf likha Phuol

                Kitni chup thi main shakh ki suraat
                Jo boli toh Munh se nikla Phuol





                Last edited by annayah; 19 October 2006, 02:05.






                Waqt guzarta raha par saanse thami si thi,
                muskura rahe the hum, par ankhoN meiN nami si thi,
                sath hamare ye jahaaN tha sara
                par na jane kio kisi ki kami si thi....


                Comment


                • #98
                  <<<<Qurbaton mein >>>>

                  qurbaton mein bhi judaye key zamanay mangey
                  dil woh beymeher key roney key bahaney mangey

                  hum na hotey to kisi aur key charchey hotey
                  khalk-e-sheher to kehney ko fasaney mangey

                  yehi dil tha tarasta tha marasam key liye
                  ab yehi tark-e-talluk key bahaney mangey

                  apna yeh haal key jee haar chukey lutt bhi chukey
                  aur muhabbat wohi andaaz puraney mangey

                  zindagi hum terey dagon sey rahey sharminda
                  aur tu hai sada aain-e-khaney mangey

                  dil kisi haal per maane hii nahi jaan-e-faraaz
                  mil gaye tum bhi to kya aur najaney mangein

                  Attached Files






                  Waqt guzarta raha par saanse thami si thi,
                  muskura rahe the hum, par ankhoN meiN nami si thi,
                  sath hamare ye jahaaN tha sara
                  par na jane kio kisi ki kami si thi....


                  Comment


                  • #99
                    Re: <<<<Qurbaton mein >>>>

                    bohat khoob

                    Comment


                    • Re: Dair tak tehniyoon ne Shor kiya

                      very nice

                      Comment


                      • Re: Aapne haaton ki lakeroon mein

                        bohat khoob

                        Comment


                        • Re: konsi aur azmaish hay

                          nice

                          Comment


                          • Re: konsi aur azmaish hay

                            Very Nice :)

                            Comment


                            • Re: konsi aur azmaish hay

                              nice....
                              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                              Comment


                              • Re: Dair tak tehniyoon ne Shor kiya

                                nice...
                                YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                                Comment

                                Working...
                                X