Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Mahé Mai ka mauzoo: Pehla qatra!
Collapse
X
-
-
Originally posted by zmufti View PostAmbreen saheba
aap ki tehreer buhat achchii lagi
is meN jazbaat ka rang ghaalib hai aap ki tehreer ke wast meN kuch izaafi jumle tajweez karti hooN
Likhti rahiye aur khush rahiye
zmufti
i wana know one thing
mien nay Ambreen ki tehreer bhi parhi aur aap nay jo jumlay tajweez kiay woh bhi
mera khyaal hay k Ambreen ka mien idea ap k jumloon say kuchh mukhtalif hay........
uski tehreer ki larki k zehn mien ik image tha sajan ka......ya shayad koi samaya hua tha mann mien...magar ....woh image toot gya...........woh kahin aur jaana chahti thi shayad......
aur ap k mutabiq usay apni mann marzi ka gulshan mila magar woh bhi hawaoon mien bana hua mehel sabat hua..shayad etbaar toot gya....m i right..?
i m confused...need ur help:embarasse
Comment
-
Originally posted by sumera View PostAs salam o alaikum Zmufti sis:)
i wana know one thing
mien nay Ambreen ki tehreer bhi parhi aur aap nay jo jumlay tajweez kiay woh bhi
mera khyaal hay k Ambreen ka mien idea ap k jumloon say kuchh mukhtalif hay........
uski tehreer ki larki k zehn mien ik image tha sajan ka......ya shayad koi samaya hua tha mann mien...magar ....woh image toot gya...........woh kahin aur jaana chahti thi shayad......
aur ap k mutabiq usay apni mann marzi ka gulshan mila magar woh bhi hawaoon mien bana hua mehel sabat hua..shayad etbaar toot gya....m i right..?
i m confused...need ur help:embarasse
aadaab
jab musanif apna khayal achchii tarah wazeh nahiN kar pata to har paRhne wala apni samajh boojh ke mutabiq is khayal ko samajhne ki koshish karta hai. Aik kaamyaab tehreer vohi ho gi jis ka markazi khayal wazeh ho
Ambreen ki kahani meN yeh khayal wazeh nahiN thaa so maiN ne "aik mumkina" markazi khayal us "khaali jagah" meN bharne ki koshish ki
is tarah maiN ne Ambreen ko yeh sujhaaoo diyya keh keh un ki kahani meN kahaN "lapse" ya jhol hai
ab vo chaheN to is khaali jagah per apna khayal "fil in" kar sakti heN
umeed hai maiN apni baat aap per wazeh kar paayii
phir bhee agar Ambreen ya aap ke zehn meN koi khayal ho to be jhijak baat kijye. kissi bhee baat ko discuss karne se donoN fareeq hi seekh sakte heN
take care
zmufti
Comment
-
Originally posted by zmufti View PostSumera jee

issay point out karnay say hamara maqsad bhi seekhna hee tha.....
kiun k hum abhi tehreer ki bareekioon say na-waqif hien.....
khush rahiay
and thnx again for help:)
Comment
-
Originally posted by zmufti View Postsumera jee
aadaab
taakheer ke liye maazrat
aap ki tehreer aik naye khayal per mabni hai
aap ka markazi khayal buhat achcha hai
aik pehla jumla aur kuch ikhtatami jumle izaafi mehsoos hue so un ko nikal dijye
baaz auqaat likhne waala apne khayal ko "emphasize" karne ke liye apni baat ko 2-3 baar dohrata hai
jis se paRhne waala boriat mehsoos karta hai ya tehreer per "aik lecture ya scholatic essay" ka gumaan hone lagta hai
so ghair zaroori repitition se guraiz kijye
likhti rahiye aur khush rahiye
zmufti
aik adh jagah per typing ki ghalati hai "gehra" ke aakhir meN alif hota hai
aap ki tehreer jo neechay post ki hai us ki aakhri line ko youN kar lijye
aur hamara watan bhee janat nazeer ban jaaye ga.
(khushaali ka aam fehm matlab "material well being" liyya jaata hai is liye is lafz ka yahaN istemaal mozoo nahiN )
pasand karnay ka shukriya:)
mien nay tamam batien note kar lien hien..aainda khayal rakhoon gi
once again thank u:)
khush rahiay:rose
Comment
Comment