Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mahé Mai ka mauzoo: Pehla qatra!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Originally posted by sccorpion81 View Post
    Assalam o Alaikum Friends....Meri yeh pahli koshish hai writing ki...pata nahien aap k miyar per utarti hai ya nahien ...
    Agar aap ko is main koee nuqs nazar aata hai tu plz zaroor btana mujhe jhooti tareef sunanay ka koee shoq nahien hai ... mujhe meri khami btaiey mera week point pataiey ta k main us ko theek ker sakooon
    Shukria

    :thmbup: ..idea or us ko paish krney ka andaz bauht khoobsoorat haii

    Comment

    • #17
      Attached Files
      Last edited by zmufti; 22 May 2007, 07:12.

      Comment

      • #18

        Comment

        • #19
          Originally posted by zmufti View Post
          yellow sky saheba
          aap ka shuru karda silsila ab kuch chal nikla hai
          maiN maazrat khawa hooN ke apni zaati masroofiaat ki bina per is janib tawajah nahiN de paayii
          maiN aur kuch ziyada to nahiN kar sakti aik qaari ki nazar se dekh kar tehreer ka jo bhee "impact" banta hai us ke mutabiq mashwara de sakti hooN

          aate heN aap ki tehreer ki taraf
          aap ne aik achche mozoo ka intkhaab kiyya hai aur us ko mukhtacir ilfaaz meN achchii tarah nibhane ki koshish ki hai
          magar aap ka aghaaz kuch kamzor hai

          so maiN apni taraf se kuch ibtadaia jumle tajweez karti hooN
          likhti rahiye
          aur khush rahiye
          zmufti
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          • #20
            Originally posted by Ambreen View Post
            meri aik koshish.....
            kiqadar bholi thi woh jo yeah samajhti thi keh os ke intezar ke aziat nak lamhat aik na aik din khatam o jaen ge waqt osey bahar ki naweed sunae ga...
            har taraf rang o noor ka sama'n ho ga..kalayon mein kisi ke naam ke kangan khankanaen ge..paon mein payal ki cham cham udham machae ho gi Hina ki khoshboo se saraa jiwan mehak jae ga..ek nirali sajh dhaj ho gi..
            os ka intezar khatam howa mager kisi dosrey Angan mein aa key kisi dosrey naam ke kangan jab os ki kalayon mein khankhanaey..tau najane kab se intezar ke bojh se thaka mandha Ansoo ka pehla nannnah munah qatra palkon ki chiman se dalak ker kisi dosrey naam ke Anchal mein sama gaya humesha humesha ke liye...
            :) :thmbup:
            thanks for being here Ambreen :rose

            Originally posted by sccorpion81 View Post
            Assalam o Alaikum Friends....Meri yeh pahli koshish hai writing ki...pata nahien aap k miyar per utarti hai ya nahien ...
            Agar aap ko is main koee nuqs nazar aata hai tu plz zaroor btana mujhe jhooti tareef sunanay ka koee shoq nahien hai ... mujhe meri khami btaiey mera week point pataiey ta k main us ko theek ker sakooon
            Shukria
            walaikum salam!

            bohot achi koshish aur baki ki tehreer yani kuch kami beshi inshAllah zmufti theek ker dein gi :thmbup:

            bohot shukrya for being here!

            Originally posted by danicool82 View Post
            sab ki tryayaan buhat achi hain janab ab dekh kar lagta hai ke mere tehreer kuch nehi ho ge ap sab ke samne
            hamein aap ki tehreer ka inteyzaar rahey ga inshAllah :thmbup:
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment

            • #21
              Originally posted by aquari View Post
              :thmbup: ..idea or us ko paish krney ka andaz bauht khoobsoorat haii
              and where is your tehreer :D
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment

              • #22
                Originally posted by Ambreen View Post
                meri aik koshish.....
                kisqadar bholi thi woh jo yeah samajhti thi keh os ke intezar ke aziat nak lamhat aik na aik din khatam o jaen ge koi bahar ki manind us ki zindagi meN daakhil hoga ...
                har taraf rang o noor ka sama'n ho ga..kalayon mein kisi ke naam ke kangan khankanaen ge..paon mein payal ki cham cham udham machae ho gi Hina ki khoshboo se saraa jiwan mehak jae ga..ek nirali sajh dhaj ho gi..
                os ka intezar khatam howa

                saajan ke naam ke kangan us ki kalayioN meN khankney lage magar in ki khan khan kuch hi roz meN zanjeeroN ki jhanjhan si sunaaii dene lagi yeh awaz sun kar vo seham gayyii nazuk si kalayioN per hatkaRiaN chubne lagiiN
                aur ankh meN aansoo machalne lage

                aur vo aangan jisse us ne sada bahar gulshan samjha thaa dekhte hi dekhte aik tapta hue raigzaar ban gaya din raat ki musafat meN hi us ke talve jalne lage paael baiRioN ki tarah chubne lagi aansoo palkoN par larazne lage

                Hina se kaRhe hue gul boote bhee madham paR gaye aur yeh aRhi tirchi lakeeraiN saaNp aur SeeRhi ke naqshe si lagne lagi
                jaise us ki zindagi kabhi piyar ki seeRhi chaRti aur kabhi nafrat ke saaNpoN se dasi jaati

                Har naya DaNk aik aansuoN ki aik nayyii mauj ko jana deta

                aur najane kaise intezar ke bojh se thaka mandha Ansoo ka pehla nannnah munah qatra palkon ki chiman se dhalak ker kisi dosrey naam ke Anchal mein sama gaya hamesha hamesha ke liye...ik rasta bana gaya
                Ambreen saheba
                aap ki tehreer buhat achchii lagi
                is meN jazbaat ka rang ghaalib hai aap ki tehreer ke wast meN kuch izaafi jumle tajweez karti hooN
                Likhti rahiye aur khush rahiye
                zmufti

                Comment

                • #23
                  Originally posted by zmufti View Post
                  Ambreen saheba
                  aap ki tehreer buhat achchii lagi
                  is meN jazbaat ka rang ghaalib hai aap ki tehreer ke wast meN kuch izaafi jumle tajweez karti hooN
                  Likhti rahiye aur khush rahiye
                  zmufti
                  Salam Mufti Sahiba

                  aap ne abhi taq meri taraf nazr e karam nahein ki .. mera bhi tu koee week point btaian na
                  sigpic

                  Comment

                  • #24
                    Originally posted by sccorpion81 View Post
                    Assalam o Alaikum Friends....Meri yeh pahli koshish hai writing ki...pata nahien aap k miyar per utarti hai ya nahien ...
                    Agar aap ko is main koee nuqs nazar aata hai tu plz zaroor btana mujhe jhooti tareef sunanay ka koee shoq nahien hai ... mujhe meri khami btaiey mera week point pataiey ta k main us ko theek ker sakooon
                    Shukria

                    Yasir saheb
                    aadaab
                    aap ne buhat achchii koshish ki hai
                    treatment bhee achcha hai aur baarish ki manzarkashi aur us ka "effect" buhat khoob hai
                    aap meN buhat potential hai (agar aap ne markazi khayal musta'ar nahiN liyya)

                    aakhir meN yeh kahoN gi aap ki tehreer ka markazi khayal buhat purana hai
                    (balk kaafi had tak filmi sa hai)
                    koi "fresh idea" le kar us per likhne ki koshish kijye

                    umeed hai meri kissi baat ka bura nahiN manayieN ge maiN ne dayanat daari se jo mehsoos kiyya likh diyya
                    likhte rahiye
                    aur khush rahiye
                    zmufti

                    Comment

                    • #25

                      Thank u very much:)
                      hmm aap nay sahi kaha k markazi khyal purana hai...frsh ideas ki zaroorat hai:) ...muje likhne ka koee experience nahien hai yeh meri pajli tahreer thee bas aisay hi betha hoowa tha aur kuch kerne ko nahien tha tu socha kiun na is compitition main hissa lia jaey tu with in few min yeh likh diya ....

                      aap ki baat ka bura kiun manooon ga...aap nay jo mahsoos kia wo likh diya bhot acha kia ...

                      yeh phool aap k liey
                      :phool: :phool: :phool: :phool: :phool:
                      :phool: :phool: :phool: :phool: :phool:
                      :phool: :phool: :phool:
                      sigpic

                      Comment

                      • #26
                        As salam o alaikum

                        here i m with my koshish and mehnat:blush: :)
                        Attached Files
                        Last edited by *Duaa*; 29 May 2007, 20:38.

                        Comment

                        • #27
                          Originally posted by yellowsky View Post
                          and where is your tehreer :D

                          Dear meri tehreer tu accident ki nazar hogaii ..itna kuch mind main tha sir pr chout lagney ki waja sey sub............:donno:

                          Comment

                          • #28
                            Originally posted by sumera View Post
                            As salam o alaikum

                            here i m with my koshish and mehnat:blush: :)
                            achi kosish haii

                            Comment

                            • #29

                              Comment

                              • #30
                                haa!! deer shukali mo lekhli di.. :clap:
                                u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                                :pr:

                                Comment

                                Working...
                                X