Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

In The Spotlight ~*Gul Dearo~*

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: In The Spotlight ~*Gul Dearo~*

    kaunsa member talented lagta hay

    Aanchal, Eshaa, Zeniya,Sarah and Munda sialkoti, Designer Brother

    kaunsa member creative lagta hay
    Hala. Wasi , Shakeel . K-K, Naz...Masood

    kaunsa member flirty lagta hay
    QABIL-E NAFRAT :think:

    kaunsa member actor lagta hay
    BUHAT SE HEIN !! MASOOD K SMET

    kaunsa member emotional lagta hay
    DARD-ASHNA ...JIYA ...aur b buhat heiN

    kaunsa member caring lagta hay
    ..............................

    kaunsa member fool lagta hay
    :) ............!!

    kaunsa member serious lagta hay
    Shakeel Bhai ,

    kaunsa member genious lagta hay
    designer Brother, ADNAN ( YARRAM) Saraah

    [QUOTE]kaunsa member lover lagta hay

    kaunsa member fighter lagta hay

    kaunsa member jhoota lagta hay.

    kaunsa member samajhdar lagta hay

    kaunsa member dost lagta hay.

    kaunsa member rude lagta hay.
    kaunsay member say aap impress ho.
    Mein har oss insaan se impressed hoti hooN
    jo elm mein Behtar ho!!

    kaunsay member kee posts pasand hay?
    replied already !!

    kaunsay member se baat kernay ka dil kerta hai?

    kaunsa member aap chahti hain k aap thread zaroor dekhe?

    I want all to ....Talk with ...and to read my shared thread

    Comment

    • Re: In The Spotlight ~*Gul Dearo~*

      2 naam jo aap ko bahot pasand hain?
      SUHAIB , WARDAH

      2 log jin k bager aap ji nahi sakte?
      SOCHTI thee k mein apnay Parents k bina nahi jee sakti ..
      magar after the death of my father I think i was wrong!!!

      2 dost jo aap k hamraz hain?

      HAMRAAZ DOST tu Siwa-ay Allah k koi nahi inshaAllah
      Baqi dil ki baat tu kisi ko kum hee kehti hooN!!

      2 khanay jo aap ko bahot pasand hain?
      ...Lasagna & Chicken Tikkah

      2 din jin k aanay ka aap ko intazar hai?
      yeh jawab tu de hee chuki hooN ...!!

      2 gift jo aap dena pasand kerte hain?
      Perfume & PENS

      2 log jin k bager aap adhoore hain?
      REPEATED*one*

      2 pg members jin se aap bahot ziada impress hain?
      REPEATED*one*
      2 pg members jin se aap milna chahte hain?
      REPEATED*one*( anyway Sabhi se milna chahoon gee

      2 log jo mobile per sab se ziada sms kon kerte hain?
      Aik DOST hein and aik Bhai !!

      2 log jin k liye apni jaan de sakti hain?
      Koi Khas nahi :)

      2 log jo aap ko bilkul pasand nahi hain?
      JHOTAY aur PARHAY LIKHAY JAHIL :)

      2 Quotes jo aap ko bahot pasand hain?

      2 politician jin se aap ko nafrat hai?
      MUJHAY aaj kal k POLITICS-Politicians k baary mein koi elm nahi ...!! :)

      2 TV programmes jo aap ko bahot pasand hain?
      Mein TV BIL-KUL nahi deykhti :) ...........!!

      Magar jab kabhi deykhooN tu ...TALK SHOWS buhat pasnad haiN ..! ya Koi QUIZ shows ...! but abhi tu buhat time ho giya deykhay

      Alhamdulilllahhhhhhhhhhh!! Khalas :garmi:

      Comment

      • Re: In The Spotlight ~*Gul Dearo~*

        السلام و اعلیکم گل سسٹر
        آپ کا جوابات پڑھے ۔۔۔۔۔۔خوبصورت سوچ جب خوبصورت الفاظ کا جامہ پہن لے تو کیا ہی کہنے ،کچھ ایسا ہی معاملہ یہاں دیکھا ،آپ کے الفاظ کی چناو کی تو میں ویسے ہی فین ہوں

        :ANYWORDnice:ANYWORDnice

        بہت اچھا لگا ایک میچور انسان سے مل کر
        خوش رہیے
        :phool::phool::phool:
        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

        Comment

        • Re: In The Spotlight ~*Gul Dearo~*

          Assalaam-O-Alaikum GUL Jee

          Iss say pehlay kay mahina khatam hojayay aur main apnay sawaaloon say mehroom hojayoon, main apnay sawaal paish kar raha hoon, umeed hay aap iss per apnay izahar-e-khayal zaroor paish karain gain.

          Meray sawaal darja-e-zail hain.

          Sawaal 1: Aap ko MASHALLAH ALLAH SWT nay apni naimatoon say nawaza hay aur achya say settle hain ALLAH SWT mazeed iss main barkat ata farmayay.... Main yeh jaannna chata hoon kay Canada jaisay open mahool main jahan rishtoon say ziyada infiraadi zindagi (Invidual Life) ko tarjeeh dee jaati hay, aap apnay bachoon main woh tamam khooobiyan (jo kay aap kay jawaabat ko paRh kar bakhoobhi zahir hoti hay) kis tarah aur kis achay tareeqay say muntaqil kar rahi hain?

          Sawaal 2: Bohat mumkin hay kay aap aik House Wife na hoon kiyonki Canada jaisay mulk main reh kar aik banday ki kamayi srif aur srif house rent, aur personal living main hi kharch hojaatay hain tou aap apnay bachoon ko kitna time daiti hain aur aap apnay aap say aur apnay shohar say kitni mutmayin hain kay aap apnay bachoon ko sahi aur acha waqt day rahay hain uss waqt jab unn ka zehan aik DEVELOPMENT STAGE per hay?

          Sawaal 3: Kia aap nay kabhi apnay bachoon kay chotay chotay nannay nannay mayoon (Payoon) ko kabhi kiss kia hay (I mean INFANTS yaa sheerkhuwaar bachoon kay offcourse)? ajeeb sa sawaal hay magar main har kisi say yeh sawaal karta hoon, kiyonki mujhay bachoon kay nannay nannay mayoon bohat achay lagtay hain :)

          Khush rahyeh

          Fi Amaan ALLAH
          sigpic

          Comment

          • Re: In The Spotlight ~*Gul Dearo~*

            Originally posted by thefire1 View Post

            Walekum assalam wrwb

            Array ye tu mein achanak yehan aa gai tu ap k sawalat deykh liyay warna ...!!

            anyway :) jee mein jawab deyti hooN inshaAllah!!

            Comment

            • Re: In The Spotlight ~*Gul Dearo~*

              [QUOTE=thefire1;1194843]Assalaam-O-Alaikum GUL Jee

              Sawaal 1: Aap ko MASHALLAH ALLAH SWT nay apni naimatoon say nawaza hay aur achya say settle hain ALLAH SWT mazeed iss main barkat ata farmayay.... Main yeh jaannna chata hoon kay Canada jaisay open mahool main jahan rishtoon say ziyada infiraadi zindagi (Invidual Life) ko tarjeeh dee jaati hay, aap apnay bachoon main woh tamam khooobiyan (jo kay aap kay jawaabat ko paRh kar bakhoobhi zahir hoti hay) kis tarah aur kis achay tareeqay say muntaqil kar rahi hain?
              Jee !!
              Jab hum canada aa-ay tu kafi kuch zehan mein tha
              yehan ka mahol ..aur hamari values mein kafi se ziyada tazaad hai

              Ghar k mahol se ziyada bahir ka mahole asar karta hai ...yeh b deykha !!
              Bachay yehan aatay hee kafi disturb howay ..!
              magar yeh Alalh ka akram hai k ..yehan per achay loagun se wasta paraa!
              Yehan per muslims buhat ziyada hain specially Arab Community !!

              EId k din k more then 30.000 muslims aik ground mein namaz adaa kartay hein
              at one time aur oss k elawa kai aik jagah namaz hoti hai wo alag .
              mein yeh sirf Calgary city ki baat kar rahi hooN ..!
              tu yehan per Achay logoun ki company mein Alhamdulillah ..kafi sakooN hai
              magar wahi k ...har waqt samjhnay ki aur take care karnay ki zaroorat rehti hai

              aur Wo Alhamdulillah Allah ki tuafeeq se koshish ho rahi hai ...!!

              secondly ....Yehan per FILHAL tu har tarah ki azaadi hai k aap jiss tarah
              se rehna chaheiN reh saktay hein ....KOI OZAR nahi k
              hum apni Values (ISLAAMI AQDAAR) k mutabiq na raheiN..
              Koi Ozar nahi k namaz parhnay nahi ja sakein ..
              Koi Ozar nahi k fasting na kar sakein kion k
              yehan loag 90% keh lein k aap k mazhab ki respect kartay hein ...!!

              baqi ...Bachay bhi Alhamdulillah achay ustadoun k se seekhtay hein
              tu they are Alhamdulillah manageable..Allah Hum sab ko rah-e Hadyat per rakhay !!

              ( aap hamary mulk mein halaat deykh saktay hein k aik islamic republic region
              mein kia kuch ho raha hai. Alhamdulillah yehan Sha`oor ko awaliyat hasil hai
              DRINK karnay ki ijazat k ba-wajood..!)

              Sawaal 2: Bohat mumkin hay kay aap aik House Wife na hoon kiyonki Canada jaisay mulk main reh kar aik banday ki kamayi srif aur srif house rent, aur personal living main hi kharch hojaatay hain tou aap apnay bachoon ko kitna time daiti hain aur aap apnay aap say aur apnay shohar say kitni mutmayin hain kay aap apnay bachoon ko sahi aur acha waqt day rahay hain uss waqt jab unn ka zehan aik DEVELOPMENT STAGE per hay?

              Mein aik Mukamal HOUSE MAKER hooN :)
              I stay at home ...:alhamd: meray husband aik oil company mein
              job kartay hein ..aur meray chanay k bawajood mujhay job ki
              ijazat nahi!!
              So meray bachay jab 4 bajay ghar aatay hein tu wo mujhay ghar hee paatay hein
              albatah week mein aik do baar mujhay kuch Community work
              k liyay nikalna paRta hai tu ...wo b Allah k fazal se manage ho jata hai!!

              Sawaal 3: Kia aap nay kabhi apnay bachoon kay chotay chotay nannay nannay mayoon (Payoon) ko kabhi kiss kia hay (I mean INFANTS yaa sheerkhuwaar bachoon kay offcourse)? ajeeb sa sawaal hay magar main har kisi say yeh sawaal karta hoon, kiyonki mujhay bachoon kay nannay nannay mayoon bohat achay lagtay hain :)
              :) .Bachay tu Allah ka inaam hein ..!
              aur Ba fazl-e Taalah mein Bachoun k hamysha buhat qareeb
              rahi hoon..and same my hubby too..
              But meray hubby ko apni beyti se buhat piyar hai :)teddy
              aur bass Aap ka sawal ka jawab Isbaat mein hai :)
              I love kids Kisi k bhi houN ....aur jab apnay houn tu ...
              Insan ..iss Khoobsoorat tuhfay ki
              jitni qadar kar sakta hai zaroor karay !!
              apnay piyaar ka 100% bachoun ko zaroor deiN ...
              mein nay apnay pehlay bachay( my Daughter) ko buhat time diya teddy
              and oss ki baatein record b kein ...wo recording tu kahin pakistan mein reh gaii!!
              and Second kid ko b mumkin hadd Time diya
              as MashaAllah time divide karna paRta hai ...!!
              magar we really enjoyed their infant* time ! :alhamd:
              Khush rahyeh

              Fi Amaan ALLAH
              Aap b khush rahiyay !! :jazak:

              Comment

              • Re: In The Spotlight ~*Gul Dearo~*

                Originally posted by saraah View Post
                السلام و اعلیکم گل سسٹر
                آپ کا جوابات پڑھے ۔۔۔۔۔۔خوبصورت سوچ جب خوبصورت الفاظ کا جامہ پہن لے تو کیا ہی کہنے ،کچھ ایسا ہی معاملہ یہاں دیکھا ،آپ کے الفاظ کی چناو کی تو میں ویسے ہی فین ہوں

                :ANYWORDnice:ANYWORDnice

                بہت اچھا لگا ایک میچور انسان سے مل کر
                خوش رہیے
                :phool::phool::phool:

                Buhat shukriya :rose

                Comment

                • Re: In The Spotlight ~*Gul Dearo~*

                  Assalaam-O-Alaikum

                  Aap ka bayhudh mashkoor hoon kay aap nay meray sawaloon ka tafseelan jawab dia, yaqeenan yeh meray liye aur har paRhnay waloon kay liye mishal-e-raah banay ga kay maghrib jaisay aazaad mahool main bhi insaan apni tehzeeb-o-tamaddan aur apnay deen ki paasdaari kar sakta hay, shart yeh kay aap main khudh kitna jazba hay.... kehtay hain kay buray mahool ka asar insaan jald ikhtiyaar kar laita hay, magar main iss baat kay humesha khilaaf hi kehta tha.... Insaan per bura mahool uss waqt tak asarandaaz nahin hosakta jab tak kay woh khudh uss ko apnay upper musallat na kar lay, agar aap ki tarbiyat achi hoyee hay tou aap per buray say bura mahool bhi asar andaaz nahin hosakta.

                  Baqi aap ki baat say itifaaq karta hoon kay PAKISTAN jisay ISLAMIC REPUBLIC ka naam dia aaj badtehzeebi aur fahashi main maghrib kay barabar hi chal raha hay.... mujhay yeh jaan kar bohat hairat hoyee kay pichlay saal BASANT (jiss ka humari tehzeeb say koi taaluq nahin) kay tehwaar main 5 star hotels main say sharaab ki aaik bhaari miqdaar lee gayi aur uss main sab say baRi taadad laRkiyon ki thi jinn kay naam say unhain sharaab di gayi!!!! aur issi tarah iss tehwaar ki aaR main logon nay shabab-O-kabab dono kay mazay uRayay.... Naam tou ISLAMIC REPUBLIC hay magar humaray kartoot aaj humain PASTI kay uss nichlay darjay per dhakail rahay hain jahan say hum aik baa-izzat shehri ban kar kabhi nahin ubhar saktay!!!

                  May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

                  FI Amaan ALLAH
                  sigpic

                  Comment

                  • Re: In The Spotlight ~*Gul Dearo~*

                    Assalaam-O-Alaikum

                    Hosakta hay chand lamhoon main yeh thread LOCK kar di jayay... issi liye aakhri baat kehna chahta hoon....

                    GUL aap kay messages paRh kar bohat hi acha laga, aap nay har mozoo per bohat hi achay aur matured andaaz day jawaab diya jiss say humain bohat kuch seekhnay aur samajhnay ka mouqa mila... kehtay hain kay Tajurba insaan ko bohat kuch sikha daita hay aur aap ki tajurbakaar baatain aur matured soch nay bhi humain bohat kuch seekhnay ka mouqa diya jiss kay liye main aap ka aur HALA ka jinhoon nay iss interview ka aghaaz kia ka bohat shukar guzaar hoon... kiyonki agar unkay sawaaloon ka selection thik nahin hota tou humain itnay achay jawabaat bhi nahin miltay.

                    Sahi sawal ka chunayoo bhi bohat aham hota hay agar aap kuch seekhnay ki rawish per chal rahay hain, mera bhi sawaal karnay ka maqsad yehi tha kay aaj hum apnay BACHOON ki parwarish per khaas tawaja nahin daitay aur unko shuroo say hi Star plus, Indian movies waghaira kay itnay qareeb lay jaatay hain aur jab woh jawan hokar kisi ki mohabbat main mubtila hotay hain tou hum hi sab say ziyada uss ki mukhalifat kartay hain yeh nahin sochtay kay hum nay unhain khudh iss qadar FILMI mahool ghar main dia aur aaj unki baghawat kay zimaydar woh nahin hum khudh hain.

                    Pichlay dinoon aik program dekh raha tha uss main bachoon say sawal kia kay aap ki fav. personality kaun hay 3 bachoon nay mukhtalif jawab diye aik nay kaha Shahrukh Khan dosrat nay Hiritik Roshan aur teesray nay Shahid Afridi!!!

                    Pata nahin shayed main kuch ziyada hi POSSESIVE hoon bachoon kay maamlay main... kiyonki abhi ki generation ka hum kuch nahin kar saktay magar hum apnay aanay waali GENERATION ko tou sahi message aur sahi taleem day saktay hain na taakay woh aagay chal kar Shahrukh Khan ko fav. personality kehnay kay bajayay Khulfa-e-Rashdeen kay muabrak naamon ko aur unki dikhayee hoyee rahoon ko apni zindagi ka asal sarmayay samjhain!!!

                    May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

                    Aap sab ki duwayoon ka talabgaar, ek khaksaar

                    Fi Amaan ALLAH
                    sigpic

                    Comment

                    • Re: In The Spotlight ~*Gul Dearo~*

                      Apa nay sahi kaha !!

                      actually baat sabhi tarbiyat ki hai
                      iss ka matlab har giz yeh nahi k onn k sath har waqt danda pakar k ....!!
                      Bachoun per Roab jamatay raheiN

                      magar mera jo tareeqa kaar hai k
                      sahi fesla ...sahi time per

                      we should do ....everything at the right time with a right person
                      with a right action

                      thanx Ali for ...ur concerned replies !!

                      be blessed ameen !!

                      Comment

                      • Re: In The Spotlight ~*Gul Dearo~*

                        Asalam o Alikum Gul Dearo
                        It was a great pleasure for being with us in Pegham Interview Spotlight for whole month. :hii:
                        We learned so many thingz from you.....and your answerz were superb. :alhamd:
                        As still you are not feeling well but you have given us much of your preciouz time... we all pray for your good and perfect health.. MAY ALLAH recover you soon . INSHALLAH.

                        Thanko so much ...... On the behalf of Pegham Administration Team and memberz .. teddy

                        be happy alwayz

                        ALLAH HAFFIZ.
                        u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                        :pr:

                        Comment

                        Working...
                        X